Yaadein humari sab kuch hai, yaadon ke bina hum kuch nhi.
Jo hum aaj hai vo humeh humari yaadon ne hi banaya hai.
Ye jo yha hai vo yaadein hi toh hai, yaadein ane wale kl ki.Or mujhe nhi pta ye yaadein mujhe achi lagti hai ya Dard bhari. Sochta hu toh aise Mehsoos krta hu Jaise
"Jaise khoya hua koi rahi ho
Bina manzil ki un raho main
Jaise khoya hua koi pyasa ho
Kisi khaare pani ke samundar main
Jaise khoya hua koi shayar ho
Woh Beeti Hui Nazro main"
Jaisi bhi ho ye yaadein, mujhe ye humesha yaad rhegi.
Toh ye hi thi meri yaadein un hazaro nazro me se un nazro ki jo mai kbhi bhula nhi paya.Jaate jaate aakhir m ek baar arz or karunga
"Nazane kyu dekhta rheta hu meri kalam ko
In lambi raaton ke andhere main
Jaise kuch adhura sa reh gya
Aakhir ke bache un Panno main
Likhe bhi baya na kara paya
Jo Dard diya un nazron ne
Nazane fir kyu aaj bhi lubhati hai
WOH BEETI HUI NAZRE"
आप पढ़ रहे हैं
Woh Beeti Hui Nazre
PoetryThis is just a short story made of collective shayaris on a single pair of eyes which i could never shake off my mind. I hope you like them