Khair wye ghar per aa gaye the, ab dekhna tha raghu aur sam ka kya haal hai.
Waise to raghu aur sam bhi usi khet ki muli the bhala unka kalyan kaise ho sakta tha. Wo bhi sir jhukaaye baithe hue the.
Session ab khatm hone waala tha, sabko apne parents ka prakop bhi to jhelna tha.
Yar jay ye padhai likhai mere se nahi hone waali hai yaar, kab tak parents ke pressure ke under padenge? Sam paresani me bola.
Chal bhaag chalte hai, jay ne jor se majakia andaaj me kaha.
Achha idea hai, Sukhe bhi jay ke majak ko bhaapte hue bola.
Plan to achha hai par bhhagenge kaise? Sukhe ne sawal kia.Are yaar Sukhe tu to serious ho gya, we are just kidding dude, majak tha yeh. Jay ne Sukhe ko samjhaate hue kaha.
Lekin mai majaak nahi kar raha hun, aur hum bhaag kyun nahi sakte, aakhir hum baalig bhi to hai ofcourse 18+
Chal ab bakwaas band kar waise bhi aaj mood kharab hai, aur sir mat kha. Sam khhijhte hue bola.
Aur ye aajkal bhaagne ki bimari ho gayi hai Kya pichli baar Sudarshan 10th fail hone par bhaag gaya tha, aur pichle hafte raaz aur sheela bhi to bhaage the na saath me, raghu ne bhi lecture jhhadte hue kaha.
Tum logon ko bhale hi ye majak lag raha ho, but I am very serious. Sukhe bola.
Theek hai Maana ki hum bhaag bhi gaye to kitne din baahar rahenge, jyada se jyada ek mahine me paise khatam aur uske baad...... Jay bol hi raha tha ki beech mein sam bolne laga.. Uske baad kya bheekh maangega sala, qualifications dekhi hai apni fail hota aaya hai Bachpan se, koi naukri bhi nahi dega tujhe.
Naukri karni bhi karni bhi kise hai sale, hum to kuch aisa karenge ki duniya yaad rakhegi, something adventurous, something........... Sukhe baat poori bhi nahi kar paya tha ki sam ne uska peeth sahlaate hue kaha soja mere laal, khaana khaa le aur so ja lagta hai aaj tu kuch jyada hi depressed hai.
Sam ki baat sunkar sab hansne lage aur mess chale gaye.
Bhale hi us samaye unhone Sukhe ka majak bana dia tha lekin kahin na kahin Sukhe ki baaton ne unke dimaag me ghar kar liya tha.
Trin Trin Trin Trin........ Alarm ki karkas dhwani se sam ki aankh khuli, lekin wo band karne utha nahi.
Raghu alarm band kar de yaar kab se baj raha hai, Sam ne raghu ko kaha.
Sale kal bhi maine hi band kia tha aaj to tu band kar de, raghu bhi sust aawaj me bola.
Sukhe ne uthkar alarm band kar dia.
Thanks yaar Sukhe, Sam ne kaha.
Aaj to mess band hai na..... Sam ne brush karte hue kaha.
Ha yaar chal aaj kisi restaurant me chalte hai raghu ne kaha.
Sab resturant me khaana khaa rahe hai aur resturant me laga TV dekh rahe hai.
Discovery channel laga hua hai aur Bermuda triangle ke baare me bataya ja raha hai.
Kitni adventurous jagah hai na ye Bermuda triangle, Sukhe ne dosto se poocha.
To tera raat ka bhoot utra nahi, Bermuda jayega, pata bhi hai beeja passport banwane me kitna kharch aata hai, sayad lakhon, wo paisa kaun dega tera baap. Sam ne majak kia.
Bermuda nahi lekin apne India me bhi to kai adventurous jagah hai hi na. Sukhe ne sam ka jawab dia.
Khair chaaron ghar par the, raghu ne Sukhe se kaha, kal raat jo tu keh raha tha kya tu sach me karna chaahta hai ya bus aise hi.
Lekin koi plan to hoga, aur humare maa baap, Maana wye stickt hai per hamaare liy hi to hai. sam ne aage kaha.
Aur paise, naukri, ghar, kaise jp ne bhi pooch liya.
Sukhe ko laga ab sab convince to ho hi gaye hain aur Sukhe ne unke sawaalon ke jawab dene suru kiy.
Pehli baat to raghu ye ki mai serious hun, aur jahan tak baat hai maa baap ki to unhi ke liye to hum ye sab karenge, bus raaste hamaare honge. Mai jaanta hun ki maa baap humari bhalai ke liye hi hume daante hai, lekin humen to khud ko pehchanana hoga na, we are not made for studies, hume chahiye romanch, adventure, thrill.
Aur rahi baat paise naukri aur ghar ki to, I've a plan, aur tum log to ho hi us plan ko aur behtar banane ke liye, Sukhe ne hanste hue kaha, to sabhi doston ke chehron per ek muskaan khil gayi, jaise ki unhone koi vijay praapt kar li ho.
Aur Ek kraanti ki taraf unka ek kadam badh chuka tha.
आप पढ़ रहे हैं
Waqt-when time becomes terror
Science Fictionये चार आम मध्यवर्गीय परिवार के चार आम बच्चों की कहानी है , इनके सपने भी आम आदमी की तरह ही इंजीनियरिंग और मेडिकल की तैयारी ,और दुनिया की घुड़दौड़ में आगे रहने का है I लेकिन अगर आपके सपने हीं तूफानी और हों ,कुछ सच्चे दोस्तों का साथ और कुछ नया करने का जू...