Sh - ek min.. main jara ishqi se baat karke aata hu
A - nahi papa.. main chahta hu ki ishqi mujhe dil se maaf kare na ki kisine samjhaya hai isliye so plz ishqi ko apna time lene dijiye.. vaise bhi maine jo kiya hai aur jo kuch baatein usse kahi hai vo bhulake mujhe ek aur chance dena bahut mushkil hai
Sh - ahaan main usse samjhane nahi ja raha hu.. main uske mann me kya chal raha hai vo janana chahta hu..
A - ok
Sh - main aata hu (he went to ishqi's room and found her sitting on the floor by the support of bed and was deeply thinking something so he sat beside her) kya hua baccha?
I - kuch nahi papa
Sh - kya soch rahi ho
I - kuch nahi
Sh - jhoot bolna nahi aata tumhe
I - to kya karu
Sh - tumhare mann me kya chal raha hai.. kya socha hai tumne ahaan ke baare me
I - papa main ahaan se bohot pyaar karti hu.. aur hamesha karti rahungi isliye main bohot koshish kar rahi hu.. sab kuch bhulake unko maaf karke hum ek nayi zindagi shuru kare lekin mann me ye sawaal aata hi hai ki unhone mujhpe trust kyu nahi kiya jab ki vo mujhse itna pyaar karte hai... to darr lagta hai ki main ek aur chance dungi aur firse kuch aisa hoga ki ahaan mujhpe trust nahi karenge to main buri tarh se tut jaungi
Sh - it's ok ishu.. jab tak tum ahaan ko dil se chance dena nahi chahti to hum tumhe force nahi karenge..
I - thank you papa
Sh - (he passsed a smile and then left)
In Evening
Neil Was Also In Arora Mansion And Everyone Were Chit-chatting And Aastha-Shaan Were Telling Youngsters Their Childhood Memories
Aa - raghav aur naina kitne jhagdate the ek dusre se
N - aur aap hamesha uska saath deti thi
Sh - par main to apni princess ka saath deta tha na
Aa - uske baad ishqi ke aane ki news aayi tab ye dono 6 saal ke the.. dono ko behen hi chahiye thi..
N - mujhe doll se pyaar tha to maine mumma se kaha tha ki mujhe doll jaisi behen chahiye
Ra - aur mujhe aisi behen chahiye thi jo iss pagal ki nahi (hitted naina's head) meri side le
N - teri to (she hitted his arm)
Ne - naina kya baccho jaisa behave kar rahi ho
N - neil tum iski side mat lo
Pa - kya galat kaha usne.. raghav tumhari ek beti hai ab to bade ho jaav dono.. abhi bhi baccho jaise ladte ho.. pata hai neil ahaan, bachpan me bhi na ye dono aise hi ladte hai
A - bhabhi aap inhe bachpan se jaanti hai
Pa - actually main raghav aur naina ek hi school me padte the.. main aur naina best friends the so main raghav bhi freinds ban gaye
N - aur isko to school se hi pallavi pe crush tha.. fir college ke farewell party wale din maine isse force kiya isliye propose kiya varna ye to darr raha tha ki kahi pallavi isse reject na kare
A - to apne ha kar diya bhabhi
Pa - ha
N - vo sab chodo.. raghu tujhe yaad bhi hai abhi humare ishu ka birthday aa raha hai
Ra - uss din ko kaise bhulunga main.. kitna khush the hum sab ki finally ek new member ghar me aa raha hai lekin badme kitna roye the hum
Aa - har saal uss din hum sab rote the lekin chupke chupke
I - maa.. plz.. ab to main aa gayi hu na vapis so ab no more senty talks
Ra - iss baar ka ishu ka iss ghar me pehla birthday hai.. celebration to banta hai.. kyu papa
Sh - kyu nahi
Pa - vaise bhi preparation ke liye 1 week hai.. sab ho jaayega
I - papa birthday hi to hai.. jyada kuch karne ki zaroorat nahi.. aap log mere saath hai vahi kaafi hai
N - bilkul nahi.. ishu hum teri baat nahi sunenge.. mere chotu sister ka birthday hai aise kaise grand nahi hoga
Ne - naina bilkul sahi keh rahi hai ishqi
I - jiju par..
