AS: yeh tu kiyà kar rha tha wahan haseena Kay ghar par, tujhe sharam aani chaheay us say is tarha say baat karnay mei. Jo bhi hai jaisi bhi hai humari maa hai humaray liay usay chunna hai or hum nahi chahtay k koi bhi us say aaisay flirt karay.
Rahul: oh ho jealous feel kar rhy hain humaray dulhay raja.
Sach bata you like her...AS: yes of course I like her abhi say nahi bachpan say but you know uski reserve personality uski shyness uski had say zayda simplicity humain pasand nahi hai bus.
Rahul: yahi toh ek aurat ka gehna hota hai bhai tu abhi nahi samjhay ga par dekhna aahista ahista tujhe sab samjh mei aa jaey ga. Dekh bhai uska husan natural beauty hai or tujhe artificial beauty pasand hai, Jo k waqt k Sath Sath khatam ho Jata hai, bhai zahiri banaway ki zaroorat usay hoti hai Jo is say mehroom hun , tujhe woh shorts mini skirt , straight coloured hairs , barbie doll type makeup ya phir woh larkiyan jinhon nay plastic surgery karwa k khud ko attractive bananay ki koshish ki hoti hai woh pasand hain par bhai sach bataun phir toh duniya mei tujh say zayda bewakoof or na samjh insan nahi dekha hai mei nay. Deekh bhai mei ek actor hun din bhar aaisi aaisi hazar struggling actress dekhta rehta hun jinhon nay apni khobsorti ko makeup or surgeries k nazar kar diya hai no doubt dour say har ek chehra haseen dikhta hai par qareeb say aanay par ek ajeeb si hi sorat lagti hai.
AS: baat teri Sahi hai par hum usay surgery ya phir kuch aur karwanay ka thori keh rhy hain woh buhat haseen hai par thora apna lifestyle change karay bus.
Rahul: bus bhagwan say hi mei paratna kar sakta hun k woh tujhe thori bhudi day.
****************
Saghai day:Rahul: aray Yar tum logon ek Kam bhi dhang say nahi hota mei nay yeh phool wahan laganay ko kahey thy or light is taraf laganay ko kahi thi kyun k is taraf say pictures achi nahi aaen gi sari light back par paray gi or flowers agar back par lagay toh picture mei saaf nazar aatay, ap logon ko event planner kis nay bana diya hai dekhain saray cheezain ek dum perfect honi chaheay mere bestest friend ki saghai hai kisi cheez ki bhi kami nahi honi chaheay warna apko ek rupee bhi nahi milain gay.
Some girls comes.
Girls to Rahul: sir kiyà apka autograph mil sakta hai.
Rahul: ya why not?
Girl : or ek picture ap kay Sath.
Rahul: kyun nahi
Girl gives him side hug and other takes her photos.
As is watching all this.
AS: kiyà tu bhi har waqt larkiyun say ghira rehta hai tere Sath kahen Jana bhi mushkil hai.
Rahul: aray yeh industry ki duniya hi aaisi hai bhai kiyà karun dekho simple say shorts or sleeveless shirt mei hun phir bhi pata nahi kaisay log pehchan laytay hain.. Yar sach mei insan ki asal pehchan sadgi mei hi hai par pata nahi tu kab samjhay ga...
AS: sun tu sab sambhal layna hum haseena k ghar ja rhy hain...
Rahul: wah bhai tujh say toh sham tak ka bhi sabar nahi ho rha buhat bechain ho rha hai us say milnay k liey.
AS: abay baychain nahi usay samjhanay ja rhy hain hum bus.
Rahul: kisi ko samjhanay say pehlay khud samjhna zaroori hota hai.
AS: hum na samjh hain yeh tu kehna chahta hai.
Rahul: is mei kehnay ki kiyà zaroorat hai.
AS: abay salay tu ab humaray hathon say nahi bachay ga.
Rahul: Sala toh mat bol tu Yar.
AS: kyun nahi bolain tujhe Sala
Rahul: tu Sala bol Kay mera chance toh khatam nahi karwa, agar tu nay haseena ko chor diya toh Kam say kam mera chance toh rhay ga na , haseena ka bhai bana diya toh woh bhi khatam.