Outburst 💞

1K 118 135
                                    

Days were passing ,each day Anubav would try new way to stay away from haseenaa.He would mostly go early and come late , trying to skip all his meals at home.He would rearly visit mpt and even avoid her from visiting hq.

Singh Niwas

Haseenaa: pata nahi anubav ko kya ho gaya hai,mei manti hu ek din ke liye mujh par bhoot sawar ho gaya tha tumse door rehne ka par tumhare aur pass khichi aah gaye isse accha sab vese hi rehne dete par nahi isne mujhe ignore hi karna shuru kar diya hai*frustrated*,pehle toh flirt karta tha,mere hath ka khana khata tha ,mere sir par chumi dekar sota tha ,hum kitna enjoy kar rahe the,sab barbad ho gaya,are yeh sab door ki bast anubav toh do pal mujhse baat tak nahi karta,hath se khana door ki baat voh toh ek khana tak nahi khata mere sath,esa kya kaam aah gaya pichle panch dino mei,mei janti hu anubav kitna bhi busy kyu na ho voh hamesha apno ko vakt deta hai toh fir aab kya ho gaya,mpt bhi nahi ata hai ,mujhe bhi hq nahi ane deta kya dikhat hai tumhare mr.Anubav singh,aaj mei jawab lekar rahugi.*cleaning his cupboard*yeh box kesa hai *opening a small box that was securely tied up in a cloth*yeh kya kapde ,rassi ka guccha,yeh anubav bhi na kya sambhal kar rakha hai ,ma se puchti hu phir fek dungi.

Ma: haseenaa beta tere liya teri ammi ne kuch beja dekh le*handing over a  gift*
Haseenaa: ammi ne kya hai isme,yeh ammi..ne *tears formed in her eyes*yeh toh meri abbu ke sath bachpan ki tasveer hai yeh toh kharab ho gaye thi fir*hugging it*
Ma: tumhari behen hai na cyber expert ,bas chehre saaf kar diye aur kuch aur yeh dekho*wipping her tears*
Haseenaa: ammi khud nahi aye aur gudiya ne kuch bataya bhi nahi iss bare mei*frowning*
Ma: surprise tha,aab ja aaram kar le teri chutti hai aaj aur uss gadhe ko pata nahi konsa kaam rehta hai jo ghar par khana tak nahi kha sakta*annoyed*
Haseenaa: ha ma unhe bohot kaam hai voh commissioner sir nahi hai na bus*ma ko nahi pareshan karugi khud aaj puch lungi ki baat kya hai, commissioner sir se toh aaj mei khud mili thi ,kya baat hai Anubav*Ma hum dinner banate hai tab tak aap apni mala jaap lijiye

Room
Haseenaa: raat ke gerah baaj gaye fir bhi anubav nahi aya,yeh roz ka ho gaya hai par aaj nahi ,aaj baat ho kar rahegi akhir baat kya hai,ek phone tak nahi kar sakta yeh admi,yaha sab pareshan ho rahe hai,kisi aur ka nahi toh ma ka hi soch leta,ma kitni pareshan hai bechari sone bhi nahi ja rahi thi , anubav Singh tumhare karan meri ma pareshan hai aaj nahi chodungi tumhe*angryly*

Anubav entered the house by twelve which was now a routine for past five days,he had lot of work but still he would adjust If he wanted to but instead used it as a shield to protect his heart from falling deper.He would come late take shower and sleep on the couch ,get up next morning and leave,his existence was equal not nul.
Today things were different he opened the door of his room to find his wife sitting on the bed with hands crossed against her chest.

Anubav: haseenaa tum aab tak jaag rahi ho soye nahi dekho vakt kya hua hai
Haseenaa: vahi toh anubav ,dekho vakt kya hua hai*taunting*
Anubav: haseenaa tum so jao mujhe aur kaam hai,tum maat jaga karo itni der tak
Haseenaa: toh aur kya karu,mera pati intni der ko ata hai uske liye jagna toh hoga hi taki unke darshan ho
Anubav: haseenaa hum iss bare mei kal baat karenge abhi nahi
Haseenaa: kal kab ayega voh kal anubav ,pichle panch dino se mei tumse baat karne ki koshis kar rahi hu par nahi,tumhara kal toh aah hi nahi raha ,aur baat kab karu mei tumse baat,raat ko pata nahi kab ghar ate ho ya nahi bhi, Subha bhi bina nashte ke nikal jate ho,mpt bhi nahi ate,tum ghar mei hote bhi ho Anubav.
Anubav: haseenaa mei dsp hu bohot sare kaam hote hai ,tum janti ho fir bhi nahi samaj rahi
Haseenaa: acche se samajh rahi hu ki tum kya karna chahte ho,manti hu kaam hai par apse bhi unch paad ke log yani commisioner sir bhi vakt se ghar jate hai ek aad din ho jata hai par roz ,yeh nahi chal sakta anubav
Anubav: haseenaa plz mei sab bata dunga filhal mujhe tumhe kuch nahi batana aur mei jaruri bhi nahi samajhta
Haseenaa: jaruri nahi samajte,biwi hu mei tumhari anubav
Anubav: Biwi nahi ho tum meri sirf kagjad par ho toh vahi bani rehna yaha bane ki koshish mat karo*raising his voice*
Haseenaa: Nahi bana kuch bhi mujhe ,ek dost ke nate toh hakk hai na kya hal bana rakha hai tumne, patle ho gaye ho, bahar khate ho,kisise baat nahi karte,ghar par minute ke liye nahi dikhte apna chehra dekho utar gaya hai Anubav tum insan ho tumhe aram ,pyar aur apno ke sath ki jarurat hai din raat kam  karne ke liye machine nahi ho,tumne mere hath se khana bhi nahi khaya par  kamse kam dhang se kha lo
Anubav: mujhe kisi bhi chiz ki jarurat nahi hai haseenaa aur hogi toh mei khud dekh lunga ,baccha nahi hu mei jo tum meri ma Bankar ghum rahi ho,mere hath pair hai khud ka dyan rakh sakta hu aur khas kar pyar ki ya tumhari madat toh bilkul nahi*angrly*issiliye mujhe baksh do
Haseenaa: meri nahi toh koi baat nahi par apni ma ki toh hai na fikr ki voh zinda hai ya mar gaye
Anubav: HASEENAA!!!jaban sambhalkar ma hai voh meri*shouting*
Haseenaa: chilo maat ,mujhe bhi chilana ata hai ,aab jakar yaad aya ma hai voh apki ha,are itne dino se ek bar unki aur ankh utha kar dekha hai tumne,tumhari chinta mei roti rehti hai ,na dang se khati hai na soti hai,tumhari shadi karvai thi taki tum kamse kam raat tak ghar aah jao par nahi afsos,kya kasur hai uss ma ka jinhe itne ansu de rahe ho tum anubav jawab do*holding his collar*tum yahi ho par voh tumhe dekhne ke liye taras gaye hai Anubav,fikr hai unhe ma hai voh tumhari.Kamse kam unhe toh hakk hai na fikr karne ka ya hamari tarah unse bhi hakk chinn liya ek pal mei*craky voice*
Anubav: haseenaa mei*soft voice*
Haseenaa: nahi anubav tum kuch mat bolo mei Shayad samaj gaye hu tumhara issue aur uska haal bhi,tum mujhe avoid kar rahe ho anubav mei janti hu,pehle meine socho tumhe space chahiye hoga par aab nahi we need to come clear,kab tak bhagoge anubav,pehle teen mahine toh hum kitne kush the aab esa kya ho gaya jo tum meri shakal tak nahi dekhna chahte*pained expression*meine tumse kabhi kuch nahi manga na koi hakk jataya ,tumhari dost bankar kush thi mei par voh bhi hakk tumne chinn liya anubav*teary eyes*
