31. Acp Naina Mathur

693 67 21
                                    

Cheeta- madam sir Ghar se nikalne ke baad unhe ek apni friend ka call aaya aur ye unknown number se 2 calls aaye...

Santosh- aur friend ke Ghar se nikalne ke baad unke Ghar ke opposite direction main unki last location dikh rahi hai...

Haseena- okay, aaiye karishma singh, aap kya lekar aai hain information..

Karishma- madam sir ye sakshi hai... Samiksha ki friend...

Haseena- namaste, bataiye kya janti hain aap samiksha ke baarein mein...

Sakshi- madam sir samiksha Aaj mere Ghar aayi thi to ro rahi thi...

Haseena- kyun...

Sakshi- uske pati ki job chali gayi...

Haseena- pati ki job chali gayi...kyun kuch bataya usne...

Sakshi- nahi... Par un dono ne ye baat uski saas ko nahi batayi hai abhi...

Haseena- aur kuch bataya samiksha ne aapko...

Sakshi- ji... Wo apne pati ki help karna chahti hai, job dhund rahi hai... Par.. Uski saas allow nai karengi isliye unse chhup kar...job interview ke liye jaana tha use is liye wo mere Ghar aayi thi... Phir mere Ghar se wo interview ke liye gayi hai... Par please madam.. Uski saas ko ye baat mat batana...

Haseena- par ye galat hain, baat karne se matter sulajh sakta hain, karishma singh, santosh sharma samiksha ko jaakar lekar aaiye...

Sakshi- nahi madam please... Samiksha ne unhe samjhane ki pehle bhi koshish ki hai par wo nahi maani...

Haseena- hum samjhayenge...

Sakshi- par wo phir bhi nahi maane to...

Haseena- dekhte hain kaise nahi maante...

Karishma- par madam sir ek bohut ziddi hain...ye to jaante Hain ham...

Haseena- aap jaakar samiksha ko lekar aaiye..

Karishma- ji... Chalo cheeta...

Haseena- aap chinta mat kijiye sakshiji...

Sakshi- ji... (Nodded, after sometime, karishma and cheetah bought samiksha with them)

Samiksha- mujhe yahan kyun bulaya hai madam,..

Haseena- aapki saas ne complaint darj ki hain aapke kidnap hone ki...

Samiksha- dekhiye madam main bilkul theek hun aur thodi der mein Ghar chali jaungi... Aap please meri saasu maa ko mat bataiyega ki main yahan hun...

Haseena- aap bharosa rakhiye, hum aapki problem solve kar denge...

Samiksha- meri problem koi solve nahi kar sakta madam...

Haseena- hum karenge

Samiksha- kaise?

Haseena told her plan to samiksha and sakshi, she did her signature smile nodding....After sometime, just then samiksha's husband came there worriedly and hugged her

Samiksha's husband- Jaan Tum.. Tum theek ho... Maa ne bataya ki tum...

Samiksha- mein thik hun ayaan...(hugging while haseena remembered how anubhav used to concern about her, she smiled)

Ayaan- tum gayi kahan thi Bina bataye...

Haseena- batao samiksha...(keeping her hand on her shoulder)

Samiksha- wo...job interview ke liye... (Looking down)

Ayaan- job interview keliye kyun jaan...(cupping her face)

Arrange Marriagewala LoveWhere stories live. Discover now