He Reached MM And Enter The House , There Wasn't Any Expression On His Face
Ri - ahaan kya hua
So - bhaiya hua kya hai
A - (he didn't say anything and went to his room)
R - ye bhaiya ko kya ho gaya
Ka - raj tum kartik ya khushi ko phone karo
R - ji chachu (he was about to call them but he saw khushi entering the house with tensed face) khushi tum aa gayi
Ri - beta bata na kya hua , ishqi kaisi hai
Kh - mumma vo.....
K - arey apke ladle ahaan beta ne nahi bataya kya apko ki kya hua hai
So - chepad tu aisi baate kyu kar raha hai
K - to aur kaisi baate karu sonu , ishqi ki jo halat hui hai na vo bhai ke vajah se hui haii
Kh - sonu main batati hu , actually maine apko msg kiya tha ki ishqi ki condition theek nahi hai but now she is ok means usse hosh aaya hai lekin
Ri - lekin ?
Kh - vo sab kuch bhool gayi hai
R - bhool gayi matlab ?
K - she has a memory loss , vo khudko tak bhool chuki hai
So - kya ?
K - jab usse hosh aaya to vo kisiko pehchaan nahi pa rahi thi
Ka - discharge kab milega usse , hum ghar kab la sakte hai usse kuch kaha doctor ne
Kh - papa hum usse ghar nahi la sakte
So - kyu
Kh - vo jo insaan tha na jisne ishqi ko hospital admit kiya vo koi aur nahi ishqi ka saga bhai hai.
Ri - ishqi ka bhai ?
K - actually mummy vo (he told everything to them)
R - isliye ahaan bhaiya aise.....
K - ab rone se kya hi hoga , ye jo sab kuch unke saath ho raha hai na uske zimmedar vahi hai uss din ishqi ko unhone ghar se bahar nikala nahi hota aur uski side sunn li hoti to ye nahi hota (he left the place with anger)
Here With Ahaan
He Locked The Door And Started Throwing Everything Here And There In Anger . He Was Angry On Himself .
A - sahi kehta hai kartik , ye sab kuch meri vajah se hua hai . har baar ki tarh iss baar bhi maine uspe trust nahi kiya. (he took her photoframe from wall) i know bahut bura hu na main , isliye mujhe itni badi sajaa de rahi ho tum but mujhe ye bhi pata hai i deserve this (he lied on floor and kept her photo on his chest and started crying by remembering their memories together. soon he fell asleep)
In Karshi's Room
Khushi Was Removing Her Hair Pins From Hair
Kartik Came And Back Hugged Her
Kh - kartik , kya hua
K - kuch nahi , thank you
Kh - kis liye
K - tumne aaj sabke samne dadi ka sach bahar nikala isliye
Kh - are you mad kartik ? ishqi jitni important tumhare liye hai utni hi mere liye isliye maine sab kuch kiya, honestly thank you to mujhe kehna chahiye aaj tumne mera saath diya isliye
K - vo to isliye kyuki mujhe pata hai ki meri khushi kabhi kuch galat nahi kar sakti
Kh - itna bharosa
K - 101 % , nahi sirf itna hi kyu 1000 %,10000%, usse bhi kahi jyada
Kh - bas bas, vaise ishqi se milne kab jaane wale ho tum
K - kal
Kh - par kya banakke i mean tum usse kya kahoge tum uske kaun ho
K - ofcourse her bestfriend
Kh - actually mujhe bhi milna tha but kal ka mera schedule tight hai
K - it's ok kabhi aur mil lena
Kh - kartik vo bhaiya......
K - khushi plzz bhai ke baare me tum abhi ke liye kuch mat kaho i don't know ki mera gussa kab thanda hoga so plzz
Kh - it's ok
K - so jaav bahut raat ho chuki hai
Kh - hmm
Next Day
At Hospital
Do - miss ishqi ko hum ab discharge de rahe hai u can take her with you
Ra - itne jaldi discharge
Do - don't worry mr. arora . she is okay now
Ra - okay doctor (he went near ishqi) hi ishqi
I - (smiled) hello
Ra - main tumhara bada bhai hu , raghav arora aur tum ho ishqi arora meri choti behen.
