SHORT-8 ❤️✨️

759 74 13
                                    

Hm- anubhav achhe se lagayie na..
As- laga toh rhe hain priye..
Hm- nhi na.. dekhiye woh waha se taar chhoot rhi hai..
Maa- are kya ho gya..
Hm- dekhiye na Maa.. aaj Diwali hai aur abhi tak lights bhi dhang se nhi lagi.. Kitna decoration baki hai 😮‍💨 rangoli bhi banani hai..
Maa- oho.. ho jaayega sab.. itna tension nhi lena chahiye.. Anu.. achhe se laga ladiyan..
Achha haseena.. aaj ki chhuti hai na tumhari..
Hm- kaha Maa.. apke bete ne itni "mehatvapoorn baithak" laga rakhi hai.. chhuti toh kya.. jaldi aana bhi mushkil lag rha hai..

Maa glared As..
Maa- Anu.. tyohar ka din hai.. tujhe pata nhi tha jo itni lambi meeting rakh di tune..
As was about to speak when he notices the loose end of the wire near Haseena's foot and she was about to step on it..
As- haseena ji hatiye.. and he jumps near her and pulls her away..
Hm- th..thank you..
Maa- haseena tu thik hai.. kahi chot toh nhi lagi?
Hm- nhi Maa.. theek hain hum..
As(coldly)- itni bhi lambi meeting nhi hai Maa.. kisi ko jaldi Jana ho toh jaa sakta hai..
And moves towards his room..
Hm- anu rukiye toh..
And the door closes with a thud and hm rushes towards the room..
She enters inside to see him sitting on the bed, scrolling his mobile..

She approaches him with stifled feet and sits near him..
Hm(softly)- Anu.. sorry na..
But As doesn't budge..
Hm- ab aap humari taraf dekhenge bhi nhi.. 🤧🥺😔 suniya na anu.. sorry na.. humne dhyan nhi diya..
As- aap janti hain yadi humne uss samay apko na dekha hota toh kya ho sakta tha.. itna laparwah kaise ho sakti hain aap..
Hm- aage se dhyan rakhenge na.. ab toh maaf kar dijie..
As- achha theek hai..
Hm- nhi aise nhi.. achhe se.. smile karke.. and she tickles him..
Apko toh gudgudi bhi nhi hoti 😒
As- achha.. and he tickles her.. aapko toh hoti hai na..
Hm- a..a..are bass.. r..ruk ja..jayie na..
😂😂😂
As- achha neeche chaliye.. apko Maa ke hath ke bane hue motichoor ke laddu khilate hain..
Hm- par woh toh pooja ke liye hai na..
As- ek hi toh khana hai.. chaliye na.. isi bahane hum bhi kha lenge 🙃
Hm- achha chaliye.. lekin sirf ek..

Hm peeps out of the room and chk if the path is clear or not..
Hm whispers- jaayie.. rasta saaf hai.. aur jaldi se ek ladoo utha ke layie kitchen se..
As- hum akele nhi jaayenge.. aap bhi chaliye..
They tiptoe towards the kitchen and As js about to pickup the sweet when someone twists his ear..
Maa- achha.. Maa se shaitani..
As- aah Maa.. chhod dijie na..
Maa- mithai churakar khane ki aadat gyi nhi na Teri..
As- ab aap itne svadisht laddu banati hain toh hum kya karein.. haseena ji.. aap kuchh toh boliye..
And he turns to see her eating his part of the laddu..
Hm- Maa bahut tasty tha.. ek aur kha lein? 😚
Maa- are jitne marzi kha.. ghar ki Lakshmi ko toh prasann rehna hi chahiye..
As- humein baat hi nhi karni aapse.. humne toh laddu uthaya bhi nhi tha toh aapne daant diya.. aur hj ne laddu kha liya toh aapne kuchh nhi bola..
Maa- chl chl.. zyada mat bol.. ek no. ka nautankibaaz.. ye le.. kha le laddu.. and she feeds him..
As- ummmmm.. uttam.. ati uttam.. kya svad hai.. lajavab.. ek aur kha lein kya? (Asks sheepishly)
Maa glared him but then laughed..
Maa- khale..

In the evening.. anuseena were getting ready for the pooja..
Haseena was adorned in a beautiful red saree with gold bangles and earrings and a beautiful smile..

Haseena was adorned in a beautiful red saree with gold bangles and earrings and a beautiful smile

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

She was applying kajal when she noticed As looking at her from the mirror..
Hm- kab tak yuhi nihareinge humein..
As- humesha.. aap lag hi itni khoobsurat rahi hain.. diyon ke ujala bhi pheeka hai apke chehre ki chamak ke aage..
Hm cheeks crimsoned red and she lowered her eyes..
As got up from the bed and hugged her from back.. he whispered huskily..
As- ab aap itna sharmayengi toh Diwali ki pooja adhuri reh jaayegi jaan..he kissed her neck slowly and made her wear the mangalsutra and filled her hairline with vermilion..
As- chaliye neeche chalein.. Maa rah dekh rhi hogi pooja k liye..
Hm- ji..
As- suniye..
(Huskily) sharmaye kam.. chehra laal ho gya hai aapka..
And hm ran down..

Anuseena lift the thaal together and sing the Aarti..
Hm offers Prasad to Maa and touches her feet..
Maa- khush reh..
And she takes out an envelope and a gift.. and gives it to her..
Hm- Maa iski kya zaroorat thi..
Maa- kyu.. tu meri beti nhi hai.. aur waise bhi iss ghar mein Teri pehli Diwali hai aur tu iss ghar ki Lakshmi hai.. aur Diwali wale din Lakshmi Maa ko khush rakha jata hai..
Hm- Maa.. humari khushi inn tohfon mein nhi aapki muskan mein hai.. toh yeh tohfa hum aapka aashirvad samjh kar le lete hain..
Maa- ekdum heera bahu chunkar laya hai tu mere liye anu..
And she takes a bit of kohl from her eyes and applies it behind hm's ear..
As- haseena ji.. yeh aapke liye.. hum jante hain aapko kangan pasand nhi hain par yeh baba ki taraf se hai..
Hm(softly)- baba..
Maa- anu.. yeh..
As- ji Maa.. yeh wahi kangan hain jo aakhri baar mission par jaane se pehle baba ne humein yeh Kehkar diya tha ki yeh unki hone wali bahu ke liye unka aashirvad hai..
Hm- bahut khoobsurat hai.. shukriya..

Hm(hesitantly)- Maa.. woh aaj tyohar hai toh hum soch rhe the ki bachon mein kapde aur kitabein Daan kar aayein..
Maa smiles..
Maa- bahut achha vichar hai.. tum donon daan kar aao phir saath mein Prasad khate hain..
Hm smiles- ji..

Happy Diwali Guyss..
my account was hanged for a month or so.. hence couldn't update..
Many of you must have waited for this update.. so give your honest reviews and enjoy!! ❤️❤️

Anuseena Shorts ❤️✨️Where stories live. Discover now