SHORT-9 ❤️✨️

884 61 30
                                    

Pehle toh ghost ban jaane ke liye maaf kijiyega par hum apni dincharya mein se ek ghanta bhi apne liye nhi nikaal paa rhe hain.. aaj samay mila toh socha naye parv ko anuseena k duara jeeya jaaye..

"Priye hum bache nahi hain, apna khyal rakh lenge.. aap pareshan mat hona bilkul bhi"

'ache se jaana aur apna khyal rakhna"

"Ji bilkul"

"pohoch kar call karna yaad se"

"ji.. Chaliye ab hum jaa rahe hai.. budhvaar tak laut aayenge"

(Aur phir bade hi pyaar se humare Anu ne humara maatha chooma aur zoron se gale laga liya, jaa toh voh bas 3 hi din ke liye rahe the par inn janab ki aadatein toh dekho..kabhi nahi badlegi.. harr baar hume utne hi pyaar se apne seene se laga lete hain jitne pyaar se pehle din lagaya tha jab hum nikah karke yahan aaye the.. 1st January 2022
Hum donon ek doosre se anjaan the.. ekdum typical arrange marriage .. I know aaj ke zamane mein bahut odd sound karta hai par ab hai toh yahi sahi..
Bachkaana sa, maasum sa aur humara bohot zyada khyal rakhne waala humsfar mila hai humein... Kehte hai na khuda ne tumhare liye uss ek shaks ko bana kar bheja hai jo tumhara saath kabhi nahi chhodega. Bas aisa hi kuch hua humare saath bhi.. shaadi ki pehli raat hi soch liya tha ki iss rishte ko imaandari se nibhayenge.. aur aaj tak nibha rhe hain..)

(Aaj ek varsh ho gya hai humare vivah ko.. bhagwaan ka dhanyawaad kaise karein smjh nhi aa rha.. humari patni, humari ardhangini.. Humari Haseena ji humare paas hain toh humein aur kya chahiye.. humara bass chale toh inke saath haseen vaadiyon mein hi ghar basa lein.. jaha ekdum sannata ho.. sirf hum aur humari priye.. Chaaron taraf haryali aur beech mein pahadon se behti hui ek nadi.. bahut chitropmata poorn drishya (photogenic scene) lagta hai na sunne mein.. par kya karein.. ek agent jo hain.. khud se pehle desh ko rakhte hain.. apni matribhumi ko.. shaadi ki pehli varshgaanth par bhi apna kartavya nibhane jaa rhe hain..
Kehne ko toh yeh sirf 3 din hain.. par hum donon jaante hain ki yeh 3 divas humare jeevan ke sabse lambe divas honge..
Kabhi kabhi toh lagta hai ki hum bahut na-insafi karte hain haseena ji ke saath.. hum nhi hote toh theek se khana bhi nhi khati yeh.. darr lagta hai humein ki Agar humein kuchh.. khair.. hum sirf itna jaante hain ki humari priye humari takat hai.. hum donon ka hriday ek samay par dhadakta hai.. )

""khushiyaan apni aapke haathon mei saunp dee Gila hume iss baat ka nahi, Bas ye soch kar aankhein nam ho jaati hai.. Ab unmein woh khilkhilati hui hasi kaha jo aapke paas rehne se milti hai.. jald lautiyega anu.. intezaar rhega humein aapka""

"Humein bhi"

Aur dekhte dekhte humara haath unke haath se chhoot gya aur woh chale gye apna farz Ada karne..aur humare haath mein unka locket reh gya.. kehte hain Maa ko zarf ke nhi farz ke tarazoo mein tola jaata hai.. Maa ki seva karne ka koi maap nhi hota.. aur naa hi mahobatt karne ki koi hadd.. anu apni Bharat Maa ki seva karne gye hain aur hum unki mahobat mein khud ko bhul gye hain..
Dil ro rha tha humara par kahi na kahi yeh jante the hum jab tak humare Anubhav rahenge, tab tak humara dil dhadkega.. Allah se sirf itni guzarish hai ki hum Anubhav ke saath apne praan tyagna chahte hain.. kyunki unke Bina humare jeene ka koi maksad hi nhi bachega..

