Gayatri, Kartik and Maithili go to nandini room and see Nandini is standing on his window.
Nandini beta aap thik hai na - Gayatri said .
Nandini hug Gayatri and crying.
Nandini bas shant ho jaiye aap toh meri Bahadur beti hai na aur agar aap aise kamjor pad jayengi toh Manik ko kaun sambhlega - Gayatri said .
Nandini seperate Gayatri and see her .
Nandini is samay Manik ko aise daur se gujar raha hai jisme sirf koi aisa insan hi use sambhal sakta hai jis par woh bharosha karta hai aur is samay aisa insan sirf aap hai . Manik ko apki zaroorat hai - Gayatri said .
Ha Nandini tum jakar Manik se baat karo - Kartik said .
Lekin pitaji - Nandini said .
Unki chinta aap mat kijiye unhe hum Sambhal lenge aap Manik ke paas jaiye - Gayatri said .
Nandini nodded his head and leave for there.
Maa humein isi samay pita ji se baat karni hogi warna woh Harshad unhe Manik ke khilaf kar dega - Kartik said.
Thik hai chalo maharaj ke paas - Gayatri said .
Then they go to meet maharaj.Nandini find Manik and see Manik is standing a lake side .
Tum thik ho - Nandini asked .
Manik see her and said - tumhe abhi bhi meri fikar ho rahi hai .
Fikar toh hogi na tum mujhe apni zindagi main kuch nhi samajhte hoge lekin mere liye tum aaj bhi utne hi zaroori ho - Nandini said .
Kaise kar leti ho tum aisa . Maine tumhare sath itna bura kiya aur tum aaj bhi mere baare mein soch rahi ho - Manik said .
Nandini smile and said - Agar tum mere liye bure hote toh aaj apne pita Maricha ke khilaf jakar mujhe bachane nahi aate . Manik tum mere liye kabhi galat nhi ho sakte.Itna bharosha karto ho mujh par - Manik said .
Isse bhi jyada. Par kya tum mujh par bharosha karte ho - Nandini said.
Tum par bharosa nhi karunga toh jiyunga kaise . Mere paas toh jene ki wajah hi nahi bachi . Samajh nhi aa rha hai kaun apna hai kaun paraya - Manik said .
Kisne kaha tumhare paas jeene ki wajah nahi hai . Tumhare jeene ki wajah Hai woh maa jo itne salon se sirf apne bete ka intezar kar rahi hai . Tumhare jeene ki wajah hai woh bhai behen jo apne bade bhai ke liye kuch bhi kar sakte hain . Tumhare jeene ki wajah hai woh praja jo apne yuvraj ka intezar kar rahi hai . Manik in sabko tumhari zaroorat hai aur tum keh rahe ho tumhare paas jeene ki wajah nahi hai - Nandini said .
Par kya main in sabko sambhal paunga . Tum janti ho na mujhe rishte nibhane nahi aate main humesha akele raha hoon ab achanak itne sare rishte . Main yeh sab nahi sambhal paya toh - Manik said .
Tum kar loge hum jante hai aur hum hain na tumhare sath bas ek sawal ka jawab do kya tum humse pyar karte ho na - Nandini said.
Tab se jab se pehli baar tumhe dekha tha . Tab se pyar karta hoon tumse - Manik said .
Nandini smile and they hug each other.Here Nandini father sit in his room and think what happen today . Harshad and Soha come there.
Humein Nandini se yeh ummed nhi thi usne humse itni badi baat chupai - Soha said .
Ha Manik Maricha ka beta nhi hai yeh toh aaj pata chala hai warna toh Nandini ne use Chunargarh ka yuvraj jante hue hi pyar kiya tha na . Nandini ne pure Sujangarh ko khatre mein daal diya tha - Harshad said .
Gayatri, Kartik and Maithili come there and listen everything.
Aap galat keh rahe hai Harshad bhaiya Nandini kabhi Sujangarh ke baare mein bura nhi soch sakti hai - Kartik said.
Ji Nandini didi ko pata hi nhi tha ki woh chunargarh ke yuvraj hai m unhe toh yeh sab baad mein pata chala aur uske baad Sujangarh ke liye Nandini didi unse dur ho gyi - Maithili said .
Aur apne dekha jis shivdutt ki shadi aap Nandini se karwane ja rahe the usne kya kiya - Kartik said.
Gayatri go to maharaj and said - Maharaj aap apni beti par bharosha rakhiye woh kabhi kuch aisa nhi karegi jisse Sujangarh ki suraksha ya hamare pariwar ki izzat ko koi khatra ho .
Maharaj did not said anything and leave for there . Harshad and Soha also left for there.
Lagta hai bade pita ji bahut naraz hai ab kya hoga - Maithili said .
Pata nhi maharaj ke dimag main kya chal raha hai bas prathna karo ki sab thik ho kyunki maharaj ke ek faisle Nandini aur Manik ki puri Zindagi badal sakta hai - Gayatri said with tensed face.
YOU ARE READING
Mohabbat Ka Intehan
FanfictionThis is a Historical story based a pure love and relations .