Singh masion
7th month
Ma: haseenaa ki goud bhariye hai sari tayari ya ho gaye
Amma: ha ,bas aab hum sab jakar tayar hote hai
Ammi : are inn badmasho ko bata diya ki Inka ana mana hai rasam mein
Anubav: hum toh jarur aayenge ammi,hum pehle bar apki baat ka virod kar rahe hai par hum bhi bache ke baap hai
Veyom: ma ko jyada pyar milna chahiye voh bohut kuch sehti hai ,sharir mei badlav,shair mei dard, mood swings, insecurities hoti hai bohut kuch par pita ko ignore bhi maat Karo yeh galat hai..
Cheetah: hume bhi goud bharaye dekhni hai hum bhi chacha bane wale hai
Ma: bilkul nahi,tum log chalte rivazo ko nahi todd sakte
Haseenaa: ma,ammi ,amma hamare liye hum chahte hai iss safar ke har pal mein anubav hamare sath rahe ,baby bhi yahi chahta hai ..ahhh dekho kuch kar raha hai please ( pleading)
Ammi: thik hai par sirf dekh sakte haiThe whole mansion was decorated with flowers and lights ,a big swing was put in the center of the hall that was beautifully decorated for haseenaa..
Ma: aja beta Aram se , Abb yaha beit ja,kisi ki Nazar na Lage meri bacchi ko( kissing her forehead)
Ammi: hamari bachi ( kissing) allah duniya ki sari khushiyan de
Haseenaa was wearing a pink lehenga with choli and dupata pinned ,light jwellery of silver and slight makeup ,her l into a bun with some strands left out ...Soon the ceremony started all started blessings haseenaa and showering her with gifts and blessings...
Anubav: aap aaj ati sundar lag rahi hai jaan( kissing her cheek) hum bata nahi sakte hum kitne khush kismat mante hai khud ko ki aap hamari bache ki ma hai
Haseenaa: hum bhi ,hum jante hai aap bohut acche abbu banege ( teary eyes) hume rona aah Raha hai aur humne abhi tak apne tofe bhi nahi khole ( sniff)
Anubav: meri jaan Rona band karo ,accha hum bhi apke liye kuch laye hai ,ek tofa ( giving her a box)kholiye
Haseenaa: yeh toh bohut khubsurat hai anu( it had anklets) apko pata hai pairo ke sujan ke chalte hum apni payal nahi pehen pa rahe the rashes hoti hai par abb hum yeh pehnege( happily)
Anubav: hum jante hai apko payal kitni pasand hai , haseenaa jara apna lehenga upar karna ( examining her legs) apke pav toh bohut suje hai,app bohut der khadi thi kya ya bhag dhodd kar rahi thi ( worried) mana kiya hai jaan apko fir apko dard hoga aur apko sone mein peida hogi..
Haseenaa: kya kare anubav jyada der beita bhi nahi jata ,aaj toh hum Beit kar bhi the fir bhi suj gaya... ab raat bhar neend nahi ayegi ( teary eyes) hum thak chuke hai abb yeh dard....
Anubav: yaha beitye ( making her sit ) hum abhi ate hai utna nahi ,aacha ek kam kijiye apne kapde badal lo kuch halka pehno taki takleef na ho...
Haseenaa: anubav kaha ho,meine kapde bhi badal liye..
Anubav: yeh lo yeh pilena accha lagega ,apne jo sab khaya hai na Aaj Bina rok lagaye apko ulti hogi Jaan neembu Pani se accha lagega aur nakre nahi ,aab apna pair hamare ghutne par rakhiye ( kneeling in front of her)
Haseenaa: kyu anu aap niche kyu beite hai ..