"Ishq ne humein ek rog sa laga diya hai.. isiliye kehte hain.. sambhal kar pyaar karna chahiye.. hum bahut prem karte hain humari Haseena Ji se aur apni aakhri saans tak karte rhenge.. "

Tasveer Mann Mein 
B

asi Yaar Ki
Tasbeeh Padhi 
Tere Pyar Ki


Dil Yeh Mera Tere Dil Se
Ja Mila Hai
Rab Se Jis Ko Maanga
Tu Woh Sila Hai


Taqdeer Jab Se
Tujh Se Judi Hai
Jam-e-Mohabbat
Zah-e-Aashiqui Hai


Poocho Na Poocho Na
Poocho Na
Hum Sataye Huwe Hain
Sataye Huwe Hain
Sataye Huwe Hain


Yeh Ishq Tum Na Karna
Yeh Rog Hi Lagaye
Dafan Khud Kare Hai
Phir Shok Bhi Manaye


Yeh Ishq Tum Na Karna
Yeh Rog Hi Lagaye
Dafan Khud Kare Hai
Phir Shok Bhi Manaye
Phir Shol Bhi Manaye


Aashiqon Ke Dil Mein
Yeh Aas Bhi Lagaye
Aashiqon Ke Dil Mein
Yeh Aas Bhi Lagaye


Phir Aas Ko Bhuja Ke

Yeh Aag Bhi Lagaye


Phir Aas Ko Bhuja Ke
Y

eh Aag Bhi Lagaye


Kaise Ho Shukriya
Mujh Ko Jo Chun Liya
Haal-e-Dil Na Keh Sake
Tumne Toh Sun Liya

Ehd-e-Mohabbat Ko
Poora Kiya
Dard Dil Ka Leke
Dil De Diya

Yeh Ishq Tum Na Karna
Yeh Rog Hi Lagaye
Dafan Khud Kare Hai
Phir Soag Bhi Manaye

Aashiqon Ke Dil Mein
Yeh Aas Bhi Lagaye

Phir Aas Ko Bhuja Ke
Yeh Aag Bhi Lagaye
Phir Aas Ko Bhuja Ke
Yeh Aag Bhi Lagaye

Koi Toh Hai Mera Apna
Koi Toh Sahara Ho
Ghum Mere Thehar Toh
Jaayein Koi Kinara Ho

Thays Aisi Dil Pe Lagi
Kya Gunah Humara Tha
Mangte Hain Yeh Khuda Se
Pyaar Na Dobara Ho
Pyaar Na Dobara Ho

Taqdeer Jab Se
Tujh Se Judi Hai
Jam-e-Mohabbat
Zah-e-Aashiqui Hai

Poocho Na Poocho Na
Poocho Na
Hum Sataye Huwe Hain
Sataye Huwe Hain
Sataye Huwe Hain

Yeh Ishq Tum Na Karna
Yeh Rog Hi Lagaye
Dafan Khud Kare Hai
Phir Soag Bhi Manaye

Yeh Ishq Tum Na Karna
Yeh Rog Hi Lagaye
Dafan Khud Kare Hai
Phir Soag Bhi Manaye

Phir Soag Bhi Manaye

Aashiqon Ke Dil Mein
Yeh Aas Bhi Lagaye

Phir Aas Ko Bhuja Ke
Yeh Aag Bhi Lagaye
Phir Aas Ko Bhuja Ke
Yeh Aag Bhi Lagaye

Love is not an emotion
It's a choice.. make the right one..
Choose to stay..
Love is all about small things..
Where the small efforts are to be noticed..
The right ones will always stay..

"Pyaar tha toh jaayega kaha.. aur agar chala gya toh pyaar kabhi tha hi nhi.."

"Par hum aksar yeh bhool jaate hain ki pyaar bhi samay aur haalat ke aage apne sar jhuka leta hai.. humari kismat hum khud likhte hain.. samay badalne ki kshamta bhi hum rakhte hain.. aur haalaat humari galtiyon se bigadte hain.. Haan hum insaan hai aur galtiyan karna aam hai.. par unn chhoti si galtiyon ko nazarandaz karna bhi humare bass mein hai.. phir hum kyu kehte hain ki halat ki wajah se uss shaks ne humara saath chhod diya..
Nhi.. pyar samay ka mohtaj nhi jo ek hi pal mein badal jaaye.. pyar Amar rehta hai.. amreesh ka sartaj hai.. pyaar na kahi jaata hai aur na hi kahi jaa sakta hai.. yaadein hain jo mit jaati hain par bhav unmein bhi prem ka hai hota hai.."

"Chand taare tod Lana toh sirf ek kahavat hai.. hum humari priye se jitni mahobat karte hain uska koi maap nhi.. pyaar woh jo sukoon de.. pyaar woh jise mehal ka bhojan nhi, apke saath sukhi roti bhi bhaye.. pyaar woh jo har kathinayi mein aapka saath de.. ek aisi bhavna jo dil ko Jake rakhe aur aapka dil usse kabhi Azad na ho.. yeh hota hai pyaar..
Aur yeh pyaar Haseena ne apne Anu se aur Anubhav ne apni priye se kiya hai..
Yeh pyar anuseena ka hai.. jo sada ke liye anashvar hai..

Anuseena Shorts ❤️✨️Where stories live. Discover now