Mere paas ek behtarin plan hai, and we can make it better by discussion.
To plan bhi discuss kar, filmon ke jasooson ki tarah kyun baat kar raha hai, Sam beech me tapka.
Ok, is adventure project ke liye hume hostel se baahar jaana hoga, sukhe keh raha tha.
Per kahan, jp beech me bola.
Batata hun, Batata hun thoda sabr rakho. Uske liye hume jaroorat pad sakti hai achhe khaase paiso ki, kyunki ye project adventurous ke saath bahut hi risky bhi hai to, I will not force anyone, tumlog mere saath nahi bhi aa sakte ho.
No bro hum tumhaare saath hai, jp bola.
Hum, kya hum rujhe jaana hai to jaa mai nahi aane waala. Haan pehle plan sun lete hai uske baad sochenge kya karna hai. Sam ne apna mat pesh kia.
Project ko jitni jaldi suru karen utna sahi hoga. Sukhe ne kaha.
Are boss maine to project ka naam bhi sonch lia hai, waisa hi jaise filmon me rakhte hai project kali billi, mission X, ya mission impossible, raghu ne apna wichaar sunaya.
To tumhe lagta hai is project ka naam hona chahiye to mere hisaab se is project ka naam hona chahiye project shoot kyunki is me hum jabardast jaghon per shooting karne waalen hain. Sukhe ne kaha.
Hum pehle India ke sabse adventurous, horrible, mysterious jaghon per jaayenge aur wahan pe film bana ke youtube pe upload karenge. Isse hum agle project ke liye paise ikkatha kar payenge, lekin shuruaat to humein apne paiso se hi karni padegi. Sukhe ne apni baat poori ki.
Lekin Sukhe shooting ke liye humare paas professional cameras kahan hai, aur unme hi lakhon ka kharcha aayega, jp ne sawal kia.
Professional camera nahi hume to bus simple camcorder chahiye hoga jisme night vision bhi hona chahiye, jo muskil se 20000 ke aaspas aa jayega, kyunki hume bade parde pe to dikhaana nahi hai, rahi baat you tube ki to ye camcorder kaafi hai uske liy, Sukhe ne samjhaana.
Lekin 20000.......... Uska intejaam hum kitaabe bech kar kar lenge. Sukhe jp ki baat beech me katte hue bola.
Aur kya chahiye hoga is project ke liye, raghu ne poocha.
Aur kya travelling kharcha, kapde, etc, is baar Sukhe ki jagah jp ne samajhdaari se jawab dia.
Aur waise bhi kal apna warden security money bhi to lautayega wo bhi lagbhag 15000 per person yaani 60000 ho jaayenge. Sukhe ne kaha.
Aur Hum wo lekar champat ho jaayenge, aur humare maa baap humari chinta me rote rahenge hume dhooondte rahenge pareshan hote rahenge, bilkul bakwaas idea hai ye, aur tumlog kya iski haan me haan milate ja rahe ho. Sam gusse me bola.
Lekin sonch sam jab humara naam TV me aayega, to humare parents kitne khush honge. Aur Hum unhe pareshaan thode hi na hone denge, hum ek leaving note apne apne room me chhod kar jaayenge. Sukhe ne sam ko samjhhate hue kaha.
To kab nikalne ka plan banaya jay, raghu ne Sukhe se poocha.
Aaj 4 March hai 7 March ko hostel ka welfare hai, raat ko sab terres par honge party me aur hum chupke se nikal jayenge.
Kaisi lagi meri Yojna Sukhe sam ki taraf dekhte huye bola.Very nice, Sam is baar khus tha.
आप पढ़ रहे हैं
Waqt-when time becomes terror
Science Fictionये चार आम मध्यवर्गीय परिवार के चार आम बच्चों की कहानी है , इनके सपने भी आम आदमी की तरह ही इंजीनियरिंग और मेडिकल की तैयारी ,और दुनिया की घुड़दौड़ में आगे रहने का है I लेकिन अगर आपके सपने हीं तूफानी और हों ,कुछ सच्चे दोस्तों का साथ और कुछ नया करने का जू...