Anubav: shuu apna peir dijiye aur voh pi lijiye chup chap pi lijiye ( tying anklet around her ankles) yeh chandi ke hai ,shehad ke liye bohut acche aur apko na takleef hogi na bhari lagega
Haseenaa: shukriya anubav,aab aap upar beit jaye hamare paas chaliye humne yeh bhi pi liya
Anubav: leit Jaye aap hum ate hai ( laying her down) aab apni ankhe band kijiye aur sone ki koshish kijiye ( closing her eyes)
Haseenaa: anu yeh app( he was applying oil on her legs) app so jaye aap bhi toh thakte hai na
Anubav: shuu Jaan ,apko sabse jyada Aram ki jarurat hai apne liye aur baby ke liye bhi ,pita hone ke nate itna toh kar hi sakte hai( kissing her belly) so jaye Jaan hum yahi hai( he washed his hands and layed besides her pulling into his embrace)8th month
Haseenaa: toh app sab tayar hai na ,toh kya lagta hai kon hoga( rubbing her bump)
Anubav: app yaha Aram se beit jaye,in sab ke chakkar mein apka bhi uchal kudna ho raha hai ( making her sit)
Haseenaa: hum kaha kar rahe hai ,yeh apka baccha jo hai ,hume pareshan kar Raha hai ( sipping her juice)
Anubav: apka kehna hai hamari beti apko tang kar rahi hai ,voh toh ekdam pari jesi hogi ekdam masum
Haseenaa: ji nahi apka beta ,jo apke jesa hi hai hume tang kar raha hai ( grumpyly) jab dekho isse chatpata khana hai aur laat marni hai
Anubav: apka matlab kya hai ,humne apko abhi tak kaha pareshan kiya hai jaan ,hum bataye pareshan karna kya hota hai ( smirking)
Ma: cough,ho gaya tum dono ka aur tum anu bekar mein meri bacchi ko pareshan karte ho
Ammi: haseenaa bhi konsi shant hai Raghu
Amma: abhi jo karne ke liye aye hai voh kare sab blue ya pink mein se koi ek sticker jo apko lage voh iss chart par lagana ( a white chart with Anuseena pitcher followed by a big heart below with a question mark) ,hume lagta hai beta hoga jo hamari tarah bada kalakar banega
Ammi: hume bhi lagta hai beta hoga , haseenaa ko dekh toh esa hi lagta hai
Ma: nahi ,hamari toh chotu gudiya hogi jo haseenaa jesi hogi
Santosh: ha baby girl hogi ,jo bohut famous singer banegi aur mein uski personal fashion expert ( pulling her collar up)
Karishma: hume lagta hai ladka hoga jo ekdam hamari tarah dabang hoga ,hum use coach karenge taki voh na bhashan de na shayri sunaye bas action kare
Cheetah: hum bhi sehmat hai ladka ho par voh hamari bhabi ke tarah bohut bada lekhak banega ,uchh shayriya karega
Veyom: hume lagta hai beti hogi jo sab ki roshni banegi ekdam hamari behna jesi
Anubav: hume lagta hai hamari beti hogi ekdam haseenaa jesi
Santosh: yeh toh tie ho gaya ,appi aap bataye apko kya lagta hai kon hoga aur kya banega ya banegi
Haseenaa: hume lagta hai voh..
Amma: abhinay karega ( signalling)
Santosh: nahi appi ,singer hoga( whispering)
Karishma: action pack ( showing puch and kick)
Cheetah: lekhak ( showing a Book)
Haseenaa: aap aab ( laughing) uss mein se shayad kuch bhi nahi ya sab kuch ...hamara baccha jo use bana chahye voh banega aur uske itne talented masi,bua,chahu aur mamu hai voh kuch bhi ban sakte hai aur rahi baat hamari hume lagta hai beta hoga bilkul anubav jesa ...Hum bhi chahte hai hamara baccha kisi ki tarah bane aur uski tasveer hamari devar par hai...
Santosh: apki diwar par toh jiju ki tasveer hai na appi yani
Haseenaa: ha ,hamare baache ka apna stan , pehchan aur astitwa hoga par hum chahte hai ki voh anubhav ki parchaye ho ,vahi soch ,vichar ,vohi saff dil acchaye aur unki ankhe ( blushing)...
Anubav: jo bhi hoga voh hamara baccha hai humare pyar ki nishani ( kissing her forehead)..
आप पढ़ रहे हैं
Taqdeer - Anuseena ki ✔️
FanficSeparated by fate ,will fate itself bring them together?? What happens when they are unknown strangers and forced in a marriage together ,will they survive or ruin ...Journey of Anuseena ,how they overcome obstacles and find love 💕💕