Anubav: esi baat nahi hai haseenaa,tum meri dost thi aur ho
Haseenaa: nahi anubav dost hote toh apna dukh bante,apni chinta ki vajah bata dete,tumhari tarah shayad ankhe na paad saku par apno ke haav baav se unke dil ka haal jaan leti hu
Anubav: haseenaa mei maafi chahta hu han kal iska hal nikalege sab thik kar denge
Haseenaa: thik ..aab kuch thik nahi ho sakta ,are thik hone ke liye kuch hone bhi toh chahiye,tumhare iss bartav ka karan janti hu mei anubav,tumhe lagne laga hai ki mei tumhare jindagi mei wife ki jagah le rahi hu voh jagah jo kisi aur ki hai,tumhe lag raha hai tumhe meri adat ho gaye hai jo tum chudana chahte ho,tumhe lagta hai mei tumse uski yade chin rahi hu haina*looking  straight into his eyes*
Anubav: haseenaa tum yeh*stunned*
Haseenaa: kya hua ,sach kaha na ,tumne soch bhi kese liye yeh sab anubav ki mei ...humne tay kiya tha na ,meine kabhi tumpar ya tum mujpar hakk nahi jamaoge kya meine tumpar patni  ka Haqq jataya*to which he noded negatively*kya tumse kaha mujse pyar karo ya apne pyar ko bhul jao ,mujhe uski jagah do bolo anubav bolo*shaking him*upar se mei khud tumhari madat kar rahi hu unhe locate karne mei tumhe apna best search agent diya fir bhi ,meri kya galti hai Anubav ki tum mujhe saja de rahe ho bolona*tears made their way*kuch nahi manga tumse sirf dosti hi mangi thi voh bhi nahi nibha sakte ...hum dono kush the na fir kya galat ho gaya ki tum itne majboor ho gaye ki mujse chupna paad raha hai ...*crying*
Anubav: meri baat suno haseenaa tumhari koi galti nahi hai galti meri hai,mei tumhe kuch bata ya samjha nahi sakta par mei vadha karta hu ayenda esa nahi hoga ,plz tum rona band karo yeh ansu mujhe bardasht nahi hai, hum pehle jese hi rahenge pakka par tum abhi so jao kal baat karte hai*taking his pillow on keeping it on the couch*
Haseenaa: kal baat karte hai,sab thik hoga anubav yeh koi sapna nahi hai jo utt ke sab bhul jaye,mei tumhe ese nahi dekh sakti Anubav na ma ko na khud ese reh sakti hu,dekho kabhi na kabhi hume alag hona hi tha toh aab kyu nahi*pained expression*
Anubav: tum kya bol rahi ho haseenaa,Ma ,ammi baki sab ko kya bolega voh sab kese yeh sab bardasht karege,ma toh jee bhi nahi payegi *devastated*
Haseenaa: tum jee loge anubav mere bina*looking into his eyes*jise pehle ek dusre se itna lagav ho ki alag hona maut se jyada dardnak ho hume alag ho jana chahiye,mere yaha rehne se tumhari shanti bhank ho chuki hai Anubav,hum abhi alag ho jate hai kal kare so aaj*tears rolling down*hum keh denge hume kisi aur se pyar ho gaya hai jo sach bhi hai*looking away*
Anubav: yehi tumhari iccha hai toh thik hai, Shayad hum dono ke liye behtar hai,iss rishte ko mei itna nahi khincha chahta taki humare bich ki jo dosti hai voh bhi toot jai ,ek accha tor par isse khatam karte hai*tears made their way*par mei tumpar ungli nahi utne de sakta ,mei keh dunga mujhe kisi aur se pyar ho gaya hai
Haseenaa: anubav kya bakwas kar rahe ho,ma yeh bardasht nahi kar payegi unhe lagega tumne meri jindagi barbad kar di ,unki parvarish par sawal uthega anubav
