Waqt, kia hai ye akhir? Ye waqt guzar bhi jata hai, thehar bhi jata hai, bohat kuch cheehn bhi leta hai, bohat kuch badal bhi deta hai or bohat se sabaq bhi sikhata hai. Pashtaway bhi deta hai, yaqeenan azmata hai or bohat rulata bhi hai. Khushiyan bhi le leta hai or zakham bhi bhar deta hai, waqt he to hai akhir guzar he jata hai. Ataa sab par hai lekin rukta kisi ke liye nahi, waqt he tou hai akhir guzar he jata hai. Apne sath umeed ki ek nayi kiran to lata hai lekin phir andheri raat bhi de jata hai magar waqt he tou hai, akhir guzar he jata hai.
Bura ho to yaqeenan humein Khuda ke qareeb kar deta hai or agar acha ho to nashukra bana deta hai, waqt he to hai akhir guzar to jata hai lekin jatay jatay humein apni khudgarzi ka ehsaas dilata hai.

One Shot CollectionWhere stories live. Discover now