Pa - par var kuch nahi.. tera birthday grand hi hoga
I - fine
A - (in mind - shaadi ke baad ka pehla birthday hai tumhara.. i hope main isse aur special bana paau)
Next Day
In Malhotra Mansion
Ahaan Was In His Room And Lying By Keeping His Head On Savitri's Lap And Was Telling Her About Naina
(Note - Ahaan Had Brought Savitri To MM On Karshi's Anniversary So She Is Living There)
A - maa.. bichari naina di ne kitna suffer kiya na
S - i am so proud of you beta.. accha hua tune saari misunderstangis clear kar di
A - maa... ishqi mujhe maaf karegi na (with teary eyes)
S - karegi beta.. dekh main ishqi ko jaanti hu.. vo tuhse bahut pyaar karti hai.. vo tere bina nahi jee sakti.. bas uska gussa thanda ho jane de aur tu usko manane ki koshish karta reh
A - vo to main karunga hi.. bas aap sab log mere saath rahiye
S - hum to tere saath hai hi
A - pata hai maa.. yaha se jaate wakt ishqi ne kaha tha ki jab iss ghar ki badi bahu iss ghar me aayegi tab hi uska (ishqi) asli grihpravesh hoga.. jab ishqi mujhe maaf karegi na tab yaha vo aayegi to aap hi uski arti kariyega
S - jaroor
A - maa uska birthday aa raha hai... mujhe samajh nahi aa raha kya gift du main usse
S - dekh hamesha koi mehengi cheez dene se vo special gift nahi ban jaata... kuch aisa soch jiske vajah se ishqi ko accha lage
A - okay.. thank you maa
S - (she kisses his forehead)
Fast FWD
1 week passed but ishqi was still confused about her decision and ahaan was trying his best to pacify ishqi but everytime she used to ignore him
It Was Night Before Ishqi's Birthday
Pa - 12 bajne wale hai.. sirf 5 min baaki hai
Ra - to tab tak upar jaate hai aur jaise hi 12 bajenge.. hum room me enter karenge
Sh - done (so the aroras went to ishqi's room and at sharp 12 they entered the room)
Everyone - Happy Birthday Ishqi
I - (she was busy in books but the aroras took out her from her study land) thank you so much
Aa - chal ab jaldi se cake cut kar
I - itna sab karne ki kya zaroorat hai.. already aapne itni badi party rakhi hai raat ko
Pa - dekh tu na ab sanskar ki devi mat ban.. ab jaldi se cake cut karle
I - hmm (she cut the cake and feed everyone and they give gifts to her) chaliye ab ho gaya celebration.. ab so jaiye varna kal subah na aap uthoge na main
Sh - good night
I - good night (then everyone left) hayee... aaj tak mera birthday itna special kabhi nahi gaya.. thank you bhagwan ji meri cute si family mujhe lautane ke liye.. abhi to filhaal bahut pyaas lagi hai.. paani lana padega jug me khatam ho gaya (she took the jug and went downstairs and fill the jug.. she was drinking water and just then someone back hugged her.. at first she was shocked but then she immediately recognized that it was ahaan) Mr. Malhotra
A - kaise pehchana tumne
I - (she sensed that he was drunk) aap tunn hoke aaye hai (she turned towards him and said)
A - (he nodded in yes)
I - hey bhagwan.. aap yaha kya kar rahe hai
A- ab kya problem hai tumhe... ab to sabne mujhe maaf kiya
I - dekhiye mujhe problem iss baat se hai ki aap tunn hoke kyu aa gaye
A - matlab main aaya to tum khush huyi
I - (she didn't say anything)
A - main bhi na.. jo kehne aaya tha vo to kaha hi nahi.. happy birthday my love (he said it in her ear and then kisses her on forehead)
I - Mr. Malhotra... you are not in your senses.. chaliye ab room me (she somehow managed to took him in her room and then lied him on bed.. she quickly closed the door)(she hasn't locked the door just shut it) aisa bhi kya hua hai jo aapne itni pi li
A - yaha aav (he pulled her hand and made her sit beside him) tum mujhse baat nahi kar rahi isse bada aur kya reason ho sakta hai mera itna drink karne ka... ishqi tumhari yadash wapas aane ke baad almost 2 weeks tak tum mujhse baat nahi kar rahi ho.. ishqi pata hai mujhe na khudka birthday celebrate karna bilkul pasand nahi hai.. pucho why?
I - why?
