Chapter 75: Karva chauth

2.4K 165 227
                                    

On set:

All of them are sitting togather waiting for their shot, Harshad ain't there as he is resting in his room

Ami: kal karva chauth hai, aur mujhe shoot bhi karna hai, ek baat acchi hai ke main wheelchair pe hu

Karishma: aao rakhne wale ho vrat?

Ami: haa

Karishma: aur shoot bhi karogi waise hi bhuke rehke?

Ami: ha, mere husband to mujhe mana karte hai , lekin pata nahi kyu mujhe accha lagta hai mere pati ke liye ye sab karna

Pranali: awww manjli kitni cute ho tum, par ye vrat kyu rakhte hai?

Ami: Iss din, sari wives pray karti hai apne pati ke long life and prosperity ke liye. Humare hindu calendar ke According kartik mahina hota hai na uske month ke full moon ke baad 4th day pe ye din celebrate karte hai.

Pranali: lekin iske piche koi story hai kya?

Ami: ha mujhe ek do stories pata hai

Pranali: batao na

Ami: aisa kaha jata hai ke pehle sirf mard hi militry mein kam karte the na to jab wo kisi war ke time unki family aur baccho ko piche chod jate the. Toh its like woman used keep this fast for their safety and well being. Aur ek story hai but wo mujhe acche se nahi pata but I think it is something related to friendship between ladies around that particular village.

Pranali: accha, tumhe lagta hai ki ye sach mein asar karta hai?

Mayank: kyu tujhe rakhna hai kya?

Pranali: control nahi hua na tujhse, wahi main kahi ab tak tu bich mein bola kaise nahi

Mayank: ye mere sawal ka jawab nahi hai

Everyone was just trying to hide their smile, as most of them had some idea about Harshad and her.

Pranali: main kiske liye vrat rakhungi? Vrat rakhne ke liye pati hai kya mere paas?

Harshad enters from behind when he hears Pranali talk.

Ami: waise it's not necessary ki pati hi hona chahiye

Karishma: matlab? Ami tu confuse kar rahi hai, abhi keh rahi thi ke vrat pati ke liye karte hai na

Pranali: ha wahi to, kal vrat rakhna hai iss tension ki wajeh se pagal to nahi ho gayi manjli tum

Niyati: pagal uska matlab hai agar pati nahi hai to boyfriend ke liye bhi rakh sakti ho

Karishma: ohhh aisa kya, mere to dono nahi hai

Pranali: haaa... Sahi kaha

Mayank: kya sahi Kaha?

Pranali: dono nahi hai

Mayank: kiska?

Pranali: uska

Mayank: aur tera

Pranali: mera kya?

Harshad enters the set pretending he hasn't heard anything

Harshad: kya discussion ho rahi hai

Mayank: Pranali karva chauth ka vrat rakh rahi

Harshad: accha?

Pranali: pagal kuch bhi bolta hai, main kiske liye rakhungi vrat.

Harshad: mere liye hi rakh do agar koi nahi hai toh (and he walks away)

Pranali is stunned by his statement and everyone burst into laughter looking at her face.

Mayank: ahem ahem, Abhi apne Akshu se baat kar raha tha ya Harshad Pranali se

From Abhira To Harshali जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें