SHORT-2 ❤️✨️

1.5K 89 49
                                    

Anuseena aren't married nor in a relationship..

Hm house..

Ammi- beta ek baar mil toh le..
Hm- ammi humne kaha na aapse.. humein nhi karni shadi..
Ammi- hn hn.. tu kyu meri koi baat manegi.. hum hai hi kon tere.. haseena.. aakhri ichha samajhle meri.. iske baad najane hum ho ya nhi.. mein tera ghar baste hue dekhna chahti hun hasi..
Hm in mind- emotional blackmail ki bhi hadd hoti hai..
Hm- achha.. achaa.. theek hai.. par hum vaada nhi karte ki humari Haan hi hogi..
Am- hn.. koi baat nhi.. ek baar mil le bas tu..
Am- achha sunn.. ek achhi se saree pehen kar aayio..
Hm- aap kahein toh ghunghat bhi dal lein..😒
Am- hn.. yeh toh meine socha hi nhi..😁
Hm- 🙄

At 2.15pm
Am- beta.. tayyar hui ki nhi.. aate hi honge woh..
Hm- hn ammi.. ek min.. aa rhe hain..

 aa rhe hain

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


A

m- mashallah.. kitni khubsurat lag rhi meri beti..
And bell rings..
Am- lagta hai woh log aa gye.. 10 min baad neeche aa jaayio..
Hm- ji ammi 🙄

Ammi opens the door.. 2 people were standing with a smile..
A lady looking old but elegant in her attire and beside her swa standing a person- tall, handsome, fit.. wearing his shades..

He comes forward and touches ammi's feet

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

He comes forward and touches ammi's feet..
P- pranam Aunty..
Am- khush rho Anubhav beta.. aur aunty nhi ammi keh kr pukaro 😊
Am- andar aayie na..

All sit down and start having tea..
Am- are anubhav beta..  yeh samose lo na.. Khali Khali chai pi rhe ho.. mein haseena ko bulati hun..

Soon Hm comes down looking ethereal..
Aur yahan unhe dekhte hi anu bhaiya ke gale mein niwala atak gya 🤭
Maa sees him and smiles..
Maa- tu toh dekhte hi clean bold ho gya anu.. ruk ja zara.. 😉
As- j..ji Maa 😅

Maa stands up and goes towards Hm..
Maa- wakai.. Chand ka tukra ho tum.. bahut khubsurat.. bilkul sahi naam rakha hai apne salma ji.. Haseena.. ekdum Haseen..
Hm smiles and bends to touch her feet..
Maa- betiyan per nahi chhuti.. waise aaj Agar yeh rishta nhi bhi hua na.. tab bhi.. tum humesha humari beti rahogi..
Hm hugs her..

Am- haseena.. anubhav ko upar le jao..
Hm- ji ammi..

Now both are sitting on a swing on the terrace..
Anubhav- ji.. toh poochhiye.. kya poochhna chahti hain aap..
Hm- aaah.. batayie kuchh apne bare mein..
As- humara naam Anubhav Singh hai.. hum peshe se ek IB agent hain.. aur ghar mein apni maa ke saath rehte hain.. Humara manna hai auratein aur bache is duniya ki sabse khubsurat rachnaye hain.. aur hindi bhasha se humein prem hai..
Hm- aapke abbu?
As- hum jab 8 saal k the toh humare baba Shaheed ho gye the..
Hm- I'm sorry..
As- umhmm.. sorry nhi.. humein garv hai ki humare baba humare desh k liye Shaheed hue hain..
Ab aapke baare mein..
Hm- hum mahila police thana mein SHO hain.. aur humein bhi yeh kehte hue bahut garv mehsoos hota hai ki humare abbu bhi desh k liye Shaheed ho gye the..
As- kafi milti hain humari jeevan ki kahaniyan.. sangharsh, zimmedariyan..
Hm- hmm..
As- waise humara manna hai ki har rishte mein bharosa, pyar aur saath hona hi chahiye.. toh kya humare rishte mein yeh sab hai?
Hm- pyar ka toh pata nhi.. par inn kuchh Minton mein thoda hi sahi par vishwas zaroor krne lage hain hum aap par.. itna toh jaan hi gaye hain ki aap ek bahut achhe insan hai aur apka dil bahut paak hai..
As- hum iss rishte mein apni taraf se poori koshish krenge ki apko koi takleef na ho.. Haan hum yeh vachan nhi de sakte ki appke jeevan mein koi dukh nhi aayega.. par hum aapke sath humesha khade rhenge..
Both are lost in each other's eyes when
Maa calls them from living room..
Maa- are wahi rehne ka irada hai kya.. anu.. neeche aa..
As- aa..aa rhe hain Maa.. chliye hj..
Hm- ji..

