At Evening
The Setup Was Ready... And Our Birthday Girl Was Also Ready... The Aroras Performed A Family Dance Performance.. Malhotras Were Also Present... (sirf aroras malhotras and naina-neil hi the aur koi jyaada guests nahi)
With Karshi & Ahaan
K - bhai kya plan hai?
A - kaunsa plan
Kh - offo bhaiya.. aaj ishqi ka birthday kuch to gift laya hoga na
A - maine koi gift nahi laya
Karshi - what the fudge (they both shouted)
A - guys calm down.. main kuch gift nahi dene wala hu.. par kuch aisa karne wala hu jo ishqi ke liye kisi gift se kam nahi hoga
K - aur kya karne wale hai aap
A - dekh lena ab (he went on stage and then took the mike) helloo everyone... as you all know aaj hamari ishqi ka birthday hai.. so saare dance performances bhi ho chuke hai... now its time for cake cutting but before that main kuch bolna chahta hu.. (he took a pause and then said) 15th march 2021.. iss din ek angel ne meri life me entry maari... and that angel is our ishqi.. i still remeber the date and also the day... normal sa day tha.. as usual main office me tha.. meri pa aake mujhe boli.. sir 5 min me ek meeting hai.. so i took my car and left for the meeting.. but raaste me ye madam bhaagte bhaagte mere car ke saamne aa gayi... maine immediately break dabaya and mera favourite dialouge kaha.. WHAT THE FUDGE... and then inhnone window par thak-thak kiya and i opened it... that was the moment when i saw her first.. that massom chehra.. uff! but mujhe kya pata tha ki iss massom si shakal ke peeche ek shaitaan thi.. (ishqi chuckled) madam ne mujhe lift dene ki liye convince kiya.. kya kaha tha tumne.. oh yes..main ek bahut badi problem me hu.. plz meri help kar dijiye.. meri oar dekhiye to sahi.. zoom karke dekhiye.. and vaha main pighal gaya.. for the first time maine kisiko left di thi.. main hamesha se khud car chalata tha aur akela hi rehta tha but that time i helped her.. fir isne kisi ladka aur ladki ko siti bajake bulaya aur kaha chaliye gaadi wala mil gaya.. like seriously.. she called me gaadiwaala.. fir maine gaadi start ki aur iski baato se pata chala ki ye unhe bhagake leke aayi hai.. maine gaadi rok di isse bahar nikala.. meri nazar yaha se waha kya hui.. ye gaadi me bethke mujhe sorry bolke gaadi churake le gayi...
I - oh hello.. churayi nahi thi borrow ki thi
A - fine.. borrow karke le gayi.. itna gussa aaya tha mujhe ki main bata nahi sakta.. fir din dhal gya and raat ko ye ghar aayi.. gaadi lautane.. mujhe ek apologise letter diya.. and meri family ko laga ki iska aur mera kuch chal raha hai (laughed) shayad unnhe pehle sab pata tha ki aage kya hoga.. just in 2 min she won my family's heart.. unse aisa behave karne lagi jaise unhe pehle se jaanti ho... iske liye vo mujhe daant rahe the.. job mila tha na to bahut khush thi ye... sabko thank you bolke aur mujhe attitude look deke chali gayi... aur agle din mere office mee aa gayi.. actually galati meri thi.. maine complaint karayi thi police me iski that she stole my car... ussi vajh se job chali gayi isliye to miss risky ishqi kuch jyaada hi risky ban gayi thi.. mere office ki kaanch todke chali gayi.. badme hamari mulaqaat firse ho gayi.. all thanks to sarla aunty.. unki assistant thi ye.. sonu ke ring ka size lene aayi thi.. maine bewajah shak kiya... so ro padi.. par baadme mujhse.. The Ahaan Veer Malhotra se sorry kehne kaha.. par tab nahi keh paya main sorry... fir to ussi din phone pe baat hui hamari.. isse hickiya aa rahi thi and you know what.. the funniest part is ki iski hichkiya paani pine se nahi.. gaana sunne se chali jaati hai.. bollywood lover hone ki bhi hadd hoti hai... phone ka data khatam ho gaya to mujhe gaana gane ke liye kaha.. to gaaya maine gaana meri besoori awaaz... ek to maine gaana gaya aur upar se ye ladki mujhe taunt maar rahi hai ki mera gaana sunake hichki to kya koi nahi aayega... but still thank you bhi kaha phir jab main apne best friend ke ghar ja raha tha roke ka samaan leke tab firse dhadak gaye... hamari nok-jhok chalu huyi aur vaha ek baba aa gaye.. unhe laga hum couple hai.. humne turant keh diya ki hum jodi nahi hai... fir maine unhe paise diye aur isne chocolate aur hum dono ne kaha ki iske badle me bhagwaan se pray kariye ki hum dono ek dusre ke saamne kabhi nahi aaye par uss baba ne kaha.. tum dono bilkul pati-patni jaise ladte ho... tumhari jodi bahut acchi lagegi kyu na tum ek dusre ko apna saathi bana lo.. aur upar se ishqi ke sarr pe roke ki chunri giri thi.. isliye to unhe mauka hi mil gaya.. jaate wakt unhone kaha ki bhagwaan tumhari jodi hamesha banaye rakhe.. i think unhone dil se prarthna ki thi... maine isse chunri lautane kaha... ishqi being ishqi.. usne kaha ki baba ki baton se koi idea mat nikaliyega.. main 7 janmo me bhi apke haath se chunri nahi lunngi... maine bhi keh diya ki 7 janam to kya agle 14 janam bhi main tumhe chunri apne haath se nahi