A - main 7 saal ka tha jab maa aur papa dono mujhe chodke chale gaye... tab se daadi ne mere mann me maa ke baare me nafrat bhari hai.. so mujhe lagta tha aisa din main kyu celebrate karu jiss din uss aurat ne mujhe janam diya... maa-papa ke jaane ke baad chachu-chachi ne kabhi sonu-main aur kartik me fark nahi kiya.. sabko equally pyaar diya.. ... kartik aur sonu 4 saal ke the.. to hum teeno me main hi bada tha.. bada hone ke naate maine bachpan se hi bado ke jaise behave karna chalu kar diya aur khudka childhood bhool gaya.. maa jane ke baad jo humare ghar ki badnaami hui thi vo maine dekhi hai to jo daadi kahe vahi mujhe sahi lagne laga.. vo meri sb kuch bann gayi.. unhone paal poske bada kiya tha hume... mere mann me jitna pyaar daadi ke liye tha utni nafrat maa ke liye thi.. unka kisine zikr karne ke baad to mera gussa saat ve aasman par jaata tha.. kahi baar issi baat pe maine sonu ko bhi daanta hai.. ussse unki bahut yaad aati thi to vo chupke-chupke unke photo frame se baat karti thi par maine vo bhi kachre me fek di.. logo ke liye unki childhood memories best hoti hai aur mere liye mera childhood hi worst tha... fir hum bade ho gaye.. main chachu ki business me help karne laga aur fir main CEO Ahaan Veer Malhotra ban gaya... mere liye sirf mera business aur meri family important thi nothing else pyaar to durr ki baat thi.. fir tum aayi aur tumne sab kuch badal diya.. iss sadu, akdu, chidku ahaan veer malhotra ko ishqi ka avm, cutu bana diya.. but hamari kismat kuch alag hi hai.. you were my best friend's fiance.. mujhe kartik humesha chidata tha par main to bas denial me raha.. jab party ki raat tumne poolside pe mujhe apni feelings share ki thi tab to meri halat hi kharab ho gayi thi.. mujhe tumhare aur mayank ke beech aakar meri maa ki tarh nahi banna tha.. and jab tumne mayank se shaadi tod di mujhe laga ki tum mujhse pyaar karti ho isliye tumne ye sab kiya.. mujhe tum me meri maa dikhne lagi... jaise unhone kisi aur ke liye mere papa ko choda vaise hi tumne mere liye mayank ko choda aisa mujhe lagne laga.. and that's why maine tumhari zindagi barbaad kar di par jab mujhe asli vajah pata chali tab main bahut guilty feel karne laga.. par vo sirf guiltiness nahi thi tumhare liye jo main feel karta tha vo pyaar bhi tha jo maine uss vakt realise nahi kiya.. par jab maine vo realise kiya tab bhaagke tumhe rokne aaya... tab maine tumse vaada kiya tha ki main humesha tumpe trust karunga, tumhe samjhunga but unfortunately vo main nahi nibha paaya.. jab rhea ne mujhe tumhari aur maa ki video dikhayi mujhe bas yahi dikh raha tha ki tum uss aurat ki help kar rahi thi jiske vajah se meri family ki badnaami hui... 20 saal ki vo saari nafrat bahar aa gayi aur gusse me maine tumhe jaane se kaha.. ishqi i swear maine vo sab sirf gusse me kaha tha.. i really didn't mean that... aur jab tumne divorce papers sign kiye main tut gaya.. upar se daadi tumhare aur maa ke baare me mujhe hamesha se kuch na kuch kehti thi... ishqi i trust you par tumne jab daadi ko bura kaha maine trust nahi kiya kyuki unhone jo image khudki khadi ki thi hamare saamne vo kuch alag thi aur vo asal me kuch alag thi.. mujhe humesha se aisa hi lagta tha ki meri daadi kabhi galat ho hi nahi sakti.. ab kal ko aake koi tumhe aisa kahe ki maasi buri hai vo acchi nahi hai.. would you trust that person chahe vo main bhi kyu na ho..
I - (she nodded in no)
A - vaisa hi kuch mere saath hua ishqi.. daadi mere liye meri puri duniya thi... maine unpe bhagwan se bhi jyaada trust kiya tha... isliye maine tumhari baat nahi maani
I - maana ahaan ki aapne iss vajah se mujhpe trust nahi kiya par at least meri baat to sunte
A - i know ishqi.. it was my fault that i didn't give you a chance to explain.. par aage se aisa nahi hoga.. aage agar aisi koi bhi situation aa gayi to sabse pehle main tumhari baat sununga
I - kya guarantee hai iss baat ki?
A - iss baar jo hua hai vo sab yaad ayega mujhe to aisi galti main kaise doharaunga.. ishqi you are my everything... bachpan se bas logo ko saharaa dete aaya hu.. you are the first person jo mera sahara bani (tears started falling from his eyes) main tumhe khona nahi chata ishqi.. tumhare bina main ji nahi paunga.. i love you and i really need you.. plz maaf kar do mujhe (he hugged her from waist and started crying where ishqi was also crying.. they both remained in that position and didn't even realise when they dozed off)
In Morning
As It Was 12'O Clock And Ishqi Hasn't Came For Breakfast So Everyone Went To Her Room And Saw Ishqaan Sleeping In Each Other's Embrace Peacefully
Pa - lagta hai inn dono me sab theek ho gaya
Ra - even i think the same
Aa - kitne pyaare lag rahe hai mere bacche
Just Then Ishqi-Ahaan Woke Up... They Were Shocked Seeing Their Position So They Separated And Then Looked At Their Family Who Was Looking At Them Naughtily
Pa - good morning guys
Ra - kyu ishu.. kaisa raha celebration
Aa - asli celebration to aaj raat hoga ab ishqi aur ahaan me sab kuch theek jo ho gaya
I - maa aisa kuch nahi hai.. humare beech kuch theek nahi hua hai (she quickly ran from there)
Sh - i am sorry ahaan
A - papa aap kyu sorry bol rahe hai.. apne hume uss halat me dekha to apko vahi lagega na (in mind - kal jo hua uske baad pata nahi ishqi ab kaise react karegi)
Precap - Ahaan's Special Gift
YOU ARE READING
Family Ties 💞💞
FanficThis Story Starts When Dadi Gave Drugs To Ishqi What If Ishqi Had Tried To Escape From There And Met With An Accident And Had A Memory Loss . Ishqi's Family Is Found. Let's See How Ahaan Will Bond Up With Them As They Hates Him As He Didn't Trust Is...