Last part..

934 80 34
                                        

aur phir hume mil gaya mission jeet humne sir ko bohtt samjhaya ke apko mission mai on board lele par sir ne humari ek nahi sunni... aur na chahte howe bhi hume apko dukh pahunchana pada... apko lgta hai na ke maine mission ke liye apko apne pyaar ke jaal mai phasaya tha par mai kasm khaker kehta hoon uss waqt mai bhul hi gaya tha mission ke bare mai, maine jo bhi kiya tha apne sache dil se kiya tha jo mera dil chah raha tha.. hum ib agents ko kayi baar love traps krne padte hai kabhi non-officer mahila ya kabhi officer se..

maine bhi kayi baar kiya par kabhi maine na toh kisi mahila ko apne khareeb ane diya aur na khud kabhi kisi ke khareeb gaya, chahe situation mai kitni zaroorat kyu na pad jaye... par ap meri puri zindagi ki pehli mahila hai jiske khareeb mai apne ap chala jata hoon aur apke pass jane se mai khud ko rok hi nahi pta.. uss mission mai ki gayi har cheez har baat bilkul mere dil se aur sachi thi..... bass jhut thi toh ek baat ke mai apse pyaar nahi krta.. uss din sirf apka dil nahi tuta tha mera bhi dil tut gaya tha.. par mera dimag mujhe sach chupane par majbur kr raha tha... meri wajh se apko already boht dukh pahunch chuka tha isliye mai apko aur dukh nai pahunchana chahta tha aur chahta tha ke ap mujhe bhul jaye aur apni aage ki zindagi khushi se bitaye isliye ap mujh se nafrat kre aur mujhe bhul jaye in koshisho mai lg gaya.. chah toh mai yehi raha tha par jab ye hone laga toh aise lg raha tha jese mere dil par koi lagatar chaku mar raha ho....

aur jis din ap apne dost se shadi kr rahi hai ye baat pta chali thi uss din toh aise laga jese mere sharir se meri rooh alag hgyi hai... mai khush toh hona chah raha tha ke jo mai chahta tha wo horaha hai ap mujhe bhula kar apni zindagi mai agge bad rahi hai par ye baat mujhe pal pal mar rahi thi.. ap humesha ke liye kisi aur ki hojayegi ye baat sonch kar hi meri rooh kanp rahi thi aur ap ne khushi se aur apni marzi se uss rishte ke liye haa kaha tha, mujhe dukh toh hadh se
zyada howa tha par ap ne apni zindagi mai khushi se aage bafhne ka faisla kr liya tha aur mai apki aane wali khushal zindagi ko shuru hone se pehle hi khatam nahi krna chahta tha...

par jab maine apko dulhan ke jode mai dekha tha mai apme kho hi gaya tha par phir jab reality ne mujhe hit kiya ke ap meri nahi kisi aur ki dulhan hai.... mujhse bilkul bardash nahi howa mai apko rokne hi wala tha par phir mere andar apka khyal aya ke ap mere saath kabhi safe nahi reh payengi isliye chup raha.... par jab mujhe pta chala ke ye sab sirf ek natak tha, ap sonch bhi nahi sakti mere iss dil ko kitna sukoon mila...

Par phir uss natak ke baad ap itni badal gayi apne mujhse itni duriya bana li aur mujhse jab bhi mil rahi thi aise mil rahi thi jese humlog pehli baar mil rahe ho... ap itni zyada mujhse professional hgyi thi aur apka ye behavior mujhe pal pal mar raha tha.. mai chah toh yehi raha tha ke ap mujhse nafrat kre aur mujhe bhul jaye par apka mujhe nafrat krna aur bhul jana toh chodo mai apka mere saath professional behavior hi bardash nahi kr pa raha tha.... apse duri mujhe besukoon kr rahi thi.. aur mai jab apke bina ek pal bhi nahi reh pa raha tha toh puri zindagi kese reh pata.. Aur apse duri mujhse aur bardash nahi horahi thi... mai apko apni dil ki saari batein batakar har janam humesha ke liye apna banana chahta tha..

par phir jab maine suna ke ap sho shazeb se shadi kr rahi hai mere pairon ke neeche se zameen hi nikal gayi thi... par phir pta chala ap mission ke liye kr rahi hai aur 6 months baad divorce lelngi par mera dil phir bhi raazi nahi horaha tha mission ke liye hi sahi par mera dil apko thode samay ke liye bhi kisi aur ki wife dekhne ko razi nahi horaha tha... upar se ig sir humare har plan ko disapprove kr rahe the... aur wo sho shahzeb apse pyaar krne laga tha, itna gussa aa raha tha hume uss par hum bata bhi nahi sakte, aur mpt wale bhi unki madad kr rahe the aur ap bhi unhe mauka dene wali baat par raazi hgyi thi.. hume shahzeb ko markar khud bhi mar jane ka man kr raha tha...


hum sonch sonch kr pagal ho rahe the ke ye shadi ko kese roke par apki shadi kahi ho na jaye iss tension mai hum kuch sonch hi nahi pa rahe the... aur apke shadi ke din khareeb aarahe the aur phir shaadi ki ek raat pehle hum apki shadi ko nahi rok paye iss dukh mai hum uss lake view par gaye jo hum dono ki favourite jagah thi jaha hum dono ki kayi khubsurat aur pyaari yadein hai .. aur waha humein achanak aya wo plan aur humne apse shadi krli... wifey plss humara yakeen kijiye hum sach mai apse beintehaa mohabbat krte hai, hum apke bagair ek pal bhi nahi reh sakte.. hum nahi dena chahte apko divorce... hum apke saath rehna chahte hai sirf iss janam ke liye nahi humesha ke liye.. hum apse bohtt pyaar krte hai wifey..

haseena felt so much peace listening his heartfelt confession of love to her & she kissed his lips and deeply started kissing anubhav.. He felt so much peace feeling her sweet lips on his lips... he pulled her more closer and deepened the kiss more.

His one hand in her nape of neck & other hand on her waist... And haseena's one hand was in his hairs and other on nape of his neck.... And while kissing only anubhav started moving her towards the bed and made her lie on the bed & he hovered on her, they were lovingly & passionately kissing eachother deeply... Their kiss was depicting only their true love for eachother....Then obviously after sometime they had to break the kiss for breathing... anubhav kissed close to her lips, her cheeks & her neck lovingly .. haseena's hand was roaming in his hairs.. And then anubhav being so close to her looking deeply into her eyes..

as : hum ab duniya ki kisi bhi taqat ko hum dono ke beech nahi ane denge wifeyy... hum apko har janam humesha ke liye apna bana lena chahte hai.. kiya ap humesha humesha ke liye humari banengi...?

hm smilingly nodded her head in a yess..

as smilingly : i love uh wifey forever..

hm smilingly: i love uh too anubhav forever ...

And then anubhav kissed her forehead sweetly and then kissed haseena lovingly and made her his forever...

Anuseena Broken Love 2 ❤️❤️Where stories live. Discover now