dunga.. ek dusre ko ghur ke apne raaste nikal pade.. best friend ke ghar pohochne ke baad pata chala ki best friend ki fiance koi aur nahi yahi hai.. fir to mujhe usse apne haato se chunri deni hi padi.. ab best friend ki fiance hai to mulaqaate hoti gayi aur pata hi nahi chala ki kab vo nafrat pyaar me badal gayi... par hum dono me se kisine ye feelings accept nahi ki.. kyuki main apne best friend ko dhoka nahi dena chahta tha aur ishqi uske fiance ko... denial me rahe hum.. aur shaadi ki raat aa gayi.. jab ishqi ko kisi aur ke gale me maala daal rahi thi.. mujhe vo dekhke bahut weird feel hua.. main vo dekh hi nahi pa raha tha... kartik ne peeche se sahara de diya.. vo hamesha se kehta tha ki mere mann me ishqi ke liye feelings hai but main usse daantta tha... varmaala ki rasam to ho gayi lekin phero ko liye khade hone se pehle hi ishqi mandap se utar ke chali gayi... mayank accha nahi tha.. vo bahut hi ghatiya insaan tha mujhe pata nahi tha... fir kya vahi hua jo har kahani me hota hai.. separation... 6 mahine hum sirf physically apne life me the but mentally we were together... bhagwaan ne ek aur chance diya uar hume firse milwaya... humari beech ki misunderstandings bhi clear ho gayi par iss vakt meri shaadi kisi aur se hone wali thi... isliye firse chup rahe... ishqi singapore jaa rahi thi aur main shaadi karne ja rahe the... par shaadi ke din mujhe mere saamne ishqi dikhayi di and i realised that i am in love with my car theif, i am in love with my car chor, i am in love with my ajeeb language bolne wali ladki, i am in love with my khiski ishqi... (ishqi was just listening to him... she was lost in him) main bhaagke apni car ki tarf nikal pada.. peeche peeche kartik bhi aa gaya... ishqi ke flight ka time ho raha tha.. mujhe darr tha ki vo nikal na jaaye.. pata hai ishqi.. tumhare pyaare devar ne airport authorities ko phone karke unse jhoot kaha ki... kartik uss badmaash ka naam kya tha.. ha.. purani delhi ka wanted badmaash satish gulab iss samay singapore ki flight board kar raha hai.. pakad lo.. hey bhagwaan iss ladke ke dimaag me bhi pata nahi kya kya ideas aate hai... shukr hai ki police ne hume pakda nhi.. uss drame ke baad ek aur drama karna pada.. sawaal ye tha ki airport ke andar kaise jaaye.. again kartik solved the problem.. sahab ne heart attack aane ki bakwas acting ki aur security guard ko laga ki isse sach me kuch ho raha... vo isse sambhal raha tha aur main andar ghus gaya.. bichara paani ki bottle dene ke liye muda kya.. kartik bhi andar aa gaya.. paglon jaise main yaha waha isse dhundne laga... kahi bhi nahi dikhi... vaha ke receptionist ko pucha to usne kaha ki flight board ho chuki thi aur gates band hone wale the... maine unhe bahut samjhaane ki koshish ki flight rukwane... kartik ne kaha ''çhali gayi vo''... i broke that time... main vaha ke ek bench par betha and i was regretting ki main denial me kyu raha agar main denial me nahi rehta to aaj vo mujhe chodke nahi jaati... just then koi to mere side se pass hua.. ishqi mere paas hone ka ehsaas mujhe hone laga.. i immediately recognised her... maine usse avaaz lagayi paar usne ignore kiya aur vo jaane lagi.. vo ja rahi thi to main uske paas gaya aur uska haath pakdake meri taraf usse khicha... usne bhi bina dekhe pehchaan liya ki ye insaan koi aur nahi uska avm hai... maine usse apni dil ki baat bata di aur shaadi ke liye pucha.. ishqi ko thoda time chahiye tha... ofcourse ek professor aur bahut bade businessman ki beti jo hai.. jo karegi soch samajh ke hi karegi... hum beach pe gaye... kuch baatein ki and finally ishqi ne ha kardiya.. fir family ko manaya... aur vo bhi maan gayi.. aur hum ishqi-ahaan se ishqaan ban gaye... humari married life sahi chal rahi thi par ye humari life hai... bina kisi siyappe ke kaise chalegi... bahut bada jhagda ho gaya... i know ishqi ki iss baar jo galti maine ki hai vo maaf karne layak na ho.. par yarr humari love story bahut se pariksha ke i mean agnipariksha ko paaar karke yaha tak pohochi hai... ek chance deke dekh lo... phir kabhi ye saath nahi chodunga... i am sorry... tum chahe mujhe maarlo... par plzz chodke mat jaav.. (both were crying looking at each other)(he wiped his tear) ab rona dhona nahi kyuki ab mera performance hai.. and guess what... i am going to sing a song... i will try my best ki main apni besoori awaaz me na gaau... ye gaana tumhare liye ishqi.. i am dedicating this to you.. kartik guitar (kartik started playing guitar and then ahaan started singing)
Haan hasi ban gaye
Haan nami ban gaye
Tum mere aasmaan
Meri zameen ban gaye
YOU ARE READING
Family Ties 💞💞
FanfictionThis Story Starts When Dadi Gave Drugs To Ishqi What If Ishqi Had Tried To Escape From There And Met With An Accident And Had A Memory Loss . Ishqi's Family Is Found. Let's See How Ahaan Will Bond Up With Them As They Hates Him As He Didn't Trust Is...