I - hamari baaki ki family nahi hai
Ra - hai na . aur bhi log hai par abhi tumhe discharge milne wala hai so unke ghar ki sabse choti beti ka welcome matlab grand welcom karne ki tayari chl rahi hai so sab log vaha busy hai
I - hamari family me aur kaun kaun hai
Ra - abhi hum ghar jaane hi wale hai tab mil lena
Just Then Maasi Entered
Ma - kya kaha doctor ne
Ra - maasi isse discharge mil gaya hai so me isse ghar leke ja raha hu
Ma - thik hai beta
Ra - ishqi ye hamari maasi
I - inse to main mil chuki hu jab aap doctor se baat kar rahe the
Ra - oh , ab ye dress pehenkar jaldi se ready ho jaav
I - okay bhai
Ra - kya kaha tumne
I - bhai
Ra - (a tear fell rolled down from his eyes) (he hugged her tightly and kissed her hair) ready ho jaav jaldi
I - kya hua bhai ? aap theek hai na
Ra - ha baba , main theek hoon. tum jaldi se ready ho jaav. maasi iski help kar dena
Ma - ji beta
After Sometime
He Reached Arora Mansion With Ishqi
I - itna bada ghar ?
Ra - ha , tumhara ghar
I - bahar se hi itna bada hai andar to kya kya hoga
Ra - andar chalo fir dekhna kya kya hai
I - hmm (they both enter the house)
As Soon She Entered, Rose Petals Started Falling On Her
And Then Eveyone Came There
Everyone - Welcome Ishqi (happily)
I - thank you , thank you so much
Ra - andar chalo
I - ha
(note:- raghav has already told them about ishqi's memory loss and about ahaan , so they will act as if ishqi is living with them since her birth)
Aa - (she hugged ishqi) kaisi hai ab meri beti
I - (the moment she hugged her , she felt warmth , she quickly understood that she is her mother) main thik hu maa
Aa - (in mind - tumhe andaza tak nahi hoga beta ki itne saalo tak hum sabne tuze kitna miss kiya hoga)(broke the hug)
Sh - apne papa se nahi milogi
I - papa (she goes to him and hugged him)
Sh - meri pari (caresses her hair)(broke the hug) ab dekhna kaisa khayal rakhte hai hum apni pari ka
I - itni bhi care karne ki zaroorat nahi hai papa, main abhi theek hu
Sh - oye abhi tak 1 din pura nahi hua tuze hospital se aane se aur keh rahi hai ki theek ho gayi, chup chap pure din sote rehna ghar me
I - okay papa
Pa - hi ishqi , mein hu tumhari bhabhi , tum mujhe kuch bhi bula sakti ho
I - okay bhabhi
Raa - haww this is not fair bua. aapne sabse mil liya lekin mujhse nahi
I - (she bent down at her level) sorry baccha, lekin ab to mil rahi hu na apse
Raa - it's ok
I - vaise apka naam kya hai
Raa - guess kijiye
I - arey aise kaise guess karu
Raa - main apko hint du
I - okay
Raa - mera naam mumma-papa ke naam se bana hai
I - bhai aur bhabhi ke naam se ?
Raa - hmm
I - okay let me guess (thinks for sometime) raavi ?
Raa - correct, that's like my smart bua
Pa - khudko to padhai ka kuch nahi aata , na hi intrest hai padhai me . aayi badi bua ko compliment dene wali
Raa - papa dekho na mumma mujhe kaise bol rahi hai
Ra - offo pallavi kyu meri bichari bacchi ke peeche padii ho
Pa - dekha ishu , ye aisa hai baap-beti ka , bighaadke rakh diya hai isse
Raa - bua aap mumma ki bilkul mat suno unki to adat hai mere baaare me aisi baate karna
Ra - bas ho gayi baate ishu cake cut karle
I - cake bhi hai
Pa - maine apne haato se banaya hai
I - really bhabhi? chaliye fir cake cut kar lete hai
Then She Cut The Cake And Then They Chit-chatted with ishqi .
Like This Some Days Passed
Ishqi Bonded With Everyone So Quickly
Karshi Met Ishqi So She Bonded With Them Also
In MM No One Was Talking Nicely With Ahaan Which Was Increasing His Guilt More
One Day
Khushi Came In Ahaan's Room And Kept The Breakfast On Side table
Kh - breakfast rakha hai yaha kha lijiye (she was about to leave but he stopped her)
A - khushi plzz atleast tum to mujhse acche se baat karo i know meri galati hai par mujhe bas ek mauka do main sab kuch sahi kar dunga
Kh - (she sat beside him) bhaiya kaise ? kaise aap sab theek karenge. ishqi ke saath jo kuch bhi ho gaya kya aap vo badal sakte hai nahi na, to .
A - main ye sab nahi badal sakta par khudko to badal sakta hu , plzz mujhe maaf karo khushi , mujhse bolo, tum logo ki chuppi mujhse bardasht nahi ho rahi
Kh - it's ok bhaiya. kar diya maine apko maaf. lekin ishqi nahi karegi
A - vo tum mujhpe chod do
Kh - kaise karenge aap ye aur raghav bhaiya ke hote wakt aap kaise ishqi se mil paayenge kaise sab kuch sahi karenge
A - agar tum mera saath dogi na to sab kuch sahi ho sakta hai
Kh - main ?
