Paayal

1.1K 146 46
                                    

Anuradha- (angry) Hello mister. Ye mera room hai. (The man turned). Aise kisi ke bhi  kamre me taak jhaak karenge, aadhi raat ko? Tum kahi toh dekhe dekhe se lag rahe ho. Woh Anu ki Maami ka beta bhi aaj aane wala tha. Kahi vahi toh nahi? Agar hai na toh bilkul apni Maa pe gaye hai. Panchayati.

Man- Excuse me. Madam ek toh aapko bahout hi jaldi aur bura judge karne ki aadat hai. Dusra ye humara hi room hai.

He shows the card key on which 669 is written.

Anuradha- pi hui hai? Ya neend me ho? Ya seedha yahi tapke ho reception miss karke?
Tumhara kamra 699 hoga. Ye humara hai.

Man- (murmurs) kaha phas gaya. Isse acha reception pe staff ka wait hi kar leta. (To her) Sorry. Gadbad hogayi humse. Apni Amma ko bata rahe the ki pahuch gaye. Toh card lekar seedhe aagye suna nahi humne. Aur staff kafi busy hai.

Anuradha- (Her voice softened ) haa voh abhi hi sangeet function wind up hua na isliye. Cleaning aur kal ki taiyari me lage hai. (She says excited for her best friends marriage) Anubhav aur Haseena ki shaadi ke mehmaan ho?

Hardik- Hardik. Haseena aur Anubhav ke saath kaam bhi kiya hai aur unka dost.

(Hope you haven't forget about him. He acted as a cupid. Check him in initial chapters of bringing you back)

Anuradha- jabhi tum dekhe dekhe lag rahe the. Meri best friend ki love story ke cupid. Mera Naam Anuradha Haseena ki best friend.

Hardik - (smiling) suna hai aapke bare me.
Waise will you help me?

Anuradha holds the gift box for him, while he arranges his luggage.

Anu- sangeet ke liye thoda late nahi hogaye tum.

Hardik- meri posting abhi Lucknow me nahi hai bahar hai. Waha se highway me protest ke chakkar me jam tha...so!

He sees one of the staff so she calls him out for his help. Wishing eachother, they left, unknown to the spark, they felt.

__________________

25 May, 2022~ Shaadi Ka Din.

Aaj hai shaadi ka din sabhi family members, taiyaariyo me busy hai. Humare Dulha- Dulhan thoda se dare hue hai lekin bahout khush hai. Chaliye Haseena ke kamre me jhaanke👀,

HM- humare samne mat khao Kiara. Vrat hai humara. (She says irritated, looking at her eating a chocolate)

Kiara- sorry. sorry. Woh subha samaan check kar rahi thi sab aya ya nahi. Toh achanak se energy low lagi isliye khaliya.

HM- nahi chodo. Tum khalo. Humme toh Ammi aur Maa ko dekh kar tension ho rahi hai ki woh kitni tension le rahi.

Kiara- idhar baith shaanti se. Bas aaj aur kal ki baat hai. Aaj Anu ke gharwale jo ab tak nahi aye the, unke rehna ka arrange karna hai aur kal teri family ka. Reception tak toh khuch log jane bhi wale hai, toh us din sab mange ho jayega.

HM- hmm (still tense)

Kiara- acha ye chod, ye bata ki Anu jiju, vrat rakh payenge?

HM- Haan. Haan. Araamse, sagai se pehle bhi Maa ne humse ek vrat rakhwaya tha. Unko control acha hai.

Kiara- bolne ki baat hai...ye Mardo se khuch vrat nahi hota. Akash (Her husband) ne bhi mujhe baadme bataya tha ki shaadi ke din ka vrat unse tut gaya tha.

HM- tum apne pati ke paas jao. Humare dimag mat khao. Vrat rakh lenge hum dono. (Irritated)

Kiara- koi toh apne hone wale shohar ke khilaaf ek shabd bhi nahi sun pa raha hai...(Teasing but she glared) acha theek hai. Lekin Paani aur juice sahi se peena warna dehydrate ho jayegi. Aur kamzori lage toh fruits le lena.

Mere HumsafarWhere stories live. Discover now