At Late Night
Ahaan Slowly Came Out Of His Room And Then Opened The Door And Left The House... He Went Somewhere To Meet Someone By Car.. After Meeting The Person He Came To Home
At Morning
Everyone Was At Dinning Table Except Ahaan
Pa - ye ahaan nahi aaya
Ra - kaha hai vo
Pa - room me hi hoga
Ra - jake bulav usse
Pa - thike (she was about to go but saw ahaan coming downstairs) lo aa gaya
A - good morning everyone
Pa - good morning
Ra - jaldi se breakfast karo mujhe kuch kaam hai
A - kya hua Raghav ?
Ra - pehle tum khaav fir bataunga
I - bye bhai main college ja rahi hu
Ra - rukk ishu.. aaj koi kahi nahi jayega.. maa-Mr. Arora aap bhi rukiye
Aa - hua kya hai Raghav kuch bataoge
A - Raghav tum pehle ye bataav hua kya hai.. fir kha lunga main
Ra - fine (he got up from chair and went towards living room so everyone followed him)
A - bolo Raghav kya baat hai
Ra - (he took out his mobile and show everyone a photo of ahaan and the person he met at night) tu isse milne gaya tha
A - ye photo tumhare paas kaise aayi
Ra - mere sawaal ka jawab do.. tu isse milna gaya tha ya nahi
A - ha.. gaya tha main inse milne
Ra - kyu hamare purane jakham ko bahar lana chahte
A - tum ye kya bol rahe ho
Ra - pata hai ye kaun hai
A - ha.. ye Kabir Khurana hai..
Ra - yes.. Kabir Khurana.. 2 saal pehle jo hua tha uske baad aroras aur khuranas ka ek dusre se koi lena dena nahi hai.. khuranas ne ki hui hamari bezzati kaise bhule hum
A - what?
Ra - ab aise to react bilkul mat karo jaise tum kuch jaante hi nahi ho.. kyu gaye the usse milne.. aur pehli baat to tujhe kaise pata chala ki humare aur khuranas ke beech kya hua tha
A - mujhe kuch nahi pata hai aur vahi main pata karne gaya tha
Ra - it means tumhe hamara past hamare saamne firse lana hai
A - aisa kuch nahi hai
Ra - to kyu gaye the tum
A - naina di... unke aur apke beech kya hua ye janane ke liye main unse mila tha na hi apke aur unn khuranas ke beech kya hua ye janane... ghar me aaye hue 2 din ke baad sabke mu se bas naina, naina, naina, naina... to kya karta main aur koi mujhe kuch bata hi nahi raha tha ki naina di hai kaun.. maa papa ki baat sunane ke baad at least mujhe ye to pata chala ki naina di ishqi ki badi behen hai aur tumhari judwa behen.. kal Bhabhi ko store room se kuch samaan chahiye tha vo lene jab main gaya tab maine Kabir aur naina di ki wedding card dekhi to mujhe laga ki shayad Kabir khurana mujhe bata sakta hai ki kya hua tha.. main bas naina di aura ap sab logo ko milwana chahta tha.. apki ek badi beti hai aur aap usse naraaz ho par shayad vo apko miss karti hogi na.. aur chote galtiya karte hai to bado ne unhe daatna chahiye, samjahna chahiye par iska matlab ye nahi na ki unki galati ki sazaa aap unse baat na karke de.. so main bas itna chahta tha ki papa aur naina di ka patch up ho that's it isliye unn dono ke beech kya hua tha ye mujhe janana tha.. (he went to shaan) papa aap ek baar naina di ko call kariye, unse baat kijiye na, agar aap dono ke beech kuch misunderstandings hui ho to vo durr kariye na
Sh - kaise call karu usse, kya sawaal puchu usse, kya baat karu usse jab naina iss duniya me hi nahi hai
A - (he got totally shocked as he didn't know this) kya ?