A - ha tum
Kh - main kaise
A - mujhe bas tum saari information deti jaav matlab ishqi kahi bahar ja rahi hai ya nahi , agar ja rahi hai to kaha sab kuch
Kh - abhi to main usse 3 din pehle mili thi tab vo kahi nahi ja rahi thi ab ka pata nahi
A - ha to vahi pata karo aur mujhe batav
Kh - idea , main ishqi ko call karke aati hu
A - oye rukk , yahi pe call kar mujhe bhi uski awaaz sunani hai
Kh - pehli baar main kartik se chupake ye sab kar rahi hu
A - bhaiya bolti ho na mujhe bhaiya ke liye itna to kar behen
Kh - okay (she dialed ishqi's phone no. she picked the call) hello ishqi
I - hi khushi (listening to ishqi''s voice a smile appeared on his face)
Kh - kaisi ho tum abhi
I - arey yaar har koi ye puchke mujhe aur bimaar kar raha hai
Kh - (she chuckled) vaise ab tum kahi bahar ghumne ja rahi ho
I - nahi but guess what
Kh - what
I - maine na apni cute si shakal ka use kiya aur kya kehte hai vo ha puppy eyes vo puppy eyes banake na bhai ko mana liya ab kal se na main college jaane wali hu i am so excited
Kh - college ?
I - ha , actually main ghar bethe bethe bore ho rahi thi tab maasi ne mera kuch saman unke ghar tha vo yaha bhej diya tab mujhe meri bachpan ki diary mili usse mujhe pata chala ki mujhe event management ka course karna tha ab maine vo kyu nahi kiya ye to mujhe bhi nahi pata aur ghar me sab keh rahe hai ki maine kabhi kisiko mere iss dream ke baare me bataya nahi to main ab vo course karne wali hu
Kh - that's a great news
I - vahi to , by the way kartik kaisa hai usse mera hi batana
Kh - sure
I - chal bye, mujhe bahut saari tarai karne hai parso college hai
Kh - okay main tumse kal milne aa jaungi tumhe thodi help bhi kar dungi
I - that's so sweet of you khushi, lagta hai tera janam hi logon ko khush karne ke liye hua hi isliye tera naam khushi hai
Kh - kartik ke saath rehke uske jaise joke maarne lagi ho
I - (laughed)chal bye good night
Kh - good night take care bye (they decline the call) bhaiya kya plan hai
A - main bhi college jaunga
Kh - sorry bhaiya apka touchy topic nikal rahi hu par iss umar me college me , kaisa lagega i mean...(he glared) nahi koi baat nahi aap abhi bhi college boy lagte hai
A - agar main student banke gaya na sab log ye bolenge ki the ahaan veer malhotra ab kyu college ja raha hai unhe ishqi ki tarh kahi misunderstanding na ho ki maine purani delhi se jhooti degree banwa li hai isliye main student banke nahi jaunga
Kh - to
A - professor ahaan veer malhotra
Kh - bakwas plan
A - excuse me
Kh - apne vo degree li hai jo college main padhane ke liye lagti hai
A - yess darling
Kh - haww kab
A - meri umar na aise hi jyada nahi hai , business to mera passion tha hi but ek dusra option rakhne ke liye maine vo degree li thi
Kh - lekin ek din me apko koi vaha as a professor kaise rakhega
A - tum bas college ka naam kya hai ye ishqi se nikalo aur mujhe batav
Kh - fine
A - just and watch khushi main meri ishqi ko phirse apna pyaar kaise yaad dilata hu
Kh - par bhaiya ek baat bolu
A - hmm
Kh - aapko jyada efforts tab karne padenge jab ishqi ki memory vapas aa jayegi kyuki tab unke mann me bhara gussa jaag jayega aur vo ekdam sahi hai kyuki dekhiye main dadi ka sach bahar isliye nikal paayi kyuki mujhe pata tha ki mera kartik main agar kuch bhi karungi to mujhe support karega meri baat sunega to jahir si baat hai yahi ishqi ko bhi laga hoga na par apne kya kiya sabke samne uske liye stand liya fir badme usse ghar se nikal diya
A - i know khushi, par jab tak vo maanegi nahi tab tak me usse manata rahunga i will wait for her
Kh - i hope abhi aap jo karne wale hai usme aap successful ho jaye
A - vo to main hone hi wala hu
Precap - ahaan ka naamkaran and ishqi's first day in college
YOU ARE READING
Family Ties 💞💞
FanfictionThis Story Starts When Dadi Gave Drugs To Ishqi What If Ishqi Had Tried To Escape From There And Met With An Accident And Had A Memory Loss . Ishqi's Family Is Found. Let's See How Ahaan Will Bond Up With Them As They Hates Him As He Didn't Trust Is...