LETTERS 1

2.1K 85 38
                                    

Hamara rishta hi chitiyon se Juda tha, agar chittiyan Na Hoti to unhen pata bhi nahin chalta ki ek ladki thi use rudiwadi samaj ki paramparaon ki bediyi mein jakde hone ke Karan bhi unche aasman mein udane ki Soch rakhti thi. Unhen Kabhi pata bhi nahin chalta ki ek anjan ladki kaise unke jeene ki vajah ban gai, agar Patra Na hote To hamara rishta bhi nahin hota. Ek patra ne hamare rishta Tod bhi diya tha lekin fir bhi  usi Patra ke Karan hamara rishta fir se Juda unhone mujhe dhundh liya. Vishwas tha unhen ki yah likhawat sirf meri hai kyunki ki us jamane mein ulta aa banane wali sirf ek hi ladki thi. Tumhen pata hai patro se hamari bahut gehri dosti hai patro mein khushbu hoti hai use vyakti ki  jisne yah Patra likhe Hain. Patra mein Woh ehsaas hota hai ki kiss bhawna se usne tumhen Patra likha hai. Jab main videsh mein thi ham aksar telephone per baat karte the lekin ek dusre ko Kabhi samne nahin dekh paye per  jab unke Patra aate the to usmein unki khushbu hoti thi jisse mujhe aisa ehsaas hota tha ki vah yahin mere aaspaas hai. Jab raat ko mujhe nind nahin aati thi yah dar lagta tha man mein alag alag vichar aate the to main unke patro ko Apne gale se laga ke rakhti thi to aisa lagta tha ki Mano sari pareshani dur ho gai. Man mein koi dar nahin rahata tha lagta tha ki vah Sab kuchh theek kar denge. Tumhen pata hai ki jab vah kahin bahar jaate the to main pure din mein jo jo kaam kiye Hain vah Sab use Patra me likhti thi aur jab vah aate the To Sare Patra unhe deti thi. Vah Patra padh kar bahut khush hote the aur kahate the mujhe Tumhari yeh aadat bahut acchi lagti hai ki chahe kuchh bhi ho jaaye tum mujhe kabhi bhi koi baat Bina bataye Nahin rah sakti. Lekin mujhe nahin pata tha ki vahi mujhse itni badi baat chup aaenge. Jin patro ke Karan hamara rishta Juda tha unhin patro ke Karan ek din hamare rishte mein aisa bavandar Aaya Jo Sab kuchh tahas nahas is Kar Gaya. Aaj bhi mujhe afsos hota hai ki kyon gai main use din agar Na jaati to aaj ho mere sath hote, mere paas hote. Ek baar unki baat sunti toh aaj bhi unhen bahut sari baten suna Pati. Tum Sab puchte ho na ki main yah Patra kyon likhti hun main yah Patra isliye likhti hun taki  jab unke paas jaaun To har bar ki Tarah unhen bata paun ki unke Bina kya kar rahi hoon main.

Said a woman in her 80's sitting on bed with support. She was draped in a blue saree with minimal jewellery and bindi but one thing that was missing was vermillion in her hair line which she used to to wear with pride.

Fir kya hua thakurma?
Asked a 19 year old boy from a group of 4 children.

She caressed his hair with a smile on her face.

Boliye na thakur ma fir kya hua aage?
Asked a 20 year old girl.

Jaldi boliye na thakur ma ab intezar Nahin ho raha hai!
Said a boy in his twenties munching rosogollas with a girl.

Ji thakuma jaldi kahiye ye dekhiye Roshogulle bhi khatm ho rahe hain.
Said a girl grabbing another rosogolla from the handi.

She chuckled at their childish behaviour and started again.

To bacchon tum hamesha puchte ho na ki main apna birthday kyon Nahin banati to aaj batati hun. Baat meri birthday se ek din pahle ki hai jab main main Mandir mein Sandhya Aarti kar rahi thi aur Kaka sasurji aur tum donon ki dadi piche khade the. Ab yah mat samajhna ki Aarti sirf mai karti thi ham teenon ek ek din Aarti Kiya karte The. Aarti karne ke bad main study mein a gai aur kitab dhundhne lagi. Mujhe pata tha ki aaj pati Babu ko aane mein deri hogi isliye  main vahi intezar kar rahi thi. Mujhe Kaka sasur ji Ne mana bhi Kiya ki  garbhvati  auraton ko jyada der tak jagna Nahin chahie lekin Maine unhen ashvasan Diya ki main jaldi so jaungi.Kitab padhte padhte mujhe pata hi nahin chala kab meri aankh lag gai. Jab meri aankh khuli to Raat ke 11:00 baj rahe the. Maine bahar jakar Dekha to pati Babu Tu abhi tak Nahin Aaye The. Main bahut udaas ho gai thi ki pati Babu kyon Nahin Aaye. Mera janmdin bhi shuru hone wala tha or mujhe bilkul achcha Nahin Lagta ki agar vah mere sath Nahin hote. Main fir se study mein aakar baith gayi aur ink dhundne lagi. Jab maine drawer mein se ink nikali Toh mujhe ek baksa Mila. Jab maine us bakse ko khola to uske andar bahut Sare patra the. Mor pankh, perfume, rumal, aur bahut sari chijen thi. Pahle mujhe laga ki Kisi aur ki chijen Nahin dekhte lekin FIR Maine socha ki Apne pati Babu ki chijen dekhne ke liye mujhe Kisi ki ijaajat Nahin chahie. Shayad wo meri sabse badi Galti thi UN patro mein pati Babu aur buri didi ke bare mein likha tha. Vah sari baten thi Jo shayad vah mujhe Kabhi Nahin batana chahte the lekin Tumhari thakurma bhi To pagal hai Na jab main To Sare khat pade to mai andar se tut si gai. Unhone Apne pyar Ka izhaar kiya tha un khat mein. Mujhe bahut dukh hua ki main unka pahla pyar Nahin lekin kehate Hain Na ki pyar aur kismat per Kisi Ka bus Nahin chalta. Yah donon Kisi ki baat Nahin mante bus Jo man mein aata hai voh karte Hain. 4 mahine ki garbhvati thi lekin fir bhi niche baith kar chupchap Rone lagi. Mera Rona ruka ghadi ki awaaz se jiska ishara tha ki 12 baj gaye. Kabhi Nahin socha tha ki apna janmdin rote rote banaungi lekin jo aage hone wala tha Uske bad se To Jaise nafrat si ho gai Apne janmdin se.
Said bondita and sighed heavily. The group of 4 hugged her tightly and a tear trailed down her eyes remembering that dreadful day.

That's all for today started with the new OS series. It will be very emotional but will make you understand the true meaning of love and understandings. Now please tell me the story ahead you want to listen in this way only or in flashback? I was going through a very sad mood so I thought that I must write something emotional. Actually I have not written I have used Google typing because I have a sprain in my right hand due to falling down. So sorry for spelling mistakes and grammatical error. Hope you will get the next update soon. The story ahead will contain a twist. So sorry for short update.

Thank you
Writer sahiba ❤️

ANIDITA: ZIMMEDARI YA KUCH AUR (OS, short story 18+)Where stories live. Discover now