Fighting Overloaded💢

1.6K 114 31
                                    

HM was sitting on bed and Anu came with medicines.

Anu: Haseeena ji ab fatafat ye dawaiya le lijiye aur doodh pi lijiye phir hi aap neeche jaake Krish ke saath khel sakti hain.

HM: Anu(making baby face) aap hume bacho ki tarha kyu instruct kar rahe ho.. Aur doodh kyu.. Hum dawai paani se bhi to le sakte hain..

Anu: choonki aapne aaj action drshyon ka pradarshan kiya hai to aapko iske lie bhugtaan to karna hi hoga naa!! To usi ke wajah se ye dawai doodh se leni hi padengi..

HM makes frown face and gulps the milk in one sip.

HM: Lijiye ab humne pee liya.. Ab hum jaa sakte hain Krish, aur baki sabke pass.

Anu: Ji zaroor jaa sakti hain.. Lekin hum bhi to saath chalenge..

He held HM's hand and make her pass from stairs with care.
She was enjoying all his attention, love and care.

And then they reach the main hall where everyone was sitting.

Maa: Anu beta.. Haseena.. Ab tum dono theek ho na.. Aur tu toh ruk Haseena.. Aaj teri poori khair khabar lungi..

Anu: Haan maa ab hum dono theek hain.. Aur bilkul.. Bilkul daant lagaiye inhe.. Kaise inhone apni aur aapke pote ya poti ki zindgi ko khatre me dala..

HM: Rehne dijiye aap to Anu.. Baat to aise kar rahe hain jaise ki khud kitni hoshiyaari ka kaam kiya hai.. Akele un gundo se ladne chal pade.. Na kisi ko bataya na kuch kiya.. Nikal pade bas.. Aur to aur phone ki battery.. Wo bhi khatam hone wali thi.. Maa aapko pata h.. Jab hum pahoche aur humne inhe dekha na.. To ye pata hai un logo ko baato mai fasane ki koshish kar rahe the aur inhe unn logo ne baandh rakha tha(laughs)
(All others laugh with her)..

Anu: Kya khikhi...khikhi.. Kar rahe hain aap sab log.. Ab hamara kaam hai hi aisa.. Kabhi kabhi ulta pad jata hai.. Par yaad na ho aapko to bata dein baad me unhe bato mai uljha ke hi bache the.. Aur tabhi aap firing kar paayi thi..

HM: Wo to hum aapko test kar rahe the.. Waise bhi firing humne hi ki thi.. Aur wo leader bhi humse hi dara tha.. Kaise keh raha tha "Sir aap inke pati hain.. Pehle bata dete itna maarne ki zarurat hi nahi padti.. Mai khud surrender kardeta" (Mimics goon leader).. To bataiye khatre mei kon tha.. Aap ya hum? Aur bachaya kisne.. Aapne ya humne..? Chaliye ye bhi choriye baadme baato mai bhi humne hi fasaya.. Jab usne hamare gale par chaku rakha.. Aap to pata nahi konse khayalo mai gum ho gaye the..

Anu: Aree rehne dijiye.. Rehne dijiye.. Haan maan liya aapke firing krne par hume help mili par baadme jab usne aapko pakda tab to hamare haath hi bandh gaye the.. Aur baad mai behosh kon hua tha.. Hum ya aap?

HM: Jaiye jaiye.. Bade DSP bane firte hain.. Aur apse ek call ya msg nahi hota.. Na plan banake jaate.. Careless..

Anu: Careless.. Hum careless hain.. Aree bas bas.. Careless aap hain aayi bhi to bina backup team k.. Aur to aur aisi halat mai stunts perform kar rahi thi..

They both started fighting like PS and KS again.. All were looking at them shockingly.
Then suddenly a voice came..

Bassssssss

AS and HM stopped and looked at each other and then towards the place from where the voice has come.
It was Maa.

Maa : Anu.. Haseena.. Chup ab dono.. Agar tum dono mai se koi kuchh bhi bola na.. To mai tum dono ke kaan khich lungi.. Aur pehle tum dono mujhe ye batao.. Maine tumhe daatne ke liye bulaya tha ya khud hi ladna shuru karne ke liye..

AS and HM were looking down and listening to their mother's scolding.

Maa: Ab kuch bologe bhi ya muh latka ke aise hi khade rahoge...

AS/HM(together) : Sorry maa.. Par galti na inki thi..

And then again looks at each other..