All are sitting on the sofa..
Maa- toh.. kya faisla hai tum donon ka?
As- humari taraf se Haa hai..
Maa- haseena beta.. tumhara kya faisla hai? Tum tayyar ho humare ghar ki bahu banne ke liye?

Hm- humari ek shart hai Maa.. 
Am- kaisi shart haseena? Itna achha rishta hai.. ladka bhi bilkul waisa hai jaisa tujhe chahiye thaa.. ab kya hua?
Maa- ek min salma ji.. bolne toh dijie use.. bol beta.. kya hua?
Hm- Maa.. hum chahte hain ki shaadi ke baad anubhav iss ghar mein rhein..
As- kya? Parantu kyu hj.. shaadi ke uprant toh aap humare ghar rhengi na..
Am- haseena..
Hm- nhi ammi.. hum hi kyun.. humesha hum aurtein hi kyu apna ghar chhodein.. jab ek patni apne Pati ke ghar jaati hai toh samaj bade pyar se bahu ka swagat karta hai.. par Agar ek Pati apni patni k ghar mein rhe toh use ghar jamai keh kar taane diye jaate hain.. kyu ammi.. har aurat shadi ke baad apna parivar, apna ghar, apne maa-baap chhodkar kisi aise shaks ke ghar rehne chali jaati hai jise shayad woh dhang se pehchanti tak nhi.. sirf ek mulakat mein koi kisi ko kaise pehchan sakta hai.. unhe bhi toh pata lagna chahiye na ki aurat ke Kitna mushkil hota hai apna sab kuchh peechhe chhodkar apne Pati ke ghar mein rehna.. harr baar hum hi kyun ammi?? Agar hum chle jaayenge toh aap kaha jaayengi? Apki davai, apka khana, apki sehat.. roz apka khayal kon rkhega ammi..
Am- kya bachpana hai yeh haseena.. yehi reet hai aur yehi hota aaya hai..
Hm- humein yeh manzoor nhi hai..
Am- bas kro haseena.. bahut hua..
Maa- nhi salma ji.. apki beti bilkul theek keh rhi hai.. harr baar aurton ko hi kyu adjust karna padta hai..
She goes near hm..
Maa- tum janti ho haseena.. jab hum tumhari umr ke the na.. toh hum bhi bilkul yahi sochte the.. bas humari baat sunne wala koi nahi tha.. aaj humne tumme khud ko dekha hai.. aur humein bahut garv hai ki humne iss rishte k liye haa kaha hai.. yeh humara saubhagya hoga Agar Mera beta tumhara Pati aur salma ji ka damad banega.. kyu Anu?
As- ji Maa.. hum bhi iss soch se bahut khush hue.. ki koi toh hai jo iske khilaf bol rha hai..
Maa- ab batao haseena.. kya tumhari haa hai?
Hm- Haa.. hum iss rishte k liye tayyar hain..
Maa excitedly- Anu.. ja.. phataphat gadi se shagun ki thal lekar aa.. hum aaj hi haseena ka roka karna chahte hain..
Am- Mubarak ho samdhan ji..
Maa- aapko bhi samdhan ji..

Maa makes haseena wear the red dupatta.. applies Tika with kumkum and raw rice and does her Aarti..
Then she gives her a gold necklace set.. She takes out the gold bracelets that she was wearing and makes Haseena wear it..
Maa- yeh humare pushtaini kangan hai haseena.. sadiyon se chalte aa rhe hain.. pehle humari dadi saas phir Maa aur ab hum yeh tumhe de rhe hain.. sambhal kr rakhna..
Hm- ji Maa..

After everything is done.. they are about to leave..
Hm- Maa.. hum chahte hain ki shadi k baad aap bhi humare saath rhein..
Maa- mein kaise..
Hm- humne yeh reet isiliye badli na.. kyunki ammi humare Jane kw baad ghar mein akeli kaise rehtin.. waise hi aap bhi akeli kaise rhengi Maa..  aur waise bhi humne aapko Maa kaha hai toh Maa toh apni beti ke saath hi rehti hai na..mana mat kijiyega..
Maa smiles and nods..
And hm and Maa share a hug..
Maa- hum chalte hain.. khayal rakhna apna..
Hm- ji Maa..

Maa turns towards the door..
As- hj..
Hm- ji..
And As hugs her suddenly..
As- dhanyawaad Maa ke baare mein sochne k liye..
Hm smiles
Hm- apne humare baare mein socha aur humari shart mani toh humara bhi toh farz hai apke aur maa ke baare mein sochna..
As- chlte hain.. phir milenge..
Hm- ji..

Anuseena Shorts ❤️✨️Where stories live. Discover now