CHAPTER- 51

1.7K 169 12
                                    

AS- hum log bhi ab ghar chalte hein aur tum log ko drop karke mein Shehnaaz ke pass bhi jana hai mujhe.

Dadi- Ashok tu ek kaam kar tu mujhe le chal aur Sidharth ko phone kar wo aake sab ko ghar drop kar dega.

Veena- nanhi maa wo log busy honge unko kyun disturb karna aur wo sab log to gaye hein aur aap log jaake itni raat ko hospital mein kya karenge.

Alok- haan bhai ab itni raat ho gayi hai aur wo sab to honge wahan.

They left from the venue.
..
Manu- Shehnaaz kahan kis room mein.

Sameer to receptionist.
Shehnaaz gill abhi ek accident case.

Rec- haan room no. 13 second floor.

Sameer- thank you.

They rushed towards the room.

Manu- sister wo Shehnaaz.

Sis- aap yahin rukiye doctor dekh rahe hein .

Manu- thik to hai na woh?

Sis- haan doctor dekh rahe hein aap wait kijiye.

After a while doctor came outside.

Manu- doctor doctor wo kaisi hai thik to hai na.

Doc- haan aap tension mat lijiye sab kuchh thik hai actually sar pe chot lagne ki wajah se behosh ho gayi thi aur thodi scratches bhi hai puri body mein hai .

Manu- ab wo hosh mein to hai na ?

Doc- haan haan par ab dawai ki wajah se so gaye hein kuchh der baad uth jayenge.

Manu- ghar kab tak jaa sakti hai wo.

Doc- aaj rat under observation par rahenge kal subah 10 bajne tak aap unhe le jaa sakte hein.

Manu- thank you doctor.

Doc- it's my duty.

Manu- hum mil sakte hai kya ab usse.

Doc- haan par ab wo to so rahe hei .

Manu- thik hai.

Doctor left.

Manu sat on chair placed there and sigh .

Sameer's phone rang he picked up the call and said.
Haan uncle ab thik hai wo haan doctor check karke gaye hein.
Abhi so rahi hai kuchh samay mein hi uth jayegi.
Haan nanhi aap tension mat le hum sab hai.
Haan kal tak discharge ho jayegi.
Ji ji.

AS- ab thik hai wo Sameer ko call kiya tha maine.

Dadi- haye meri bachhi thik hai ab dil ko thandak mili meri.
..
Manu- tera dimagh to thik hai na kya kar rahi thi tu jaan nikal gayi thi meri yeh sunke lekin aap to yahan khusi khusi chain se neend mein the.

Manu's maa- Manu beta baad mein baat karega na ab wo.

Sana- aunty dantne do usse mere liye yeh lehenga pehne ke hospital jo aama pada .

DARMIYAN (COMPLETED)♥️Where stories live. Discover now