Zindagi kiya hai akhir? Yeh bohat saari cheezon, waqiyat, ittefaqaat, namumkinaat, khushiyon, jazbaat, ehsaasaat, aazmaishon aur maujzon ka ek majmua hai. Lekin is sab se bhar kar zindagi jeenay ka naam hai. Lekin yahan aakar zindagi ki tafseel khatam nahi hoti kiun ke zindagi yakeen ke saath bhi tou jeenay ka naam hai or woh yakeen hai Khuda pe yakeen rakhna or yeh ke har naya din apnay saath ek nayi umeed laata hai or iss Khoyi Huyi Umeed ko wapis laanay ka hi tou naam hai Zindagi. Girh ke sambhalney ke saath saath doosron ko thaam kar uthaney ka hi tou asal naam hai Zindagi. Tootay huay logon ko jornay ka asal naam hai Zindagi lekin is baat ka khayal rakhna bohat zaroori hai keh doosron ko jortay jortay kahin hum khud ko na tor dein isliye logon se pyaar karnay ke saath saath khud se or Khuda se pyaar karney ka asal naam hai zindagi. Andheri raaton main kisi ki roshni bannay ka naam hai Zindagi. Logon ke dar se khud ko azaad karney ka naam hai Zindagi. Apni khuwaishon ko qaboo kar ke Allah ki raza main raazi honay ka asal naam hai Zindagi. Lekin agar yeh sab karnay ke bawajood bhi apko aise log milein jo apko girana chahtey hain tou unhein khush honay dein kiun ke "girein gey nahi tou yeh kaisey pata chaley ga ke haath thaamney wala or mazeed giranay wala kon hai " isliye logon ki pehchaan karney ka naam hai Zindagi. Or phir jab koyi umeed baaki na rahey tou Allah ki taraf laut janey ka asal naam hai Zindagi. Kiun ke Zindagi ki issay ziyada khoobsurat haqeeqat nahi ho sakti keh Allah humesha apnay banday ko thaamey rakhta hai or girnay nahi deta. Log kehtay hain keh Zindagi Gulzar hoti Hai, main kehti hoon ke zindagi kabhi bhi khud gulzar nahi hoti, ussay gulzar humari achi soch banati hai.

Dastaan e Zindagi ki tafseel tou kabhi khatam nahi hogi lekin agar hum issay chand lafzon main bayaan karna chahein tou

" Zindagi ek lamba safar hai jissay paar kartey kartey saari umar guzar jaati hai lekin agar insaan himmat or sabar ke saath chalna seekh ley tou yeh safar bhi asaan ho jata hai.."

One Shot CollectionWhere stories live. Discover now