humein lagta hai ke humne bohat qurbaniyan di hain ya hum kaafi dafa apna dil apni khuwaishein maartey hain lekin yakeen maniye agar hum apnay ird gird gaur o fikar karein tou humare andar Khuda ki naimaton ka shukar adaa karne ka ehsaas mazeed barhey ga aur baaki logon ki qurbaniyan itni bari hoti hain unka sabar hosla ke humein apna aap sharminda or chota lagnay lagta hai. or waqiye hona bhi aisa hi chahiye. hum insaan barey nashukray hain. zindagi ki bunyadi zarooratein itni bari naimat hain lekin humein iss baat ka andaza tak nahi aur pata tab lagta hai jab hum kisi aise insaan ko dekhtay hain jis kay pass ye zarooratein bhi na hon. humein lagta hai ke hum bohat aala hain lekin asal main humari zindagi main har cheez chahey hum chahein ya na chahein Allah ki marzi se hi hoti hai. Allah ki raza main raazi hona hi humare imaan aur Allah pe tawakkul ki nishaani hai.

One Shot CollectionWhere stories live. Discover now