Prem khich laya ...

616 86 13
                                    

3 months passed....
Anidita ki baichainiya Din par Din badti ja rhi hai ... Jaise jaise din bad rhe hai ... Ek dusre se milne ke liye vo tadap rhe hai .... Telephone par to vo roz Batein karte hi hai ... Par phir bhi
Dil nhi Manta .... Vo bas isi intzar mein hai ki kab ... Ye Do dil Fir milenge... Aur kab iski dhadkan shant hogi ...💓💓💓

In Market ...
Bon- Dadi maa ... Hum baigan le le aaj na bharta banayenge ... 😊
Dadi - Acha main samajh gyi tera bharta khane isliye man kar rha hai kyunki lalla ko bhi bharta pasnd hai na ...
She's blushing ☺️...
Bon- kya dadi maa aap bhi hamari har baat aap unse jod deti hai ... Aisa kuch nhi hai ...

Dadi - to main kya karu har din tu ek aise baat karti hai jisme lalla kahi na kahi chupa hi hota hai ... 🤭 Tu hi uski yaadon mein khoyi rehti hai ...

She's blushing ☺️...
Suddenly random lady ...
Lady - ha ... Ha ab to pati ki yadon ke sahare hi rehna padega ... Mujhe nhi lagta vo ab lautega ...

Bondita happiness turns into sadness.... 😢Aap aise kyu keh rhi hai kaki...

Lady - to galat kya keh rhi hu... Kitne mahine ho gye ab tak lauta hai kya vo... Arey bhala kon pati apni patni se itna samay dur reh sakta hai ... Pati to har samay patni ke paas aane ke liye tadapta hai... Aur ek tera pati hai ... Mujhe to lagta hai zaroor waha Shehar mein koi hogi... Jisne tere pati ko apne pallu se bandh rakha hoga ... Tabhi use tere paas aane ka samay nhi hai ...

Bondita started crying 😭😭😭....
Dadi - Aye jamuna ye kya bole ja rhi hai zaban sambhal kar bol ...
Lady - galat kya keh rhi hu Amma sahi to keh rhi hu... Aapki Bahu ko samjha rhi hu kaise pati ko pallu se bandh kar rakha jata hai ... Meri mano to sari galti iski hi hogi ... Pati ko Prem sukh sahi se de hi nhi payi hogi ... Tabhi to vo ise chod kar chala ...

Dadi - bas 😡🖐️ besharm aurat ... Tujhe itna bhi nhi pta kab kaha kya baat karni chahiye ... Arey ja ja pehle apne ghar mein dekh bad me hamare ghar mein jhakiyo ... Badi aayi Prem sukh wali ... Teri beti ki bhi shadi ho gyi hai na ... To kyu har do do din mein tere yaha lad kar aa jati hai... Use nhi sikhaya tune pati ke sath kaise rehte hai .... Meri Bahu ko sikha rhi hai ... 😡 Lalla kam se gya hai jaldi aa jayega... Mere sanskar hai usme ... Aur mujhe us par pur yakeen hai... Uski zindagi me sirf meri Bahu ki jagah hai samjhi aur tu ...

Bon- dadi maa bas kijiye... Ab hamein chalana chahiye ... Chaliye .. ye lijiye kaka aapke paise... She left with dadi

In Home ...
Bon- dadi maa aap aaram kariye main khana bana leti hu ...
Dadi - Bahu tujhe us jamuna ki baton ko dil par lagane ki zarurat nhi hai ... Tujhe yakeen hai na lalla par

Bon- ha dadi maa mujhe pura vishwas hai un par ... Par bas khud se ek sawal hai ...

Dadi - kya bahu...

Bon- dadi maa kya pati ko Prem sukh dena hi Prem hota hai ... Uske bina prem ka koi astitva nhi hota kya ...

Dadi - nhi bahu sacha prem man se hota dil se hota ... Ye to logo ki ghatiya soch hai jo vo prem ko tan sukh se jodte hai ... Par agr Prem ko samjhana hai to to shraddha ko bhakti ko samjhana hoga ... Rdey ( heart ) mein jo basa ho ... Jiske liye man mein sirf samman ... Aadar ... Prem ho wahi hai sacha prem.... Jaise Shiv Parvati ek dusre se karte the bilkul usi tarah ..☺️

Prem sambhandh to ... Prem ko aur atut banata hai .. ye ehsaas karata hai ki aap jisse Prem karte hai ... Vo jeevan bhar ke liye aapka ho gya hai ...
Jisse dil ko prasanta milti hain...

Bon- Dadi maa... Aapne to hamare man ki har duvidha dur kar di ... Sachi ... Prem itna aadbudh hai ... Ki hum use aapko nazar se dekh hi nhi pa rhe the ... Shukriya dadi maa hamein samjhane ke liye...

Anidita - Milan Prem Ka [SS] Completed ✅Where stories live. Discover now