Anubav:toh tumpar inzam lagne du,mere hote koi tumpar ungli bhi uthale hath todd dunga uske*possively*
Haseenaa:tab aap mere pati nahi hoge mr.Singh ,aap bhi har  avrat ko lekar itne possesive nahi ho sakte*smirkk*
Anubav: abhi bhi tum meri wifey ho aur fir bhi mei tumhara dost rahunga samjhi*huffing*
Haseenaa: itni kyu care karte ho mei tum,itni fikr maat karo meri ki tumhare bagar mei khud ko hi bhul Jao*wipping her tears*khair mei saman pack karti hu,kal ghar chali jaogi,ma se keh dungi ammi ki yaad aah rahi hai fir age ka dekhte hai*removing her suitcase*
Anubav: par yeh vakt hai kya yeh sab chizo ka sone toh do yar kamse kam*irritated*
Haseenaa: kal mei chali jaogi fir aram se sona pura kamra lekar*smilling bitterly*chalo anubav utho yar abhi pati ho mere madat toh karo packing karne mei*grabbing her clothes from the almirah*
Anubav: sab Biwiya ek jesi hi hoti hai ,sahi kehte hai jijashrii*grumbling*haseenaa sareeya ya kurtis kya pehle pack kar rahi ho*shuffling her clothes*Haseenaa!!! Yeh...kaha gaya voh ,tumne dekha*throwing out everything*kaha gaya voh meine yahi toh rakha tha*searching *voh uski akri nishani*crying*
Haseenaa: kya hua, anubav tum ro kyu rahe ho*panicked*
Anubav: haseenaa voh uski yade voh thi isme*crying vigorously*uski yade bhi door Chali gaye haseenaa mujhse ,ma kaha hai unse puchta hu mei
Haseenaa: anubav ma so rahi hai raat ke barah baaj rahe hai plz  ma ko maat jagao badi mushkil se soye hai *rubbing his back to calm him down*tum mujhe batao shayad mei kuch madat kar sakti hu
Anubav: voh ek purana baxa tha chota sa ,aur Kale kapde mei bandha tha yahi almari mei piche rakha tha pata nahi kaha chala gaya, kitne salo se Sambhal rakha tha ,tum dhond lo na shayad vahi ho mujhe nahi mil raha hai  plz*joining his hands*voh na meri sase hai meri jindagi katne ka sahara hai voh haseenaa agar use kuch bhi ho gaya toh mei nahi seh paoga*sitting down crying bitterly*
Haseenaa: anubav tum rona band karo *Hugging him *shant ho jao hume pata hai voh box kaha hai,humne hi nikala tha
Anubav: sacchi *hopefully*kaha hai dedo mujhe plz tume kab mila vohh toh
Haseenaa: voh  aaj kabadi wala aya tha ,
mei almari saf kar rahi thi ,voh box bohot gandha ho gaya tha meine khol kar bhi dekha bas kuch kapde aur rasiya thi toh meine socha
Anubav: tumne kya socha haseenaa ,kya socha ki fekdu*loudly*tumne uski yado ko kachra samaj liya tumhari himmat kese hue uski chizo ko chune ki*held her arm tightly*haseenaa moti se bhi jyada thi uski kimmat tumne use fek diya ,tumne kiske izzat li use chune se pehle jawab do *almost yelling*
Haseenaa: anubav hath chodo mera mujhe darad ho raha hai*teary eyes*aur tumne hi kaha tha ki mera hakk hai yaha har chiz par mei bas tumhare kapdo ke liye jagah bana rahi thi
Anubav: kado ke liye jagah bana rahi thi ya apne liye ,sab samajta hu mei tum kya karne ki koshish kar rahi ho,
