SHORT- 7 ❤️💫

840 75 15
                                    

Hm with moist eyes and broken voice- Anu.. anu.. uthiye na.. pls.. hum.. hum.. nhi jee sakte aapke Bina.. Maa aap dekhiye na inhe.. yeh uth hi nhi rhe..

Maa- haseena.. anu kabhi wapiss nhi aayega.. jaise anu k baba humein chhodkar gye the waise hi aaj anu..

Kuchh samay pehle..
It was a pleasant Saturday evening.. Anuseena were relaxing and chatting with each other in the verandah drinking tea and As's mother was reading a book..

Hm- anu.. mausam Kitna achha hai na aaj..
As- hmm.. kitne samay paschat hum sab Shanti se ek sath baithe hue chai ki chuski le rhe hain.. warna humein humari duty se samay hi nhi milta.. hum na aapko samay de paate hain aur na Maa ko.. kuchh samay mein toh humari beti bhi iss duniya mein aane wali hai.. 4 mah garbhvati hain aap..
Maa- chlo kisi ko pata toh h ki use ghar mein parivar k saath samay bitana h..
As- Maa..
Maa- kya Maa.. nalayak..
Hm- waise aapko kaise Pata ki beti hi hogi.. beta bhi toh ho sakta h..
As- humein hi toh pata hoga janeman.. 😏😉(Hm blushed)
Maa- ahem ahem..
Hm- are yeh sab chhodiye.. anu aaj hum sab Bahar khana khane chlte hain na.. Kitna samay ho gya..
As- parantu haseena ji.. apki tabiyat..
Hm- are kuchh nhi hua humari tabiyat ko.. pls naa anu.. hum pregnant hai.. bimar thodi hain..
As- par..
Maa- are jab woh itna keh rhi hai toh kha aate hain na Bahar..
As- ji Maa.. chaliye haseena ji..
Hm- tayyar toh Hone dijie humein..
Maa- hn bachha.. ja Jake tayyar ho ja..

All were ready to go outside when As's mobile rings.. he looks at it and was about to pick up when the telephone of his house rang..
Anuseena shared a despair look and As picked up the call..
Both were looking in each other's eyes and suddenly hugged each other tightly..

Hm- jaldi aayiega..
As- prayas karenge..
Hm- chaliye.. hum apke kapde pack krte hain..
As- haseena..
And he kissed her forehead deeply..

Hm was packing his bag..
Hm- anu.. aap dekh lijie aur kya rakhna hai.. tabtak hum kuchh khane ko dete hain apko..
She was about to go out of the room when she was stopped by his voice..

As- humein maaf kar dijie priye.. hum iss halat mein..
Hm- shhh.. aap sirf apni duty kar rhe hain.. aur humein aap par naaz hai.. aur rhi baat apke jaane ki toh aapko vada karna hoga ki aap jald wapis aayenge.. zinda.. aur sahi salamat..
As- yeh baat aap bhi janti hain ki aap jo keh rhi hain woh mushkil hai.. par phir bhi.. hum wapis aane ka vada kar sakte hain.. aap janti hain desh k aage kuchh nhi.. hum bhi nhi..
Hm- jante hain..
As- Chaliye ab rona band kijie.. aap janti hain na humein aapke netro mein ashru nhi pasand..

Haseena and Maa were at the door bidding adieu to Anubhav..

Maa- jaldi aana anu...zyada intezar nhi hoga humse.. aur na tumhare bache se..
As hugged both of them and left wearing his goggles..
And here haseena hugged Maa and cried...

After 3 months..
Maa was feeding haseena some fruits and juice..
Hm- Maa.. bas kijie.. Kitna khilayengi humein.. dekhiye kitne mote ho gye hain hum..
Maa- are satva mahina lag gya hai.. jitna khayegi utna tere bache ko poshan milega.. chal fatafat kha le.. tab tak mein Teri manpasand aaloo poori banake laati hun..
Hm- aloo poori 🤩🤩 jaldi laayie na..
Maa- hn meri bachhi.. abhi laayi..

Haseena was enjoying her aloo poori while Maa was looking at her adorably..
Maa- tujhe pata h haseena.. jab anu meri kok mein tha na tab mujhe bhi aloo poori itni pasand thi.. meri saas toh thodi sakt si thi par anu k baba meri har khwaish poori karte the..
Hm- bahut yaad aati hai na aapko baba ki...
And she hugged her mother in law..
Maa hugged her tightly..
Maa- chal ab tu Jake kapde badal aur aaram kar le..
Hm- ji Maa..