Sh - bahut shauk hai na tumhe.. naina aur hamare beech kya hua tha ye janane ka to suno.. naina ki shaadi humne Kabir ke saath fix ki thi.. usne khud shaadi ke liye ha kardi.. vo khush thi to hum sab khush the.. kisi bhi cheez ka pressure nahi diya humne uspe.. par shaadi ke din shaadi ka joda pehen ne se bhi pehle ye ladki bhaag gayi kyuki vo hamare office me kaam karne wale ek employee se pyaar karti thi aur vo kabir se shaadi nahi karna chahti thi.. usne uss employee ke liye khudki jaan leli.. aur usne cheat chod di ki main uske siva kisi aur se shaadi nahi kar sakti isliye main khudki jaan de rahi hu.. humne shaadi se pehle usse hazaar baar pucha ki naina tumhe ye shaadi karni hai ya nahi vo hamesha ha bolti rahi.. jiss din usne apni jaan dedi uss vakt se vo meri beti nahi rahi.. vo marr gayi.. par vo mere mann se utar gayi... princess ki tarh usse paala humne.. par usne kya kiya.. suicide ki
Ra - ek min Mr. Arora usne suicide ki par uske zimmedar aap the.. apni beti ke mann me kya chal raha hai aap ye kabhi jaan hi nahi paaye.. vo ha karegi hi kyuki vo hum sabse pyaar karti thi to usse laga ki family ne suggest ki hue ladke ko mana nahi karna chahiye.. par aap ko itna tak nahi samajh aaya ki vo kya chahti hai.. vo khush nahi hai.. main agar business trip pe nahi gaya hota to aaj vo jinda hoti but becase of you she did suicide.. you are a murderer Mr. Arora.. Khoon Kiya Apne uska
These Words Of Raghav Broke Shaan
Ra - (to ahaan) aur tu.. tujhe to free ka entertainment mil gaya na.. humari purani jakham pe namak chidake.. naina mere liye kitni important thi ye tun ahi jaanta
A - agar itni hi important thi to pura sach janane ki koshish kyu nahi ki aapne
Ra - matlab
A - kis guarantee se aap log bol rahe hai ki naina di kissi aur se pyaar karti thi.. aur uske liye usne apni jaan dedi.. aisa bhi to ho sakta hai na ki jo apko lag raha hai vo sach nahi hai.. sach kuch aur hai
Aa - iss baat se main bhi agree hu.. ahaan maine tumhe samjhaya tha ki naina ka topic mat nikalo.. but tumne meri nahi suni par ha ek cheez to acchi hui ki jo mujhe lagta hai vaisa hi tumhe bhi lagta hai.. meri bacchi naina kabhi kuch galat kar hi nahi sakti hai
Ra - maa point vo nahi hai.. abhi bas itna point hai ki isne hume firse vo baat yaad dila di.. iske vajah se vo saari ghatiya yaade firse yaad aayi.. naina ki death ye meri zindagi ka aisa chapter hai jo main chahke bhi bhool nahi sakta.. ab 2 saal baad jab hum apni life firse start kar rahe hai to isne firse hume vahi lakar khada kar diya.. Malhotra naam me hi gadbad hai.. uss neil Malhotra ke liye naina ne apni jaan dedi aur iss ahaan Malhotra ke vajese ishqi... (he was about to complete his sentence but he realized that ishqi is also there) itna sab hone ke baad tum iss ghar me nahi reh sakta
A - Raghav kitni baar kahu main ki main naina di aur tum logo ko milana chahta tha na ki tum logo ko hurt karna chahta tha
Ra - mujhe itna gussa aa raha hai na ki main bata nahi sakta aur agar tu ek aur second bhi yaha ruka na I swear (he was about to punch ahaan but ishqi came between)
I - bhai nahi
Ra - ishu tu nahi jaanti ki naina mere liye kya thi so tu durr reh
I - bhai I know par... (before she could complete her sentence her gaze fall on shaan who fainted due to panic attack) papa (she ran to him) papa kyu hua apko
Ra - mr. arora kya ho raha hai apko ?
Aa - shaan kya hua ?
Pa - Raghav inhe room me leke jaav doctor ko main jaldi se bulaati hu
Ra - ha (he took him to his room so Pallavi and aastha went to their)
A - ishqi I am..
I - kuch mat kahiye Mr. Malhotra
A - Mr. Malhotra ? ishqi call me avm
I - nahi Mr. Malhotra... ab jo kahungi main kahungi.. ye jo papa ki halat hui hai na iske responsible aap hai... jab aapne mujhse naina di ke baare me pucha maine apko samajhaya ki avm aap iss baat se durr rahiye par apne kya kiya.. kyu mahanata dikhani hai apko ki dekho kaise maine arora family ko unki beti se milwaya
A - ishqi kya bol rahi ho.. main mahanata dikhane ke liye ye nahi kar raha tha.. mujhe sach me lag raha tha ki main tumhe tumhari badi behen se milaau.. par mujhe nahi pata tha ki naina di iss duniya me nahi hai
I - pehli baat to na aap accept hi nahi karna chahte ki apki galati hai.. mujhe bhi naina di iss duniya me nahi hai ye baat pata nahi thi par Bhabhi ne samajhane ke baat main iss baat se peeche hati na to apko kya zaroorat thi purane panno ko nikalne ki.. lagte kaun hai aap hamare so you don't have any right to interfere in our life
A - ishqi plz try to understand.. main sach me hurt nahi karna chahta tha tumhe
I - Mr. Malhotra sirf maine hi nahi... Pallavi Bhabhi aur maa ne bhi apko samjhaya but you still tried to know about naina di... to iska matlab yahii hua na ki aap hume hurt karna chahte the...