tum apne liye meri jindagi mei patni ki jagah banana chahti ho na,jabki tum janti hu voh kisi aur ki hai tum permanent iss ghar mei rehna chahti ho tabhi uski yade mujhse door kar rahi ho taki mei usse bhool jao*eyes blood red*par shayad janti nahi mohobbat yado se jyada dil se ki jati hai aur voh toh meri saso mei hai mei usse kabhi nahi bhul sakta , jis din use bhool gaya meri sase bhi vahi tham jayege,tum bhali bhati janti ho yeh sab fir bhi are tum toh janti ho ki yado ki kimmat kya hoti hai fir bhi*crying*meine socha tha tum bakio jesi nahi ho mujhe Samajti ho par shayad mei galat tha ,meri galti hai sab ,yeh bharosa,yeh shadi sab meri galti hai *yelling*tum esa kar sakti ho meine sapne mei bhi nahi socha tha*hitting his hand on the table*
Haseenaa: yeh kanch ,yeh apne kya kiya anubav*loudly*meri aur abbu ki photo todd di *angryly*mujhe laga aap apne gusse ko sabse jyada kabu kar sakte hai par mei galat thi,itna kuch sunna diya apne bina sach jane yahi toh dikat hai apki,par kehte hai sikke ke doh pehlu hote hai na toh yahi sahi,meine apka koi saman nahi feka ,yeh raha apki amant,meine ismei se kuch bhi nahi feka na churaya check kar lo kya pata mei chor bhi nikal jao*hurt*aur kya kaha apne ki yado ke kimmat ,are appse behtar janti hu kyuki mere pass shayad hi kuch baccha hai yado ki tour par ,aur uss insan ki nishani khona kya hota hai mei janti hu issiliye itni khudgarz nahi hu ki kisi aur ki bhi chin lu*crying*aur rahi baat meri toh aap fikr na kare mera saman band kar ho hi gaya aab toh yaha ek pal nahi rukugi mujhe apni jagah apke ghar aur jindagi mei pata hai aur khudke nazro mei bhi ,meine bhi sochata tha aap bakio jese nahi hai Anubav par hum galat nikle ,hum galat the,app bhi vese hi hai hume kabhi samaj hi nahi paye varna aaj itna sab nahi bol jate ,hum jaldi iss rishte se apko mukt kar denge aur fikr maat karna aap par koi anch nahi ayegi ,hum itne bhi khudgarz nahi hai ki jise dost mana tha uske liye itna bhi na kar sake ,hume laga tha yeh pyar ,shadi  se badkar hamara rishta hai alag sa par afsos mr.Anubav Singh tum mujhe samaj hi nahi paye bharosa toh bohot dur ki baat hai ,khair tum iss rishte se Azad ho *picking up the glass peices*ahhh *blood started ozing out*
Anubav: yeh kya bewakofi hai haseenaa khun nikal raha hai hath do*pulling her hand*dyan kaha rehta hai tumhara kanch andhar chali gaye hai ,aab fir kehna maat dard ho raha hai*angry*harkate hi esi hai
Haseenaa: nahi kahugi*pulling her hand away*kyuki iss dard se gehra aur pida dayak jhakm yaha laga hai uss dil ko ,hum khud ka dyan rakh sakte hai ,hum kar lenge *trying to fix the frame*
Anubav: haseenaa yeh jidd chod do aur mujhe yeh karne do, I'm sorry meine jaan bhujkar yeh nahi giraya mei dusra bana dunga ,mei in tukdo ko lagane ki koshis karunga tum plz mujhe iski dressing karne do *wipping her tears*aur meine jo kaha uss
Haseenaa: jo kaha bilkul sahi kaha ,jo tumhare dil mei hai voh kaha aur hume accha laga ki kum se kum tum humse sach toh bol hi sakte ho,aur rahi baat iss tasveer ki ,mere abbu ki nishani hai aur tumne use hi Todd diya kyu kiya tumne esa tum jante ho yeh mere liye kitna jaruri hai fir bhi*crying*tumse yeh umid nahi thi*pushing him away*door raho tum mujhse mere abbu ki yado ko chinna chahte ho *crying*
Anubav: haseenaa meine jaan bhujkar nahi kiya ,mei janta hu yeh tumhare liye kitna jaruri hai tumhare abbu tumhare liye kya  hai mei janta hu*tying her bandage*tumne soch bhi kese liye ki mei itna ghatiya kaam kar sakta hu,itna hi janti ho mujhe ,itna hi haseenaa*low and pained voice*