Haseena lied down on the bed hugging As's photo and his clutched his wardi in her hand and drifted to sleep..
This was her normal sleeping routine..
His uniform gave her power to tackle all the obstacles..

In the evening..
Maa was reading an article when the telephone rang..

Maa- hello..
The person on the other side said something and the phone dropped down from her hands..
And she fell back on the couch..
Hm- Maa kya hua.. aap..
Maa- Haseena.. woh phone..

Haseena picked up the phone from the floor but it had got disconnected..

Soon the doorbell rang and she went to open the door.. she was shocked..
4 police officers were standing with a coffin wrapped in the Indian flag..
She understood what had happened..

Hm- nahi.. yeh yeh.. Maa dekhiye na..
And she fell down near the coffin crying hyrestically..

Hm- Anu.. anu.. apne wada kiya tha aap wapis aayenge.. uthiye na.. aap aise nhi jaa sakte.. dekhiye na.. apki beti intezar kar rhi hai apka.. Humare liye nhi toh apni beti.. apni maa k liye uthiye anu.. Anubhavvvv..

Anu.. anu.. uthiye na.. pls.. hum.. hum.. nhi jee sakte aapke Bina.. Maa aap dekhiye na inhe.. yeh uth hi nhi rhe..
Maa- haseena.. anu kabhi wapiss nhi aayega.. jaise anu k baba humein chhodkar gye the waise hi aaj anu bhi chala gya..

After 27 yrs..
A girl in her late 20s was sitting in her room in the bridal attire with a picture of her dad..
She is the daughter of Anuseena..
Suddenly her mother comes in and the girl wipes her tears..
Hm- Anu.. ro rhi ho tum..
An- n..nhi toh ammi..
Hm- Anu.. bacha humesha yaad rakhna tumhare baba har paristhiti mein tumhare saath hain.. aur tumse bahut pyaar karte hain
An- jante hain ammi.. aap aaj bhi unse bahut pyar karti hain na ammi.. isliye yeh sindur.. yeh mangalsutra.. abtak aapne pehen rakha hai.. koi itna Sacha prem kaise kar sakta hai ammi..
Hm- tu bhi na.. chal beith.. tujhe dhang se tayyar kru.. bachi hai abhi bhi..
And she made her wear the dupatta and adjusted her maang teeka..
And applied kajal behind her ear..
Hm- mashallah.. kitni khubsurat lag rhi hai humari beti..
Ab yahi intezar kariye mahotarma jabtak aapke dulhe raja nhi aa jaate..
And she blushed..
An- ammi.. 🙈
Hm- achha achaa.. nahi sataungi aaj..

As soon as Anu leaves the room.. Hm goes near the bed and picks up the photoframe..

Hm- yakeen hi nhi ho rha Anubhav ki humari beti jise humne 27 saal pehle apni god mein uthaya tha.. uski shaadi ho rhi hai..
Sahi kaha tha aapne.. humari beti bilkul aap pe gayi hai.. Apka har Gunn hai usmein.. baate banani toh jaise apse seekh k aayi hai woh..
bilkul aapke nakshekadam par chal rhi hai.. agent toh hai hi aur ab police officer se shadi bhi kar rhi hai..
Par hum jante hain mann hi mann apko bahut yaad karti hai.. jab dekho aapki tasveer ko gale se lagakar rakhti hai..
Waise kabhi kabhi toh lagta hai aap hi ka doosra Roop hai..
Par aaj woh bhi chali jaayegi humein chhodkar.. apne ghar.. aur hum fir akele ho jaayenge..

Hum apke paas Ana chahte hain Anubhav.. yeh doori humse sehen nhi hogi..

Hum aaj bhi apse bahut pyar karte hain Anubhav aur hamesha karte rahenge.. apni aakhri sans tak.. humara dil aaj bhi manne ko tayyar nhi hai ki aap Shaheed ho gye hain.. jitna humein aap par fakr hai na.. utna hi apka intezar bhi.. aaj bhi dil mein ek aas hai ki aap theek hain aur humare sameep hain.. humare saath hain..
Aap jaha kahi bhi hain.. hum Asha karte hain ki khush rhiye aur ek baat yaad rakhiyega..abhi jitne maze karne hain kar lijie par jab hum aayenge na aapke paas toh humse koi nhi bachayega apko..
I love you Anubhav and will always love you.. aaj bhi aur agle har janam mein hum sirf aapki jeevansathi banna chahte hain.. aur aapke kareeb rehna chahte hain..

And there came an inner voice from her heart- hum humesha aapke sath hain haseena ji.. apke dil mein.. 💔❤️









Anuseena Shorts ❤️✨️Where stories live. Discover now