Hello lovely readers, hope you are doing great. Just a reminder, be safe, and take care.
Happy Reading!----------------------------------------------------------------
(Virat was waiting for Sai's response after he proposed to her for marriage.)
Virat: Sai, kuch toh bolo.
(Sai was overwhelmed with the amount of love he showered on her. She simply couldn't believe that there was someone after her Aaba that could be this important to her.)
Sai: Virat Sir, mujhe galat mat samajhna par mera pehela goal doctor ban na hain. Toh mein shaadi doctor ban ne ke baad karungi. Lekin hum engagement zaroor abhi kar sakte hain. Agar aapko iss se koi problem nahin hain toh meri haan hain. Pata hain, maine bhi jab se aapko dekha hain kuch feel kiya hain. Aur itni confusion aur misunderstandings ke baad aap aur mein ek saath hain. Aapne mujhe special feel karwaya hain. Mere sapno ko pura karne mein mera saath diya hain. Aur bahut kuch kiya jis ko main bayan nahin kar paungi!
Virat: Sai, main tumhare liye zindagi bhar intezar kar sakta hoon. Tum doctor bano, yeh sirf Kamal Sir ka hi nahin, par mera bhi sapna hain. Aur iss sapne ko hum saath mein jeeyenge. Main tab tak ke liye intezar karne ko tayar hoon.
Sai: Toh phir yes Mr.Virat Chavan, main, Sai Joshi, apni puri life aapke saath bitana chahati hoon.
(Virat was elated hearing her response, and without waiting any further he slipped the ring her on ring finger. Then gave her a tight hug.)
Sai: Lo sun lo jo aapko sun na tha, I LOVE YOU!
Virat: Yeh sun ne ke liye kab se intezar kar raha tha main.I love you too meri Gadchiroli Express.
Sai: Aapke gharwale iss rishtey ke liye maanenge?
Virat: Nahin maane toh mana lenge. Halaki I am sure that they will agree. Ghar chal ke unn se baat karenge Sai, don't worry. But haan, shart toh main hi jeeta. Tumhe mana bhi liya, aur proposal ke liye haan bhi kardi tum ne! Jeet toh har hissab se meri hi hui.
Sai: Whatever! Main na purposely jaldi maani taaki aapko zyada wait na karna pade.
Virat: Acha ji?
Sai: Haan ji.
(After confessing their love to each other, the two spent some time together before going home.)(Change of Scene)
(The family was waiting for Virat, who had still not come home and had left without informing anyone. He was not picking up calls either, making the family members even more worried.)
Pakhi: Badi Mami, aap chinta mat kijiye aaj jayega Virat. Police officer hain woh.
Ashwini: Lekin woh duty pe nahin hain abhi. Aur bina bataye woh kahin nahin jaata.
Bhavani: Uska toh phone bhi band aa raha hain.
(Virat walks in as soon as Bhavani finishes talking, leaving everyone shocked and surprised. Everyone except Pakhi, Samrat, and Ashwini.)
Ninad: Yeh sab kya hain Virat? Aise haaton mein haath liye, woh bhi Sai ke? Chakkar kya hain?
(Virat was tightly holding Sai's hand which left everyone amused.)
Virat: Woh, Baba, main aap sab ko kuch batana chahata hoon.
(Virat looks at Sai, who is so nervous and worried after looking at the expressions of everyone, but assures Virat to proceed anyway.)
Virat: Main Sai se pyaar karta hoon, aur woh bhi mujhse pyaar karti hain. Aur hum dono shaadi karna chahate hain.
(Virat closed his eyes, and said it in one go.)
Pakhi: Congratulations Virat! Finally tumne ussey apne dil ki baat keh hi di.
Samrat: Congrats bhai, aur Sai tu ne bhi apne dil ke baat keh di! Not bad, so happy for you two.
(Samrat and Pakhi gave a hug to the new couple.)
Karishma: Daato suttho, aakhir aap ban hi gayi iss ghar ki bahu Sai Bhabhi.
Sai: Kya matlab hain tumahra Karishma?
Sonali: Kuch nahin Sai, beta sukhi raho tum dono. Virat, mast choice hain teri. Mujhe toh Sai badi pasand hain.
Mohit: Sai Vahini, welcome to our family!
Shivani: Tu toh bada fast nikla Veeru. Kal tak yeh meri zimedari hain, aur aaj seedha bahu banake entry karwayi? Not bad, lage raho. But I am very happy for you two.
Ashwini: Mujhe toh pehele se hi pata tha ki Virat aur Sai ek dusre se pyaar kartey hain. Saaf saaf dikhta tha inki aankhon mein. Meri pyaari bahu, kum beti, laane ke liye thank you Godu.
(Ashwini blesses the couple as well.)
Ninad: Yeh sab karne se pehele tu ne vahini se ek baar poocha? Maanta hoon tum dono ek dusre se pyaar kartey ho, lekin Vahini ka faisla sun na zaroori hain.
Virat: Baba, main jaanta hoon ki Kakku ghar ki badi hain. Aur unke mutabik hi sab ho ga. Par hum abhi shaadi nahin kar rahe. Shaadi toh hum tab karenge jab Sai doctor ban jayegi. Abhi toh sirf enagament ka socha hain. Phir aap sab ko batana bhi thi. Aap sab ke aashirwad ke bina hum kuch nahin karna chahate. Baaki aap log bade hain, aap behtar jaante hain. Kakku kuch toh boliye na.
Bhavani: Mujhe yeh rishta...
----------------------------------------------------------------
How is the update guys? Please ignore the minor mistakesWill Bhavani agree to the marriage proposal of Virat and Sai?
Do vote and comment your thoughts
आप पढ़ रहे हैं
Ghum Hai Kisikey Pyaar Meiin
FanfictionBounded by promises how will Virat, Sai, an Pakhi's life will turn out?