Part 2

459 34 3
                                    

The rising sun cast a rosy hue across the morning sky. The light of dawn seeped through her window. She rubbed her eyes and walked towards the window sill to water her plants. She was awake the whole night packing her stuff and now she felt extremely sleepy.

Tara: Shashuuu kya hal bana ke rakha hai kamre ka chi

Shaswati: Good morning to you too my friend aur kamra isliye itna ganda dikh raha kyuki main India jane keliye packing kar rahi hu.

Tara: Kyaa!!! tu india wapas ja rahi hain aur kisiko bataya bhi nahi. Bohut galat baat hain.

Shaswati: Asa nahi hain lekin jaana zaruri hain Tara. Mere ghar wale mujhse kuch chupa rahe hain and I need to find out ki kya hain woh.

Tara: Kahi tere Kaka aur Boudi-ma se related to nahi hain?

Shaswati: Pata nahi yaar kuch samajh nahi araha hain. Tujhe yaad hain jab main peheli baar London ayi thi toh sabko letters likhti thi par sirf Kaka aur Boudi-ma ka reply nahi ata tha. Aur telephone pe bhi undono ke saath baat nahi huyi hai. Aur mujhe lagta hai-

??: Miss Shaswati there's phone call for you from India.

Shaswati: Thanks Emma I'm coming

Tara: Iss waqt tere ghar se phone abhi toh India mein raat hain na? I hope sab thik ho.

Shaswati: Don't worry Tara kuch nahi huya hai actually maine parso Tapur boudi ko kaha tha ki woh mujhe call kare. Main ati hu wait for me.

Das Haveli (Flashback)

Thakuma: Tu thik toh hain na Tapur kabse ese gol gol ghum rahi hain. Tu pet se hain itni raat tak jaagna bacche ke liye sahi nahi hain.

Tapur: Main thik hu Thakuma bas aaj subha der se uthi thi na toh isliye abhi neend nahi arahi hai. Aap sone jao main thodi baat ja rahi hu. Shubh raatri thakuma.

Thakuma: Thik hai mein ja rahi hu kuch chahiye toh awaz lagana.

Tapur: Accha hua thakuma chali gayi aab aaram se Shaswati se baat kar payungi. Par pata nahi usne raat ko telephone karne keliye kyu kaha. Bas sab kuch thik ho.

Present

Shaswati: Hello Boudi!!! Maaf karna itni raat tak apko jagai rakhne ke liye. Aap kese ho aur dada aur baki ghar wale so gaye hain na??

Tapur: Meri pyari Shaswati saas to lelo ekbar mehi itne saare sawal. Sab so gaye aur main Krishna nagar mein hu toh pata nahi tumare dada ke bare mein.

Shaswati: Aap iss waqt Krishnanagar mein kyu ho aapke ghar me sab thik hai na?

Tapur: Haa sab thik hain woh baat yeh hain ki mein...pregnant hu na isliye thakuma se milne aayi hu. Mere baat choro tum yeh batao ki kya huya hain jo itni raat ko tumhe mujhse baat karni hai?

Shaswati: Congratulations Boudiii mein bohut zyada khush hu aapke liye. Aur isliye aapse itni raat mein baat karni hain kyuki mein nahi chahati thi ki aapke aas pas koyi rahe. Mujhe aapke madat ki zarurat hain Boudi please mana mat kijiye ga.

Tapur: Phir toh tumhe Anirudh dada ko telephone karna chahiye tha inti dur vilayat mein kese madat karugi tumahari par mujhse hopayi toh zarur karugi batao mujhe.

Shaswati: Thank you so much Boudi. Mujhe bas yeh kehna tha ki mein India wapas arahi hu parso mein ship board karugi aur ghar mein please kisiko bhi maat batana aapko mere kasam. Kya aap Kolkata kisi ko bhej sakti ho mujhe lene aane keliye?

Tapur: Tum itna bara faisla akeli kesi le sakti ho Shaswati. Mujhe nahi lagta tumara aana sahi hoga iss waqt, Aur jitna mein janti hu tumare parhai bhi poori nahi huyi hain abhi-

Shaswati: Boudi please ek aap hi ho jo meri madat karsakta hai iss waqt aur aapne ghar me aane keliye kyu rok rahe hain mujhe. Aapko meri kasam boudi aap kisiko nahi bataogi ki mein aane wali hu. Aap mere madat na bhi karsako toh thik hain par ghar mein kisiko pata nahi chalna chahiye. Aur mein aapna faisla wapas kisi bhi halat mein nahi badlungi iss bar. Rakhti hu aapna khyal rakhna. Aapke faisla ka intezar rahega mujhe kal telephone pe bata dijiye ga. Goodnight Boudi.

Tapur: Shaswati meri baat-

Call kat diya usne. Kya karu kuch samaj nahi araha hain. Baccho ko saalo pehele ghar se dur bheja gaya tha taki unhe uss buri raat ka sach pata nahi chal payi lekin Shaswati ki zidd dekh kar mujhe nahi lagte usse iss bar rok paogi mein. Heyy Dugga Ma jo bhi ho bas usdin ki sach ko buri tarike se bahar mat aane dena. Aab ghar mein aur koyi dukh aane mat dena.






Heyyy sweeties this is the next part of the book i hope u like it. Many of you were asking me to update regularly so i want u to make a decision on this topic. Do u want regular updates with shorter chapters or twice a week update with longer chapters?? plz kindly tell me.

This is it for today. you are gonna see Anindita a bit later sorry for that bt i've to maintain the plot. Soo guys if u comment more and fast ir gonna get the next chap faster. Happy Reading :))




Redefined LoversWhere stories live. Discover now