Haseenaa: toh tumne bhi toh esa hi inzam laga diye mujpar ,tum bhi itna hi jante the mujhe ,jawab do na Anubav,mei janti hu tumne jaan bujkar nahi kiya ,itna toh mei janti hu ki apno ki yade jaruri hai bohot jyada par unke liye jivit insan apna ho ya paraya usko kabhi dukh maat dena voh insan kya pata apke diye aropo se apke diya gaav se jeete jee mar jaye*looking it to his orbs*khair hume soo jana chahiye kal duty bhi jana hai aur divo..ce lawyer ke pass bhi *choked on her words*toh
Anubav: jo tum bol bhi nahi pa rahi ho voh tum kar logi haseenaa bolo meri ankho mei dekh kar,mei janta hu jo meine kaha uss chiz ne tumhare dil ko todd diya hai aur mei samaj bhi gaya par plz thoda vakt de do haseenaa plz *crying badly*mei apni galti sudharna chahta hu jo gunha kiya hai uska prashchit karna chahta hu ,jo ghav hai unpar marham lagana chahta hu ek moka toh bhagwan bhi deta hai plz*sitting down*tum ek kam karo mujhe saza do par plz ese chod kar maat jao*slapping himself *
Haseenaa: yeh kya kar rahe ho anubav,rukh jao plz*holding his hands*khud ko kyu dukh de rahe ho,dekho anubav yeh rishta bohot paak aur khubsurat hota hai ur hum nahi chahte hum iss riste ko esa banade ki hamara vishwas hi tuut jaye iss nikah ke bandhan se,hum hamesha dost rahege ,par pati -patni nahi ,tumhe jhelna meri bas ki baat nahi*chukles*tumhari vali jab aah jayegi toh sambhal legi tumhe thik hai *winks*
Anubav: kya Hassena mei yaha itni serious baat kar raha hu aur tum ho ki*angry*
Haseenaa: accha thik hai baba,humne apko maaf kiya ,aur hum hamesha friends rahege pinky promise ,jab apka use nikah hoga jise aap prem karte hai na uss din mujse jyada khush koi nahi hoga*turning around to hide those unshed tears*thik hai aab so jaye mr husband*wipping her tears*
Anubav: paka na hum hamesha dost honge kuch bhi ho jaye pinky promise karo*cutely*aab so jate hai par tum bed par sona
Haseenaa: kyu yaha boundary dal kar so jate hai akhri din hai fir tum aram se sona tumhara bed hai tumhara ghar hai chalo*arranging pillows*
Anubav: haseenaa mera voh matlab nahi tha*guilty*iss ghar par aur gharwalo par jitna tumhara hakk tha utna hi rahega koi nahi chin sakta
Haseenaa: aur chinne bhi nahi dungi beti hu mei apni ma ki aur hamesha rahungi aur kya pata mei nahi toh gudiya hi sahi iss ghar ki bahu ban jaye,iss parivar se gudna Taqdeer mei likha hai voh toh kese bhi jud hi jayenge *lying down*
Anubav: shub ratri wifey*turning towards the wall , sobbing silently*

Precap: truths out

                                                    R.M.G
Hope you guys like this part,do like, comment and follow if you feel it's worth...( Next part on Wednesday)

Congratulations 🎊
Many said haseenaa or anubav that's absolutely right but the total sum answer is anuseena anuseena_scripts,SAANVI_2517,Anna4951,anuseena_rulkilove,maddamsirfan1..

Task
*How are you finding the story so far
*What do expect in upcoming
chapters.

Guys do respond on how you find this chp and my story ,the response is becoming less day by day ...Are you guys losing interest or something 🤨🤨

Like ✴️
Comment 👇
Follow 🙌

Taqdeer - Anuseena ki ✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें