About Him- II

889 137 7
                                    

(not edited, please ignore mistakes)

" waha party me mai khane ka intezam bhi dekh rha tha or us ladke ke dosto se bhi mil rha tha, tabhi mujhe kuch awaz sunayi di, aisa lag rha tha koi aurat kisi ko dant rahi thi, uss awaz ki taraf badha to dekha ek aurat ek ladki ko dant rahi thi or us ladki ki halat or kapde dekh kar laga ki vo vaha kaam ke liye ayi thi, jab vo aurat usko jalil karke chali gayi to maine us ladki se pucha ki kya hua tha to vo boli ki usne galati se us aurat ko chu diya tha pani ka glass dete waqt, uske baad waqt ka kuch pata hi nahi chala, hum dono party hall ke piche park ki taraf chale gaye or ghanto baate ki, pata nahi kaise vo itne karib mehsus hone lagi thi mujhe… Akhir me mujhe pata chala ki vo anath hai, apne kaka kaki ke sath rehti hai, jo ki bohot garib hai, jiske karan usko aisa kaam karna padta hai, uske bare me jan kar aisa laga ki hum dono mano ek dusre ka gam mitane ko hi bane hai, us din ke baad vo thele wali jagah pr aana shuru huyi, hum log ke 4 thele the tabhi, mahine ka acha khasa kama rahe the hum log or maine kafi paisa jodh bhi liya tha apni dukan kharidne ko or uske baad mujhe naya ghar bhi kharidna tha, pr sab kharab ho gya" he said and looked down at his hands as two drops of tears left his eyes one by one, respectively… I side hugged him, resting my head on his bicep, i rubbed his back to support him and encouraged him to speak…

"din bite or vo mere parivar ka hissa banne lagi or akhir me jab maine usko shadi ka pucha to vo han boli or boli ki mai or kaki yani aayi uske kaka kaki se baat karle, maine aayi ko bataya to vo khushi khushi maan gayi or fir hum uske ghar walo se mile, sab sahi chal rha tha, hamari shadi ki tarik pakki huyi or aakhir me shadi huyi or hum ghar wapis aaye… pr uske baad sab bigadh gaya, ghar aate hi uska baat karne ka tarika hi badal gya, mujhe pahle laga shayad shadi ki thakan ke karan gusse me hai pr agle kayi din aise hi khit pit me nikal gayi or aakhir uske dil ki baat uske zuban pr aayi, usne malum kya bola mere ko, vo boli ki use laga tha ki mera khudka ghar hoga pr ab ye ghar dekh kr use sharam aa rahi thi khud pr… Use afsos ho rha tha ki usne mujhe chuna, us din mai or sirf malti the ghar me kyuki mai us roj ki khit pit se pareshan ho gya tha or socha tha ghar reh kr in sab bato ki wajah januga or wajah janane ke baad aisa laga ki isse acha to na hi janta… Malti ne mujhse shadi is liye ki thi kyuki usko lagta tha mai uske kaka se amir hounga or shadi ke baad use garibi se chutkara mil jayega… mujhe us waqt bohot gussa aaya us pr, usne isi karan mujhe uske pati hone ka haq bhi nahi diya tha or ye baat vo khud boli mujhe or usne mujhe namard bola kyuki mai itna kaam or mehnat ke baad bhi garib tha uski nazar me… uski baat mujhe talwar jaise chubhi or mai.. Mai use" he stopped speaking and looked at me to see whether i was comfortable to hear further or not, in response i pressed his bicep lightly with my hands and blinked my eyes in confirmation…

"uske baad maine use sahi mayino me apni patni hone ka ehsas kiya, pr us waqt hum log ke bich jo hua hum dono ki marji se hua or mai mere vishwash ki kasam kha kr keh sakta hu ki maine kabhi usse jabardasti nhi ki… shayd vo umr ka daur hi aisa hota hai ki hum apne jazbato ko kabu nahi rakh pate or wahi mere or malti ke sath hua, kuch mahino baad hum log ko malum hua ki vo pait se hai, meri khushi ka thikana nahi tha or kuch waqt ke baad laga ki usne bhi sachayi ko apna liya hai… " he said and again looked out of window…

" mai paglo ki tarha uski dekhbhal karta tha, usko jo khane ko chahiye hota mai sab la kr deta, maine use naye ghar or dukan ki baat bhi batayi, vo bohot khush thi, fir ek din usne mujhse kaha ki mai sare rupay uske bank account me jama kardu, aisa kar e se sarkar taraf se byaz milega jisse ham log ka hi fayeda hoga, usne mere anpad hone ka fayeda uthaya, maine pure 5 lakh rupay uske account me jama kar diye bina soche, din bite or vishwash aaya hamari jindagi me, uska naam maine rakha tha, mera laddu bilkul laddu jaisa lagta tha, laddu ke janam ke 1 hafte baad firse ladayi jhagda shuru kardi vo, apne… hhh apne… " while explaining the part of vishwash his voice was filled with sadness and at last he broke down… he was crying helplessly, i looked at him worriedly….

" apne 1 hafte ke bache ko dudh nahi pilati thi, usko rone ko chorh deti thi, mera vishwash, mera laddu maa ke pyar ko taras gya hai, uss aurat ko to maa kehna bhi maa shabd ko gali hoga…. 1 mahine baad achanak se vo gayab ho gyi, sham ko jab mai or ayi ghar vapis aaye to vishwash bukhar me tap rha tha or malti kahi nhi thi or na hi uska saman tha yaha… ham log ne aas pass valo se pucha to pata chala ki vo ek bag ke sath ghar ke  bahar nikali thi or fir chawl chorh kr bahar chali gayi, maine laddu ko aayi ke bharose chorh raghu ke sath malti ko bohot dhundha, pr vo kahi nahi mili… apne sath vo mere diye 5 lakh bhi le gayi jo maine, aayi or raghu ne apni mehnat se ikathe kiye the, par un paiso ka gum nahi tha, jo usne ek maa hote huye kiya na uska dukh tha… fir ek din ghar talak ke kagaj aaye daak se, maine unpe sign nahi kiya to ek hafte baad malti aayi ghar pr ek aadmi ke sath, uska rang dhang sab badla hua tha or vo aadmi bhi dikhne me amir lag rha tha, un dono ko sath dekh mai samajh gaya tha ki jisse mai aurat samjha tha vo ek dayan thi, aisi dayan jise apne bete ki nahi padi thi na hi pati ki… usne mujhe talak ke kagaj pr sign karne ko bola pr maine mana kar diya, itni asani se kaise jane deta use, lekin vo bohot chalak thi, usne mujhe dhamki di ki agar maine talak ke kagaj pr sign na kiya to vo vishwash ko apne sath le jayegi or uske sath bohot bura karegi, vo janti thi mai laddu ke paida hone se pahle hi usse lagaw laga baitha tha or jab vo is duniya me aaya to mujhse jyada khush koi nahi tha, use pata tha laddu agar meri takat hai to meri sabse badi kamjori bhi vahi hai… aakhir me maine use talak de diya or vo hamesha ke liye meri jindagi se chali gayi, lekin jane se pahle usne jo baate boli unke karan mai ek dam nikamma ban gaya, usne mujhe khub jalil kiya or kaha ki mai jindagi me kuch nahi kar sakta, mai ek aurat nahi sambhal paya khudko or apne bete ko kya hi sambhalunga, vo pehla din tha jab maine sharab sirf swad ke liye nhi pi, maine khudko or apne gamo ko bhulne ke liye khub sharab pi, uske baad mai sab bhul gya, apni jimmedariya, apni khushiya, apna sab kuch " he ended with a blank face looking out of window….

" mai kitna bura hu na sarna, maine tere sath bhi kitna bura kiya, aayi or vishwash ko bhi kitna taklif diya, pata nahi mai pehle jaisa acha insan kabhi ban bhi paunga ya nahi, khudse koi ummid hi nahi rahi mujhe… pr jabse tu aayi hai na hum log ki jindagi me to aisa lagta hai ki khushiya apna rasta bana rahi hai hamare ghar me, aayi or laddu bohot khush hote hai jab tu unke sath hote hai or jabse laddu ko tujhe aayi bolne ka mila hai tabse vo to satve aasman me ho mano" he said with a smile playing on his lips and eyes looking at me…

"or tum?" I asked in a playful manner lite up his mood, he chuckled deeply and turned his face..

"mujhe bhi khushi milti hai, tu hai hi aisi, kon
khush na ho to tere sath hone se" he said smiling at me…

"acha ji, vaise kade maan jeha ni kitta (vaise kabhi ghamand nahi kiya), but ye to ji sach hai"
I replied…

"punjaban" he said and chuckled… and we both laughed….

"sidhant tumhe pata aaj mujhe bohot acha lag rha hai ki tumne mujh pr bharosa kiya or apna dil khol kr rakh diya mere samne, mujhe pata hai bohot himmat chahiye hoti hai iske liye" I said and he agreed too…

"meri himmat ka to pata nahi par tere jitni himmat wali ladki nahi dekhi maine kabhi, mai teri or malti ki tulna nahi karna chahta par hairan hu ki kaise do aurte ek dam alag ho sakti hai, vo paiso ke liye apne 1 mahine ke bete ko marne ko chorh gayi or tu apne bache ke loye jo abhi is duniya me aaya bhi nahi hai uske liye sab chorh kr yaha anjan shehar me aa gayi " he said and i felt emotional for being appreciated for my decision…

" hmm… acha ye batao tumne dubara shadi kyu nahi ki? Vo akriti to mare ja rahi thi tumse
shadi karne ko fir bhi nahi ki" i asked him.. He looked at me and laughed…

"mai or vo hur ki pari se shadi karuga, na baba na, or vaise bhi malti ke baad itni himmat nahi thi ki khudko sambhal lu to shadi to dur ki baat hai" he said…

"acha, to ab agar shadi karni ho to kaisi ladki chahiye tumhe" i asked and he immediately replied…

"tere jaisi" I looked at him in surprise with big eyes and he coughed to cover up what he said, but my cheeks had already started getting redder…

"mera matlab koi aisi jo samjhdar ho, mere laddu or aayi ko pyar kare, meri garhasti sambhale" he explained and i looked at him with small eyes…

"ye sab to meri khubiya hai, kahi tum mujhse to shadi nahi karna chahte?" i asked him again in a playful manner…

"are nahi, mai bohot badha hu tujhse" he said amd it looked he was telling this to himself more than me…

THERE'S ANOTHER SKYWhere stories live. Discover now