Dilemma

2.5K 243 33
                                    

Sarna pov..

I moved my palm slowly on my belly caressing my unborn baby, I looked up to see that stall aunty urff karuna kaki's reaction to my revelation... At that moment I realized that I was already crying as my eyes were filled with salty water's bed making my vision blur... I wiped my tears with the back of my hands to see karuna kaki's face... She was sadly smiling at me... Her reaction was enough to prove to me that she's a good-hearted person...

"fir kya hua" her next words reached my ears to make me continue my words...

"Maine jab Ronit ko bataya ki vo baap banne wala hai to usne kaha ki mai ye bacha abort kardu, mai bohot hairan huyi ki vo aisa kyu keh rha hai, hum dono job karte the agar shadi kar bhi lete to carrier ki tension na hoti, pr fir vo mana kyu kiya... Maine bohot jor dala usse sach nikalwane ka, or Aakhir kar usne sach bol hi diya ki vo already shadi shuda hai or uska 1 bacha bhi hai 3 saal ka... Uss din mujhe ye ehsas ho gaya tha ki meri jindagi ab barbad hone wali hai, maine bohot himmat karke apne maa baap ko ye baat batayi or fir mere sath wahi hua jo har sache dil se pyar karne wale ke sath hota hai... Unhe sharam aa rahi thi ki mai unki beti hu, unhe mujhse jyada samaj pyara tha... Unhone mujhe do option diye, pahla mai apne hone wale bache ki bali charha du is khokle samaj ke naam pr or dusra agar mai na mani to vo mujhe bhi maar dalege... Pr maine himmat dikhayi thorhi si or apna ghar chorh kr nikal padhi anjan raste pr... Zindagi me ho rahe tufan me khoyi ek train me baithi or fir sidha Mumbai aa pohchi, uske baad jo hua vo mai aapko bata hi chuki hu... " I ended my words with a small sad smile and looked in karuna kaki's eyes... Her eyes were moist.. I don't know why but I felt related to her... Maybe it's a destiny's game that's why we met...

Karuna kaki pov (don't kill me but am gonna tell pov of every single person who's an important part of the story) (so because karuna aunty doesn't know English but knows Hindi and Marathi so am gonna tell her pov in Hindi because I don't know Marathi and I can bet 90% of you also don't know Marathi 😜)

Aaj ka din bohot ajeeb sa tha, ek to aaj mujhe thela ye naye area me lagana padha kyuki purane wale area me barish ka pani se gara hua padha tha, dusri chij jo ajib thi vo ye ki mera nakara beta jo kabhi bohot acha hua karta tha, SIDHANT, abhi tak thele ko sametne nahi aaya, mai akeli budhi aurat kya kya karegi... Bappa!

Tisri or sabse badhi ajib chij aaj ye anjan ladki ki madad kari, nah nah! Karuna kaki uhi kisi ke fate me tang nahi adhati, pr kya karti mai, iski shakal hi bohot masum lagi mereko, isliye kardi madad, pr jab iska life story suni to! Bappa re bappa! Ye choti si jaan ki jindagi me kitna bawal Macha padha hai... Iske halat sunkar mereko firse mere nikamme bete ki yaad aayi jiske sath bhi kuch itna bura hua ki uski jindagi ke sath sath vo bhi badal gya tha, pr jab ye apne hone wale bache ka boli na to aayi kasam mereko mera pota, mere nikamme bete ke pyare se bete vishwash ki yaad aa gayi... Mann to kiya is bachi ko gale laga lu, iski bate sunkar meri biti zindagi mere aakho ke aage aa gayi or meri aakhe 4 saal baad fir se bheeg gayi... Mujhse rha ni gya or maine use apne sine se laga liya, bhale hi vo anjan ho pr mere pass to maa ka dil haina jo bache ke dukh ko dekh kar ro uthta hai, uski baate sun kar mera dil ko bohot thes puhcha, pr mujhe us par garv tha ki vo apne bache ko bachayi chahe uske liye use apne maa baap se ladhna padha..
Karuna kaki's pov end...

Sarna pov..

She hugged me tightly, I got motherly vibes from her...

"kya naam batayi tu?" she asked me..

"ji Sarna" I replied...

"bohut pyara naam hai, Sarna" she said in her marathi accent which made it sound different, but I liked it...

"Sarna, bohot raat ho gayi hai, tu abhi mere sath chal, baki ka kal sochio kya karna hai" she said sweetly...

"pr kaki mai aapko or pareshan nahi karna chahti" i said feeling guilty for making her part of my troubles...

THERE'S ANOTHER SKYWhere stories live. Discover now