Chapter 86: The 'lets have a baby' conversation

2.3K 148 88
                                        

Next day:

Harshad gets a call from Pranali's maa

Harshad: hello maa

Maa: good morning Mr Chopda

Harshad: gussa hai kya aap?

Maa: ha bilkul hu

Harshad: kya ho gaya?

Maa: sharam to aai nahi hogi tumhe ye sawal puchte hue

Harshad: batao na maa kya ho gaya?

Maa: maa sirf formality ke liye bulate ho tum mujhe

Harshad: nahi maa main aapko Dil se maa bulata hu

Maa: ha ha isi liye na ek call na ek msg aur yaha humse milne aaoge ye to maine hopes hi chod diye hai, Pinu atleast Saturday Sunday aa jati hai thank god aur atleast ek call karti hai har roj

Harshad: sorry maa, iss kaam ke chakkar mein time nahi milta

Maa: ek call to kar hi sakte ho na tum

Harshad: accha baba sorry

Maa: tum baccho ko abhi samajh mein nahi aayega jab tumhe bacche honge tab samajh aayega

Harshad: are maa aap to bahot gussa ho gayi boliye aapka beta kya kar sakta hai aapke liye

Maa: ab wo bhi main hi batau

Harshad: iss manane ke maamle mein aapki beti bilkul aap pe gayi hai, wo bhi same jawab deti hai

Maa starts laughing on the phone

Harshad: hasi to phasii

Maa: bilkul bhi nahi wo Ruchi hass rahi thi main nahi

Harshad: jhooth mat bolo aap aapko kya lagta hai main meri maa ki hasi nahi pehchanunga

Pranali is watching it from a distance and feels so happy listening to their conversation.

Pranali's pov: ek time pe mujhse Aisa laga tha ke maa huamara break up karwake rahengi, aisa lagta tha ke wo huamara rishta kabhi accept nahi kar payengi and after unka behaviour dekh ke mujhe hopes hi nahi the ke Harshad unhe kabhi maaf karega. Lekin aaj dekho maa mere Harshad se ladh rahi hai kyunki usne unhe call nahi kiya. I am so glad ye mera baby sirf mera hi hai, bhagwan ji chahe 100 challanges de dena lekin isse kabhi juda mat karna main to marr jaungi

Harshad: waise maa Pinu keh rahi thi ke aap 2 weeks baad kahi jaa rahe ho

Maa: ha 2 din ke liye jaa rahi hu ek shaadi hai usme, tum dono aaoge?

Harshad: nahi maa dono to nahi aa sakte aap Pinu se puch lo agar wo chutti manage kar sakti hai to leke jaao use

Maa: tum puch lo aur mujhe batao

Harshad: thik hai

Maa: thik ho na tum dono?

Harshad: ji aap sab kaise ho

Maa: ye sab puchne ghar aaja main nahi bata rahi ke meri tabiyat kaisi hai

Harshad: thik hai aaj hum dono aa rahe hai dinner ke liye kuch accha sa banake rakhna

Maa: thik hai banaungi aur agar tum bhool gaye to chapet lagaungi

Harshad: are nahi nahi

Maa: main yaad dilane ke liye call nahi karungi

Harshad: thik hai

Maa: chalo ab main rakhti hu

Harshad: bye maa

From Abhira To Harshali जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें