1.

331 12 5
                                    

insaan ka apna kya hai?
humari tou ankh se nikla hua ansoo tak humari marzi se nahi nikalta.
humare jism ka har ek hissa Allah ki amanat hai.
hum apni zindagi apni marzi se nahi jee saktey.
kuch log Allah ki marzi se jeetay hain aur baaki logon ki marzi ya dar se.
humari sansein hum pe qarz hain.
ab yeh humare upar hai ke hum ye qarz kaisey utaarein chahay achay kaam kar ke ya buray kaam kar ke.
haan lekin hum khush apni marzi se ho sakte hain.
hum jo suntey hain, sochtey hain, dekhtay hain uss mein humari apni marzi hoti hai.
hum shikwa aur na shukri tou apni marzi se karte hain.
isliye hum sabar aur shukar bhi apni marzi se kar sakte hain.
hum khud se pyaar apni marzi se kar sakte hain.
hum Allah pe tawakkul, bharosa aur Allah se pyaar apni marzi se kar sakte hain.

One Shot CollectionWhere stories live. Discover now