Maa: Bas bas.. Phir se larna shuru mat kar dena.. Bacho jaisi harkate hoti jaa rahi hain dono ki.. Na jagah dekhte ho na samay bas ladne lagte ho..

PJ: Haseena beta aap kabse Karishma ji jaisi ban gayi.. Ye bhi humse aise hi ladne lagti hain..

HM: Pushpa ji.. Aap kya bol rahi hain.. Humne ladna shuru nahi kiya tha.. Anu ne kiya tha..

Anu: Kuch bhi.. Matlab kuch bhi bolengi aap ab.. Hum kab lade.. Aapne hi shuru kiya tha.. Aur ab bhi aap hi shuru kar rahi hain..

KS: aur aap ka baketi kar rahi hain.. Hume kahe beech mai laa rahi hain.. Lad bhaiya bhabhi rhe hain.. Aur beech mai aap hume ghaset rahi h..

Ammi, Maa and Krish were looking at 4 of them and holding their head in their hand. Maa and Ammi looks at each other

Maa/Ammi (shouted) : Chup.. Sab Chup..bhot bakwass karli aap sabne ab..

Maa: Kya Anubhav Haseena , PJ aur karishma kam the jo tum dono ki bhi ladaiya shuru ho gayi.. Aur hui to hui.. Reason kya.. Ladai kisne pehle shuru kari.. Bas ab bhot ho gyaa.. Humse nahi jhela jata(to ammi) dekhiye  behenji.. Aapne hume di to bhot hi jazzbaati bahu thi.. Par ab ye bhot ladaku bahu ban chuki hai.. Jabse aayi hai lade hi jaa rhai hai.. Aap ise kuch din apne pass rakhiye.. Iska dimag thanda kariye aur phir ise bhej dena..

Ammi: Ye kya keh rahi hain aap behenji.. Ye ghar Haseena ka bhi to hai.. Aur aap Anubhav ko samjhaiye na ki apni patni par aise gussa na kare.. Abhi kuch der pehle hi to aayi hai meri bacchi hospital se.. Aur ye phirse ladne lag gaye meri Haseena se..

Here Anu Haseena KS and PJ were looking at eachother and talking through telepathy.

Anu: Ye maa ko kya ho gaya.

HM: Hume bhi smajah nahi aa raha.. Ab ammi maa se aise kyu baat kar rahi hain.

PS: Haa.. Abhi to hum chaaro ko samjha rahi thi aur ab khud hi ladne khadi ho gayi..

KS: Sahi keh rahe hain aap teeno.. Ek kaam karte hain inhe chup karate hain.. Agar inki ladai jyada badh gayi to bhaiya bhabhi.. Aise time me bhi alag rehna padega aapko..

Anu : Nahii.. Nahi behna aisa nahi hone denge hum.. Hum Hj ke bina nahi reh sakte..

Hj: Haan.. Hume bhi Anu se door nahi jaana..

Before they could speak anything.

Ammi: Chalo Haseena.. Yaha se chalo.. Tumhari saas bhi tumhari side nahi le rahi aur pati ko to koi fark padta hi nahi hai.. Chalo tum hamare saath ghar chalo.

Maa: Anu.. Tum bhi kamre Mai jaao.. Jaane do Haseena ko.. Thode din me apne aap wapas aa jayegi..

Anu/HM: Nahi.. Maa.. Ammi.. Aap hamare saath aisa nahi kar sakte.. Hum HJ/Anu ke bina nahi reh sakte.. Please aap dono apni ladai band kardo..

Anu: Ammi.. Hum wada karte hain ki Hj se dobara kabhi nahi ladenge.. Aur unhe kisi baat ki pareshaani nahi hone denge.. Aur aapko kabhi shikayat ka mauka nahi denge.. Hum vachan dete hain. Aur maa bhi maan jayengi.. Hum unhe bhi mana lenge.

HM: Maa.. Hume maaf kar dijiye.. Humne aapko bhot pareshan kiya na lad ladke.. Hum wada karte hain dobara kabhi nahi ladnege Anu se.. Aur aapko bhi kabhi pareshan nahi karenge..

PJ/Ks(together) : Haan Chachi ji-Ammi/Behenji maan jaiye.. Inn dono ko aise samay mai alag mat kijiye..

.
.
.
.
.
.
.

Ammi and Maa's decision in next part..

Thankz ♥️

Anuseena - Far But Still NearWhere stories live. Discover now