ONE

3.6K 140 24
                                    

No need to introducing character in this story , all characters are same like show but a special character of Anubhav's  childhood close friend Rahul. For whom Anubhav shares his all secret. So let's start this short story.

Maa: Anubhav ek bar tu tasveer toh deekh lay phir faisala Karna, deekh buhat pyari seedhi sadhi or sanskari larki hai haseena or uski Ammi bhi humari buhat achi dost hain , or tu toh pehlay say hi haseena ko janta bhi hai koi kiyà diqqat hai us say shadi karnay mei tujhe.

AS: maa problem yahi hai k hum usay pehlay say jantay hain, maa humain un say shadi nahi karni ek nahi 100 bar ap poch chuki hain or hum nay 100 bar inkar bhi kiyà hai.

Maa: aakhir kharabi kiyà hai itni pyari or suljhi hui or sanskari hai woh, dekhna woh teri zindagi mei aaey gi toh teri zindagi ko suwarg bana day gi.

AS: maa apki har baat Sahi hai par apko nahi lagta k woh had say bhi zayda sanskari hai, aaj k zamanay mei Kaun aaisi larki hoti hai, jisay ban swar k rehna pasand na ho, maa hum lucknow k DSP hain humain aaey roz kisi na kisi function mei Jana parta hai, or humaray friends circle usay bhi ap janti hain, sab Kay sab modern or classy hain, or ek woh hai Jo ab tak ap k zamanay mei jee rhi hai hum kaisay apni patni k toar par usay sab say introduce karwaen gay, sab humara kitni uphas uraein gay ap janti hain.

Maa: jis Kay baray mei tu yeh sab keh rha hai uski soch backward nahi hai balkay jo teri soch thek nahi hai ek bar tu apnay vichar badal Kay toh deekh, humain vishwas hai duniya mei tujhe haseena say behtar jevan sangni nahi milay gi.

AS: maa magar...

Maa: yeh humara akhiri faisala hai or tu is say inkar nahi Kar sakta.

-------------

Rahul: relax Anubhav just chill bol kiyà kharabi hai haseena mei she is so beautiful ❤️ and pretty.

AS: tujhe woh beautiful and pretty lagti hai teri ankhain hain ya button, lagta hai tujhe bhi glasses ki zaroorat hai.

Rahul: Anubhav tu maan ya nahi maan par maa nay waqai teray liey Chand ka tukra chunna hai. She has beauty with brain 🧠.

AS: mana Kay woh Chand ka tukra hai magar woh Chand Jo hamesha badalon k peechay chupa rehta hai.

Rahul: Anubhav tujhe sirf uski dressing sense or appearance say problem hai na tu shadi k bad usay apnay rang mei dhal dayna simple.

AS: par woh manay toh na.

Rahul: manay gi zaroor manaein gi woh tumhari baat ek bar koshish toh kar k deekh.

AS: chal phir kyun na aaj hi koshish ki jaey.

Rahul: abay tu ja Kahan rha hai raat Kay 10 bjay.

AS: haseena Kay ghar.

Rahul: is waqt? Are you mad ? Abhi tum dono ki sirf saghai ki baat hui hai or tu is tarha mun utha k us kay ghar pohnch jaey ga, kiyà kahey ga usay Kay tu kyun aaya hai.

AS: bakwas band kar or chal tu humaray Sath.

_----------------

They ring the bell and she opened the door.

HM: Anubhav or Rahul tum dono is waqt is everything ok.

She is wearing a simple salwar kameez with dupatta, glasses on her face , with a messy bun, no doubt she is looking beautiful in her simple look.

Rahul: wow bhabhi you are looking so good.

HM: bhabhi???

Rahul: sorry sorry ghalti ho gae hai mujh say abhi bhabhi kehnay ka license Jo nahi mila hai.

Haseena :  Queen Of BeautyWhere stories live. Discover now