Maa❤

2.6K 204 94
                                    

Continued from previous part

Haseena is sitting on the bed with puppy face while Anubhav is staring her with angry eyes.

AS-toh aap hume batane ka kasht karengi ki kaun si aisi baat hai jisne aapke andar phir se maa banane ki iccha ko jaga diya.....(he asked coldly).

HM-aap pyar se puchenge toh hum bata denge warna nhi batayenge....(she said with an innocent face).

AS-Haseena.....(annoyed).

HM-dekhiye waise toh hum chahe toh hum bhi aapse naraz ho sakte hai humse baat chupane ke liye par hum nhi ho rahe hai.....

AS-upkar raha hum par aapka devi (tauntingly) prantu is waqt aap hamare sawalon se nhi bach sakti isliye jaldi jaldi sari baatein hume bataiye warna aap janti hai ki hum sach nikalwane par aaye toh aapke sath kya hoga.....(he said angrily).

HM- aap hume darane ki koshish kar rahe hai...ab toh bilkul nhi batayenge, jo karna hai kar lijiye....(angrily).

AS-Haseena aap hamare sbar ki pariksha mat lijiye warna.....(controlling his anger).

She got up from the bed and grabbed his collar.

HM-Mr. Anubhav Singh! humne aapse kitni dafa kaha hai ki hume aisi dhamkiyan dekar darane ki koshish mat kiya kijiye, hume pasand nhi hai.....(she said boldly).

He grabbed her by her waist and pulled her into him.

AS-Mrs.Haseena Anubhav Singh! humne bhi aapse kitni baar kaha hai ki hume aapka baatein chhipana pasand nhi hai toh humse baatein mat chhipaya kariye.....(he said in the same tone).

HM-aap bhi toh baatein chipate hai humse....

AS-sirf ek hi baat chhipaya hai woh bhi isliye kyuki aap mana kar deti hume.....

HM-kar dete kyuki vasectomy ke kuch side effects hote hai jo aapke liye problem ban sakte hai.....(concerned) .

AS-ban sakti the ya nhi woh toh hum nhi jante par agar humne aisa nhi karaaya hota toh aapki yeh dobara maa banane ki iccha aapki jaan ke liye pakka khatra ban jati....

HM-nhi banta, Allah Ta'ala sab thik kar dete, par hamara bad luck hi kharab hai....(she said in despair).

AS-Haseena....(helplessly)

HM-Anubhav.....

AS-jab hamare paas pehle se hi Aabhas aur Dhvani hai toh aapko teesra baccha kyu chahiye tha aur waise bhi aap hi toh hamesha se sirf do bacche chahati thi.....

She slid her hand from his collar to his chest and she placed her head on his chest above his heart and wrapped her arms around him.

He wrapped her in his arms and pecked on her hairs.

HM-pata hai Anubhav jab Aabhas aur Dhvani hamare andar the tab humne unse ek promise kiya tha ki ek hum unke liye duniya ki best Maa banenge, unki har woh jayaz wish puri karenge jo unhe khushi degi par hum apna promise pura nhi kar paye....(she said with moist eyes).

AS-hamare samjhne ke baad bhi dono ne phir se chote bhai behan ki jid ki kya....(he asked worriedly).

HM-nhi par woh dono jab bhi kisi chote baby ko dekhte hai toh mayush ho jate hai aur unka woh mayush chehra humse dekh nhi jata, pata hai jab aap pichle se pichle mahine Delhi gye the tab unhe park mein ek choti si baby girl mili thi 'Myra' jiske sath woh dono bahut khelte the, khush rehte the.....(she said with a smile).

AS-Dhvani aur Aabhas ne bataya tha hume us bacchi ke bare mein......

HM-hamare bacche Myra se milne ke liye daily park jate the aur ghar par aa kar sirf uski hi baatein karte the, unki aankhon mein ek alag hi chamak hoti thi (a smile crept on her face recalling her life lines happy faces), par jab uski mummy wapas apne sasural chali gyi toh aisa laga ki woh apne sath sirf Myra ko nhi hamare baccho ke chehre ki muskaan ko lekar chali, dono ne us raat kuch bhi nhi khaya (few drops of tears fall from her eyes), humne, maa ne, ammi ne, hum teeno ne bahut samjhaya par sab bekar ho gya, humne pehli baar aapne baccho ki aankhon mein aansoo dekha Anubhav (she clutches his t-shirt), humne us din khud ko sabse hara hua mahsoos kiya *hiccups* us waqt humse jyada bebas maa koi nhi thi *hiccups* agale din humne badi mushkil se unhe samjhaya ki Myra apne ghar chali gyi hai, tab Dhvani aur Aabhas hamari baat toh samjh gye par tab se dono ne park jana hi chhod diya hai.....(she said crying).

Arranged Marriage (Anuseena)✔Where stories live. Discover now