The Plan

2.1K 204 113
                                        

{Sorry for the late update}

Aabhas and Dhvani both are sitting in the living room with their grandmothers and listening to the most interesting stories of their parents.

Ammi-uske baad Haseena pure din Anu se gussa ho kar baithi thi.....

Dhvani-itni si baat ke liye.....

Maa-Haseena tab pregnant thi na isliye use chhoti chhoti baatein buri lag jati thi.....

Aabhas-aisa bhi hota hai kya?

Ammi-haan hota hai.....

Dhvani-phir ammi ko Baba ne manaya kaise?

Maa-woh toh tum apne Baba se hi puchhna kyuki hume nhi pata.....

Aabhas-kyu?

Ammi-kyunki woh miyan biwi ke beech ki baat thi isliye hume nhi pata......

Dhvani-toh phir koi dusra kissa sunaiye......

Maa-hume yaad aaya ek majedaar kissa kaho toh sunaye......

Aabhas-sunaiye......

Maa(to ammi)-aapko yaad hai samdhan ji jab Haseena Anu ki pehli holi ke baad aap apni behan ke ghar gyi thi......

Ammi-haan yaad hai hume......

Maa-tab hi ki baat hai, ek din main aur Anu aise hi shaam ko TV dekh rahe the aur Haseena thane se abhi ghar nhi aayi thi.....

Dhvani-aur hum dono kahan the?

Maa-tab tum dono ka janam nhi hua tha......

Aabhas-toh hum dono kahan the....(he asked worriedly).

Ammi-Haseena ki kokh ke andar......(smilingly).

Dhvani-phir kya hua Dadi.....

Maa-tumhare Baba ko khurafat sujhi aur usne ek plan banaya jisme woh khud fas gya.....(maa said smilingly).

Aabhas-kaisa plan?

Maa-hua yun ki.......

Flashback

AS-kya maa pure din yeh saas bahu ke dharawahik dekhti rehti hai......

Maa-tujhe dekha hai toh dekh nhi toh jakar Haseena ke liye kuch bana de, meri bacchi bechari pure din kaam karti rehti hai.......

AS-hum bhi karte hai maa......

Maa-bas pure din headquarter mein baitha aur do teen thaane mein jana yahi kaam hai tera par meri bacchi pure din case solve karne ke liye bhag daud karti hai upar se is halat mein bechari kitna thak jati hai aur ek tu nalayak bas use pareshan karta hai......(maa taunted him).

AS-hum pareshan karte hai ya woh hume karti hai woh bhi raat ke do do baje utha kar.....

Maa-tere hi bachhon ki maa banane wali hai toh nakhre bhi tujhe hi jhelne padenga aur baap banane wala hai toh jimmedaar ban ab.....(tauntingly).

AS-bas bahu bahu hi karti rehti hai kabhi yeh socha hai ki aapki bahu aapke bare mein kya sochti hai, kya kehti hai aapke bare mein.......(yeh jealous Anu aag lagane ki koshish mein).

Maa-kya sochti hai....

AS-aapko nhi pata maa, us din jab aapne unhe danta tha jab unhone khana time par nhi khaya tha toh aakar hamare paas aapki shikayate karne lagi......(he said in serious tone).

Maa-kya shikayate ki thi meri?

AS-yahi ki aap unhe bahut dantati hai aur toh aur unse ghar ka sara kaam karwati hai sath mein apne hath paav dabwaati hai aur apne baalon mein tel lagwati hai....(he tried to provoke maa).

Arranged Marriage (Anuseena)✔Where stories live. Discover now