Jimin, Jin, Tae or Taemin sab ek hi ghar mai rehte the. Sab k sab ek dusre k cousins the. Or joint family system ki family thi un ki. Jimin k 4 chacha the uske dad ko mila kar total 5 bhaiyon ki family is bade se bunglow mai khushi se aabaad thi. Bunglow k gate se le kar piche backyard tha achi khasi space thi. Waise bhi ye unke baap dada ki jawani se bana ghar aaj ki generation tak waisa hi mazbut hai. Or is ghar k makeen ( members ) saath mai rehne ki baato par zyada yaqeen rakhte hai.
4 bhaaiyo ki shaadi ho chuki thi ab sabse chote bete ki shaadi hona baki thi, albatta charo bhaiyo k bachche colleges mai the or kuch hi saalon mai wo khud bhi shaadi k layaek hone wale the. Ye baat chote chacha ko samjhate samjhate dadi ki puri zindagi nikal gayi. To ab jaa kar wo mane hai, waise unki galti bhi nhi thi, wo chauthe bhai k baad 10 saal baad is duniya mai tashrif laye uske baad apni education mai wayast hue phir job or phir apne bhatije or bhatijiyo k laad uthane mai masruf ho gaye. Unhe bina shaadi kiye hi itne babies mil gaye, to unhe shaadi karne ki kya zarurat hai. Yahi keh keh kar wo shaadi ki baat talte rahe.
" To kya tum kabhi shaadi nhi karoge" . Dadi ne dil par hath rakhte hue bade dukh se pucha. " Beta ye janti hu k tum in sab bachcho ko apna mante ho, par beta mai tumhe khud ki zindagi mai bhi khush dekhna chahti hu". Dadi ne buhat dukh se kaha.
"Amma, aap bhi na, kisne kaha aapko k main khush nhi hu, mai buhat khush hu, maine apni itni zindagi nikal di hai ab shaadi karta acha nhi laguga". Chacha ne ye keh kar amma ko manana chaha. Par ulta dadi k to tez gussa aa gaya.
"Kyu kya ho gaya hai tumhari umar ko", dadi ne zara unchi awaz mai bolna shuru kiya"koi itni badi bhi nhi hai, or galti tumhari hi hai jo ab tak kunware ho, jab kehti to taal dete, or ab age ko masla bana rahe ho, ab mujhe kuch nhi sunna mai tumhara rishta tey kar rahi hu, bus, agar tum kisi ko pasand karte ho or ye samjhte ho k mai nhi manugi, to tum badi bhul mai hu, mai apne bachcho ki khushi phele chahti hu or usi mai meri khushi bhi shamil hai" Dadi gussa karte karte unhe samjhane lagi.
"Amma aisi koi baat nhi hai, agar aisi hi baat hoti to mai kab ka shaadi kar chuka hota, par koi baat nhi, mujhe koi problem nhi hai shaadi se, aap jaisa chahegi waisa hi hoga, mai shaadi k liye tayyar hu". Chacha ne hami bharte hue muskura kar kaha. Dadi k chehre par to jaisi jaan si aa gayi. Wo khushi se Chacha ka chehra chum kar unhe duwa dene lagi.
Or bus phir kya tha achi si ladki dekh kar jald se jald rishta tey kar diya gaya. Or Chacha ki conditions ka bhi khayal rakha gaya, kyuk unhe unki hum umar aurat se shaadi karni thi agar hum umar nhi to sirf kuch saal choti ya badi ho usse unhe fark nhi padhta tha. Bus wo buhat hi kam umar ladki se shaadi nhi karna chahte the.
To fauran se shehnai bajne lagi is vila mai. Sab itne purjosh ho gaye kyuk unke favourite chacha ji ki jo shaadi thi sab ki tayyariya zoro par thi. Dadi to khushi se phole nhi samti thi.
Ghar mai shaadi ka mahol bhi ban gaya. Ab to or bhi halchal mach gayi roz koi na koi guest ki amad hoti hi rehti hai. Saare guest shaadi k ek hafte phele se hi aana shuru ho chuke the. Pure ghar mai ghuma ghumi ka mahol tha. Bunglow ki decorations se le kar roz k 4 time khane tak sab manage karna padh raha tha. Sab k zimme koi na koi zimmedaari laga di gayi thi. Itna bada khanadan to zahir hai mehmano mai rishtedaro ki ginti bhi zyada hogi or dost or jaan phechan wale alag, ab sab mehmano ki dekh rekh to karni thi taake kisi ko shaadi mai koi gila na reh jaye.
Har waqt yaha mela sa laga rehta kabhi koi shopping par jaa raha hai, mithai mangwayi jaa rahi hai, decorations ho rahe hai. Pindaale lagaye jaa rahe hai kyuk saare functions yahi hone the ghar k pass hi. Achi space hone ki wajah se koi hall book karne ki zarurat nhi padi. Mehndi k functions se le kar sangeet Or phir shaadi har ek rasam sabke samne honi thi. Jo mehman dur rehte the wo kuch din phele hi tashrif laa rahe the. Or jo nazdik the wo roz ka aana jana kar rahe the. Sab hi buhat khush the kyuk kahi saalon baad ye phela mauka aaya tha kisi k shaadi ka. Or wo bhi chahite chacha ki.
Bus aaj bahar pindaal lagaye jaa rahe the mard hazrat bahar k kaam dekh rahe the or aurte bechari kitchen mai apna sar khapa rahi thi. Alag se caterers bhi rakh liye gaye the. Or buhat se logo ko shaadi ki dino mai kaam k liye bulaya liya gaya tha taake, aurte bhi shaadi enjoy kar sake or kaam ka zyada burden na ho. Bus khana to waqt par banta hi tha dono time subha ka nashta, shaam ka nashta, or phir chai . Chai to jaise chule se utarti hi nhi thi. Ek round k baad dusra round uske baad tisra or again and again ufff. Chai indian logo ka addiction hai isse hi pata chal raha tha.
Itne busy mahol mai Jimin itne aaram se kaise so raha tha ye to upar wala hi jane. Abhi tak iske cousins aaye nahi the shopping se. Or sab hi apne kaamo mai masruf the. Kisi ki us par nazar hi nahi padi.
Phir achanak continues door bell ki awaz ne use uthne par majbur kar diya. Wo ye soch mai doob gaya k sab log kaha hai or koi door kyu nhi khol raha. Or ye k ye door band kisne kiya . Kyuk is mahol mai log bhar aa jaa rahe hote hai har waqt. Wo buri tarah chid kar uth gaya or darwaza tak gaya or darwaza khol kar or ye dekhe bager k kon hai, ulte qadmo se wapas palat kar tezi se chalne laga.
"E hello!". Aane wale ne phele door se use pukara phir bhag kar uske samne aa kar uska raasta rok liya. Jimin abhi tak nind k nashe mai tha or rehna bhi chahta tha...........
So that's it for today guy's. Let me know in the comment section what you feel about this story, and what you think about who's this person. Ok sweeties bye bye take care of you.

आप पढ़ रहे हैं
Bus Mai Or Ek tum ( Jikook) (Jikook Hindi)
FanfictionJimin abhi tak nind k nashe mai tha or rehna bhi chahta tha____ par jab hi zara si aankh khol kar apne samne khade hue shaks ko dekha. " Baap re tum nind mai chal rahe the? " Aane wale shaks ne shock k aalam mai pucha. Jimin khamosh hi raha. Jungko...