Motivation

105 5 4
                                    

Koi hasi paney ko, kabhi dard chupaney ko

Mai bhar gya paimane se chhalak jaane ko

Chhod jaatey hain parindey bhi ghar apne

Kaafi nhi ghosle bhi jab sar chhupane ko

Nikalta hi hai insaan apne dayaar se

Faqat araam hi nhi ehem bhook mitane ko

Tulu-e-subah mein kayi rang hote hain

Aftab jalta nhi sirf charagh bujhane ko

Zara si toofan se na tham jaya karo

Hawayein bhi zaroori hai aag lagane ko

Naya rabt dhondte ho to dhoonda karo

Baqi hai abhi rishte purane kayi nibhane ko

Dukhe jo dil to ashkon se kyun parda

Abr bhi roya hai zameen ki pyas bujhane ko

Khizan ne lootein hain chaman se bhi rang kayi

Muntazir hai par baghban phir bahaar aane ko

Hui hai raat to ummeed kyun chhorein

Shams bhi dooba hai sitare dikhane ko


Word Meanings:

(Mai-wine)(Paimana-cup)

(Dayaar-region)

(Tulu-e-subah- The rising light of morning)

(Abr- cloud). (Khizan -autumn)( bahaar - spring)

(Chaman - garden). (Muntazir- expectant)

(Shams -sun) ( baghban- gardener) (aftab - sun)

Daastaan -e- SufiyaanaWhere stories live. Discover now