log kehtay hain keh,
larkiyan phoolon ki tarhan hoti hain..
main ek larki tou hoon,
lekin ek phool nahi.
mujhey bhi pehlay phool bohat achay lagtey thay,
lekin ab srif unki khusboo achi lagti hai..
phoolon main khusboo tou hoti hai,
lekin saath hi saath kaantey bhi hotey hain..
woh apni khushboo se aangan main mehak tou phela detey hain,
lekin apnay chubtey huay kaanton se doosron ko takleef bhi detay hain..
phool khiltey tou hain,
lekin woh murjha bhi tou jatey hain..
woh doosron ka sahara ley kar khiltey hain..
or jab inhein woh sath na miley,
tou woh murjha jatey hain..
zindagi ke har mor par,
inn phoolon ko doosron ki zaroorat parti hai jaisey dhoop, hawa or paani..
or jab inkay saath ke bajaye zindagi inhein andheray main laa kar khara kar deti hai,
tou woh dam tor detay hain..
or phir chahay inhein jitni hi dhoop, hawa ya paani diya jaye,
unn marey or murjhaye huay phoolon ko zindagi ki taraf laney main ek arsa guzar jata hai..
isliye main khud ki pehchaan phoolon se nahi karwana chahti,
kiun ke phool tou saari zindagi doosron ke saharey jeetay hain..
jab ke mujhey inn dunya walon ke jhootay saharon ki zaroorat nahi kiun ke yeh saharey tou makri ke jhalon se bhi ziyada kamzor hotey hain..
or main tou apni zindagi srif Uss Rab ke saharey jeena chahti hoon jisnay mujhey paida kiya or iss duniya main bheja..
log kehtay hain keh,
larkiyan phoolon ki tarhan hoti hain..
main ek larki tou hoon,
lekin ek phool nahi..
main kon hoon kiya hoon,
main shayad yeh nahi jaanti..
lekin main itna jaanti hoon keh,
main kamaz kam ek phool tou nahi..

~5th Sept 2019.

One Shot CollectionWhere stories live. Discover now