48. Dream or Nightmare

931 72 29
                                    

⚠️🔞Warning!!! Mature content ahead if you are not comfortable then don't continue. Adult language and description of such scenes which can make u uncomfortable.⚠️⚠️ EXPLICIT CONTENT.

Pallavi and all her friends went to her room for a night out.

"Tum log hotel jaa ne wale the na? Toh hum ye sab kaal bhi baate kar sakte the na."

"Nahi! par Tera birthday aaj hai na!"

"Maine pucha tha tujhe ke tere plans hai kya, tune kaha tha raghav ghar jane wala hai akele."

"Toh? Raghav ke sivay bhi mere plans ho sakte hai."

"Itna jhooth bhi nahi bolna chahiye."

"I mean..." She stammered.

"We very well know what you mean."  Jyoti said.

"Waise Aaj cricket ka match tha." Trupti said.

"Toh?" Pallavi asked.

"Toh waise abhi kuch fayda nahi. Mardo ko biwi ke birthday se jyada important match hai." Jyoti said.

"Ha, mera pati toh raat ko 2 baje tak football dekhte rehta hai. Aur upar se subha late hone par bhi mujhe hi sunata hai."

"Toh kya? Usse koi farak nahi padta." Pallavi said.

"Matlab? Raghav match se jyada importance tumhe deta hai. Khud ki biwi ko?" Neha asked.

"What do you mean by khud ki biwi?"

"Arre dusro ki biwi ko bhi importance na de match ke time aise hote hai mard." They giggled.

"Par raghav match-vatch nahi dekhta. Humare room mai tv hai par wo humesha band hi rehta hai. Pehle sirf raghav rehta tha isliye ek hi tv tha ab Amma aur keerti aa gaye hai toh Amma ke room mai bhi tv hai aur hall mai bhi. Kyuki sirf Amma hi tv dekhti hai wo bhi kabhi kabar."

"Matlab Teri saas tere pati ke sath nahi rehti thi?" Anjali asked.

"Ye sab tujhe kya karna hai, wo main baat nahi hai." Jo said.

"Tera pati match nahi dekhta. Imagine woh tumhe kitna! nahi, kitnaaaaaa!! time deta hoga. Adhe time rishab toh match ke peeche pagal hota hai. Mall Gaye toh bhi phone pe match dekhta rehta hai, score dekhta rehta hai." Trupti said.

"Dekho, durr se toh Everest bhi Sundar dekhta hai par jab pass jao tab pata chalta hai kitna mushkil hai. Tumhe jaisa lagta hai waisa nahi hota har baar, usse company ke bohot kaam hote hai." Pallavi said.

"Is it even possible for a man to not watch cricket and give importance to his partner. Like kaha milte hai ye log? Mujhe bulk order chahiye." Jo said.

"Itno ka tu kya karegi?" Neha asked.

"Aree tum logo ke liye bhi, sab ka bhala hona chahiye."

"Par sach mai itna unrealistic bhi hota hai koi. Matlab Jo cricket ka na ho saka wo kisi ..." Anjali said.

"Shut up Anjali, pallu tu iski baat pe dhyan mat de, ye dono Taraf se bolti hai. It's good ke raghav tumhe time deta hai. Tum bhagyavan ho, aise pati sab ko nahi milte." Neha reassured her.

"Aur bata what's not normal? I mean raghav ke baare mai bata tu mili kaise usse?" Jo asked.

"Ha i mean the richest person in town and a saree shop owner. Matlab kisi movie ya tv show se kaam nahi hai." Trupti said.

"I know, it has been a rollercoaster ride, par bohot badi kahani hai. Aaj nahi phir kabhi, bas itna samjh lo ke wo mere shop ka owner tha aur Amma ne mujhe choice kiya aur shaddi ho gayi. Phir pyaar."

Raghvi - Fantasies Where stories live. Discover now