A - ishqi aur kitni baar me bolu ki mera intention von ahi tha aur agar mujhe pata hota na ki naina di iss duniya me nahi hai to shayad me ye topic nahi nikalta
I - aap ko na apni galati na dikhai de rahi hai aur na aap usse accept karna chahte hai to apse bolne ka kuch matlab nahi... ab meherbani karke aap plz yaha se chale jaiye.. already mere papa ko panick attack aaya hi hai.. so plzz it would be better if you leave frome here
A - listen na
I - leave Mr. Malhotra
A - trust me.. main tum logo ko hurt nahi karna chahta tha
I - dekhiye aap mere guru hai.. so isliye acche se samjha rahi hu varna koi aur hota na to mummy kasam dhakke maar ke bahar nikala hota.. mere papa ki halat ke zimedar aap hai... sirf aur sirf aap
A - ishqi plz just listen to me for once
I - get out Mr. Malhotra (she said loudly and left the place)
A - (he fell on his kness and started crying badly) jitna sab kuch accha karne ki koshish karta hu utna sab bighad raha hai (and then soon he left the house)
At Evening
In Shaan's Room
I - papa.. ab kaise hai aap ?
Sh - I am fine beta
I - pakka na
Sh - ha
I - apko kisi bhi cheez ki jaroorat pade to mujhe bataiye main apne kamre me hi hu
Sh - hmm
I - main chalti hu.. tab tak ap rest kijiye (she left from there)
In Miidway Pallavi Stopped Her
Pa - ishu ahaan kaha hai?
I - chale gaye
Pa - tune bahar nikala usse
I - to unki pooja karni chahiye thi
Pa - ishu uska intention galat nahi tha
I - Bhabhi aap agar unki side lena chahti hai to plz iss topic pe mujhe koi baat nahi karni
Pa - par tu mujhe bata ki uss bechare ki galati kya hai ha mana ki usne humare personal matter me interfere kiya but vo acche ke liye hi na
I - par uska anjaam hum bhaugat rahe hai.. bhagwan ka shukar hai ki sirf panic attack hai varna....
Pa - ishu isme sirf ahaan ki galati nahi hai.. Raghav ki bhi galati hai infact uski jyada galti hai.. usse kya jaroorat thi papa ko murderer kehni ki... vo baat unhe jyada dil pe lagi isliye unhe panic attack aaya
I - but bhaiya ne bhi papa se ye kyu kaha kyuki avm ne vo topic nikala jab hum ghar walo ne kaha tha ki mat pado isme to inhone directly Kabir khurana ko milne ka socha
Pa - tu aur tera bhai dono ek jaise hai.. tum dono ko main aur samjha nahi sakti (she left)
Here Ahaan Came To Malhotra Mansion
A - (he rung the door bell and kartik opened it)
K - bhai aap
A - (he didn't say anything and hugged him tightly while crying) usne meri baat nahi suni kartik.. I swear main sab uske acche ke liye kar raha tha
K - bhai kya hua hai.. bataiye
A - (he broke the hug) sab khatam ho gaya.. ab main usse kaise manau
K - bhai pehle aap andar aaiye
A - (he came inside and sat on sofa)
K - Khushi, mummy-papa bhai aaye hai (everyone came)
Kh - kya hua bhaiya aa ro kyu rahe hai
A - (he told them everything)
K - ishqi ne apko nikal diya
A - hmm
Kh - bhaiya main baat karu kya usse
A - nahi Khushi.. vo tumhari bhi baat nahi sunegi
Ri - to tu kya karega ahaan
A - uska gussa thanda hone ka wait.. vaise bhi college me to main usse baat kar sakta hu na... tab usse firse samjhane ki koshish karunga
Ka - don't worry ahaan.. maan jayegi vo
Kh - bhaiya ishqi ke papa ko panic attack aaya isliye usne aisa behave kiya ab vo thande dimaag se sochegi.. I am damn sure.. fir mana lijiye usse
A - I hope vo maan jaye
K - bhai aap himmat mat hariye.. everything will be ok
A - hmm
A week passed but still ishqi wasn't talking to ahaan at college... whenever he tried to talk to her she ignored him...
One Day
Ahaan Was In His Room And Drinking Beer
A - kaisi kismet hai meri.. kabhi bhi kuch bhi sahi ho hi nahi sakta.. but I deserve all this.. maine ki hui galtiyo ki sazaa mil rahi hai mujhe.. usne meri baat kyu nahi suni.. main kehta raha ki maine jo kiya uske peeche ke intentions bure nahi the.. par vo manane ko tayar hi nahi hai.. kyu bhagwan.. kyu kar rahe ho aap mere saath
Someone - ab pata chala Mr. Malhotra kaisa lagta hai jab koi aap par trust nahi karta aur bina aapki baat sune apko ghar se nikal deta hai
A - (he was shocked by seeing the person) ishqi
Precap - Ishqi's Breakdown
Don't forget to vote and drop a comment ❤️❤️
![](https://img.wattpad.com/cover/320736663-288-k855050.jpg)
YOU ARE READING
Family Ties 💞💞
FanfictionThis Story Starts When Dadi Gave Drugs To Ishqi What If Ishqi Had Tried To Escape From There And Met With An Accident And Had A Memory Loss . Ishqi's Family Is Found. Let's See How Ahaan Will Bond Up With Them As They Hates Him As He Didn't Trust Is...