Professor Ahaan Veer Malhotra 😎

198 13 0
                                    

A - vaise khushi mujhe tumse kuch puchna tha
Kh - ha bhaiya puchiye
A - tumhe dadi ki video kaise mili
Kh - actually mumma ne jab mujhe sab kuch bataya tab mujhe aisa laga ki isse bhi jyada koi accha proof hona chahiye isliye maine dadi ke kamre me hidden camera lagaya so tab vo sab record ho gaya
A - oh
Kh - bhaiya abhi ab iss sab bare me mat sochiye abhi bas apko ishqi pe concentrate karna hai
A - hmm aur ha tum ishqi se milne ke baad mujhe jaldi se sab kuch batana
Kh - yes agent A
A - done agent K
Kh - ekdam kartik type baate kar rahe hai hum
A - (after listening to kartik's name his facial expression changed)
Kh - kya hua bhaiya
A - khushi kartik mujhe maaf karega na
Kh - of course bhaiya abhi vo gusse me hai ek baar uska gussa thanda ho jaye fir dekhna kaise apko gale laga lega apko to pata hai na vo jyada der tak apke bina reh nahi sakta
A - i hope ki vo mujhe jaldi maaf karde
Kh - chaliye ab main botique ke liye nikalti hu
A - oh ha sorry tumhe late ho raha hoga na
Kh - hmm bye bhaiya
A - bye aaram se jaana
Kh - ji (she left)
In Evening
Khushi Went To Arora Mansion To Meet Ishqi
Kh - (she rang the door bell and raghav opened it) hello raghav bhaiya ishqi hai
Ra - ha , tum abhi
Kh - ha vo ishqi ne bataya ki vo college jane wali hu to usse milne aayi thi maine
Ra - ohh plz andar aav na
Kh - ji (she came in)
Ra - tumhe kuch chahiye i mean coffee,tea
Kh - it's ok main sirf ishqi ko milne aayi hu
Ra - ishqi apne room me hi hai
Kh - main aati hu (she went to her) ishqi
I - khushi tu
Kh - ha main , vaise ye room ka kya haal bana diya hai
I - yaar khushi mere paas koi acche dresses hi nahi hai dekh na ye kaise dresses hai
Kh - to shopping karne ja
I - bhai bol rahe hai ki online shopping karo bahar jane ki kya zaroorat , unhe lagta hai main akeli jaungi to kahi ghum jaungi
Kh - to kisi ke saath jao na
I - kiske saath jau mumma aur bhabhi dono busy hai aur papa bhai bhi kaam kar rahe hai
Kh - mere saath chal na
I - sacchi
Kh - ha chal
I - thank you main ready ho jaati hu
Kh - vaise tu kaunse college ja rahi hai
I - emperior college
Kh - oh
I - main bahut excited hu
Kh - sahi hai dil se padhai karna
I - vo to main karungi hi , change karke aati hu
Kh - ha (She went to washroom) ek kaam karti hu jaldi se bhaiya ko msg kar deti hu (she messaged him)
I - (she came) chale ?
Kh - ha chalte hai (then they went to shopping mall and did so much shopping)
Next Day
In Ahaan's Room
A - yaar ye khushi kab aa rahi hai
Kh - bhaiya aa gayi main (while entering the room) kya hua bataiye
A - khushi khushi khushi (he said while twirling her)
Kh - bhaiya rukiye maiin gir jaungi
A - accha thik hai (he stopped) mujhe tumhe ye batana tha ki maine emperior college kharid liya hai now i am the trustee of it
Kh - kya
A - yes
Kh- to aapka ye plan tha
A - ha to ab vaha ka professor bhi main yu ban gaya hu
Kh- matlab aap ishqi ko padhane wale hai
A - ha
Kh - konsa subject
A - usne jo topic liya hai event management usme economics aata hai so main usse vahi padhane wala hu
Kh - vaise bhaiya ek baat bolu
A - ha
Kh- aapko sirf ishqi ko nahi manana hai apko uske family ko bhi manana hai ,ishqi bhale hi apko maaf karde lekin vo apko hasi-khushi accept nahi karenge sirf ishqi ke liye accept karenge jo ki galat hai
A - you are right khushi mujhe unhe bhi manana hoga
Kh - par vo aap kaise karenge
A - nikalunga kuch idea
Kh - jaldi
A - hmm
Kh - chaliye ab so jaiye kal subah jaana hoga na apko
A - ha good night
Kh - good night
Next Day
A - chal ahaan aaj tere liye bahut bada din hai,kaise bhi karke ishqi ko impress karna hai (while combing his hair)
Kh - bhaiya(while entering the room with a glass of juice)(she saw him he was looking damn hot in his grey check blazer) omg bhaiya kitne hot lag rahe hai aap
A - vo to main hu (while setting his hair)
Kh - i am damn sure ishqi to apko dekhke hi pagal hone wale hi
A - even i hope so
Kh - ye juice pee lijiye fir jaiye
A - (while taking a sip of juice) khushi ek responsibility main tumhe de raha hu
Kh - kya
A - main ab ye college ke vajah se office ke kaam me jyada dhyaan nahi de sakta so kartik ya chachu ko kuch problem hua to mujhe bata dena ya tum thodi help kar dena after all tum bhi ek businessman ki beti ho tumhe to iske baare me knowledge hai hi so unki help kardo varna unpe work load aa jayega
Kh - okay bhaiya
A - main abhi nikalta hu (side hugged her)
Kh - all the best bhaiya
A - thank you bye
Kh - bye
Soon He Reached College
Here Ishqi Also Reached
I - mera classroom no. kya tha, ha 302 abhi class start hone me bahut time hai tab tak main library me jake jo books chahiye wo le leti hu (she went to library and started finding books she want)
With Ahaan
A - abhi class ke liye bahut time hai tab tak library main jake books oadh leta hu (he went to library) lagta hai kooi nahi hai accha hai silence hoga (just then light goes off) ye light kaise chali gayi (he took out his phone to turn on flash light) isse bhi abhi dead hona tha , light aa jane tak beth leta hu (he started walking towards bench but suddenly he collided with someone the person was about to fall so he tried to save the person but his leg slipped so both of them fall on ground and just then lights came. his eyes widen when he saw the face of person ass it was none other than ishqi)(firstly the both were just lost in each other but then ishqi came into senses)
I - excuse me yahi lete rehna ka irada hai kya
A - sorry (he quickly get up and she also)
I - tum ladko ka na yahi problem hai ladki dekhi nahi ki chance maarna shuru kardo
A - main tumhe bachane wala tha
I - oh hello mujhe na sab samajh me aata hai tum jaise log jaanbuch ki bachane ka natak karte ho aur chance marne ke liye humpe hi gir jate ho main new admission hu iska matlab ye nahi hai ki tum mujhpe line maaro yaad rakhna this ishqi is very risky
A - tum galat samajh rahi ho
I - kuch galat nahi samajh rahi hu main,agli baar fir aisi harkat ki na to mummy kasam main kisi professor ko ya principle ko bataungi
A - fine batav mujhe kuch problem nahi hai
I - haww attitude to dekho sorry bolne ki jagah mujhse hi keh raha hai ki jaav jake principle ko batav lagta hai principle ke hi kuch relative ho ya trustee ke
A - main he trustee hu (he muttered under his breathe)
I - ab kya khusur-pusur kar rahe ho
A - kuch bhi nahi
I - (in mind- bada hi ajeeb banda hai)(her gaze fall on the clock) what the hell tumhari vajah se main ab class me late pohochungi, ab to pehle hi din professor ki daant khani padegi
A - don't worry professor nahi chillayenge kafi cool professor hai
I - bol to aise rahe ho jaise ki tum khud professor ho (she left by giving him a tashan wala look)
A - (he smiled) madam mujhe bhool gayi lekin mujhse jhagdana nahi accha hua maine blazer abhi nahi pehna hai varna usse jo ye misunderstanding hui hai vo nahi hoti, chalo mujhe bhi class ke liye nikalna chahiye varna students kahenge ki kaise professor but mujhe ab avm se ahaan veer malhotra mode me aana chahiye as i am professor (he took a deep breathe and started walking towards class)
With Ishqi
I - (she entered class and sat on the first bench)
Her Benchmate - hi , new admission ?
I- ya
Pr- my name is priya
I - hi priya, myself ishqi
Pr- nice to meet you ishqi
I - same here
Just Then Ahaan Entered The Class With An Angry Young Man Face
Class - good morning sir
I - (in mind - lag gayi lanka ye to hamare professor hai)
A - good morning class, you may sit so first of all i introduce myself to you , i am ahaan veer malhotra your new professor honestly saying main bahut strict hu so umeed karunga ki hamare class me discipline ho, economics ye subject event management me bahut jyada important hai so sabka attention hona chahiye otherwise i will throw him or her out of the class , so let's start
Pr - sir , attendence ?
A - mere class me lecture ke baad attendence hoga kyuki mujhe students ki trick pata hai attendece dedo fir khidki se kudke kahi jake timepass karo, shall i continue ?
Pr - okay sir
I - (in mind - hey bhagwan ye maine kya kaand kardiya ek to already ye angry young man hai subah ki baat ka badla lene ke liye mujhe jarror daatenge ya punishment denge)
A - and ha one more thing (while looking at ishqi) main kisiko bina baat ke kisiko daanta nahi hu aur na hi punishment deta hu (vo mann hi mann smirk karta hu)
I - (in mind - oh bhaisaab isse kaise pata chala ki mere mann me kya chal raha hai rehne de ishqi tu book pe hi dhyaan dede)(she started looking in book)
A - (he turned to blackboard and smiled remembering ishqi's face and then he started teaching)
Precap - new member in arora mansion













Family Ties 💞💞Where stories live. Discover now