Jimin abhi tak nind k nashe mai tha or rehna bhi chahta tha____ par jab hi zara si aankh khol kar apne samne khade hue shaks ko dekha.
" Baap re tum nind mai chal rahe the? " Aane wale shaks ne shock k aalam mai pucha. Jimin khamosh hi raha.
Ye dekh kar aaye hue bande ka sabar tut gaya. Usne phir se use uthane ki koshish ki. " Ab to uth jaiye". Ye khete hue usne apne haaton ko uthaya taake use kandho se hila kar utha sake par wo kisi ajnabi ko uski permission k bager kaise chu sakta tha. Phir khud hi jhunjhula gaya ,haath niche kar liye or idhar udhar dekh kar kehne laga. " Mai kisi galat ghar mai to nhi aa gaya. Ye wahi shaadi ka ghar hai na. Baat sune ye Mr. Park ka hi ghar hai na? ".
Jimin ne thodi si aankhe Or khuli. " Hmmm". Us is baat mai gardan hilayi.
"Thank god" Us ne phele aasman ki taraf nazar daali phir use dekh kar bola. " Mai Jungkook hu. Minhoo Chacha ki shaadi mai mujhe khaas taur par bulaya gaya hai.
"Shaadi to.... " Wo kehna chata tha k ek hafte baad hai lekin samne khada shaks bada besabra saabit hua tha.
"Kya ho gayi? " ..... Mai phir late ho gaya"...
"Kaash late ho jate, meri nind to kharab nhi hoti " Jimin ne jal kar badbadaya Or uski side se nikalna chacha k phir jungkook ne apna haath phela kar raasta rok liya.
"Ajib hai aap bhi, mehmaan ka koi khayal hi nhi. Kahi bithaye, chai paani puche, itni dur se aa raha hu".
"Kitni dur se? " Jimin ki zaban se bila irada hi fisal gaya.
Kabhi Busan gaye hai aap? Nhi na wahi se aa raha hu. Ab to kahi bitha de". Jungkook ne mazak karte hue kaha. Use maza aa raha tha jimin ko chedne ka jiska naam abhi tak janta nhi tha.
"Aise kaise bitha du mujhe kya pata aap kaun Or fizul mai mujhse kyu ulajh rahe hai. Jisne aapko bulaya hai usi k paas jaiye." Jimin ab gusse mai aa gaya tha.
"To thik hai, aap le chale mujhe dadi jaan k pass". Jungkook ne dadi jaan par zor de kar kaha to dadi ka naam sun kar gadbada gaya.
"Aaa..... Aap dadi k... Mera matlab hai aaiye mai aap ko dadi k pass le jata hu" Jimin kaafi ghabrate hue atak atak kar bola.
Jungkook andar se mehzuz ( pleased ) ho kar bola. " Shukriya, mehrbani". Wo haath ko peshaani tak le gaya phir usi haath se jimin ko chalne ka ishara kiya to jimin tezi se aage badhte hue phele lounge se hote hue corridor or phir lobby uske baad ground floor k sabse aakhir k room mai jhat se dakhil ho gaya. Or guste hi......
"Annyeonghaseyo dadi". Keh diya, uske baad jungkook ko dekh kar ishara kar k andar bulane laga kyuk wo uska naam pata sab kuch bhul gaya tha.
"Annyeonghaseyo dadi jaan" Jungkook bade josh se kehte hue andar aaya or dadi jaan se lipat gaya. Jimin to bus dekhte hi reh gaya.
"Jeete raho beta, kaise ho ? " Dadibadi khush hui or balaye leni lagi to jimin chupke se waha se khisak gaya.
Ab nind to uchat ho hi chuki thi. Sidha apne room mai gaya, usne khidkiyo se parde samete phir fresh hone k liye washroom chala gaya. Waha se nikal kar haath munh toliye se phonchne k baad miror k samne khada ho kar baalo mai brush karne laga k achanak use yaad aaya k aaj to un sabko market jana tha.
"Oh no! Mai phir se so gaya." Wo ek dum se rone jaisa ho gaya. "Ab kya karuga. Mere pass to kisi ek function ki bhi mukammal tayyari nahi hai. Or ye teeno to ulta mera mazak bhi udayege. Or so jimin. " Ye keh kar khud par gussa karne laga.
Ha to so hi jaoga. Itne logo mai kisi ko kya pata chalega k mai kaha hu". Us par zyada der kisi baat ka asar nhi rehta tha na afsos. Jis tezi se jazbaat ubharte the , usi tezi se utar bhi jaate the.
Jab, jin, taehyung, or taemin shopping se dher saare bags uthaye wapas uske kamre mai aaye , to wo sukoon se baitha chai pee raha tha. Teeno ne shopping bags bed par phenke phir khud bhi wahi dher ho gaye. Jimin ne aaram se chai khatam ki phir khada ho gaya.
" Kya saara bazar utha laaye ho? " Or check karne k liye zara hi aage bada hi tha k...
*Khabar daar..... Kisi chiz ko mat haath lagana.." Taemin ki tez awaz par wo uchal kar piche hatha.
"Kyu kya bom hai is mai? " Jimin ne thoda gusse sepuch.
"Jo bhi hai, tumhe jala kar rakh dega. " Tae ne uthte hue kaha or paas pade couch par phir se dher ho gaya.
Jimin uski taraf dekhte hue bola. " Tumhara matlab hai, mai tumhari shopping dekh kar jal jao ga ". Jimin ne afsos se tae ko dekha to wo satpat gaya.
"Mera ye matlab to nhi tha".
"Phir? "
"Oho chodo is baat ko. Ye batao ab tum kya karoge". Jin ne jimin ka haath tham kar use apne pass bitha liya to kandhe ucha kar bola.
"Koi problem nhi hai, pichle mahine mamu ki shaadi mai jo kapde banaye the. Or ab Minhoo chacha ki shaadi mai bhi pehan luga". Jimin ne bade aaram se kaha.
"Lekin wo to tumne mamu ki shaadi mai bhi pehne the". Taemin ne fauran yaad dilaya.
"To kya hua, un par ' not use again' ka label to nhi laga hua hai, phir se pehan luga". Jimin ne had darja laparwahi ka mazhara kiya. Aisi kisi bhi mauko par wo yahi karta tha.
"Tumhe to museum mai rakh dena chahiye. Duniya ka aathwa ajooba". Tae ne keh kar sar jhatka phir wo teeno apne apne shoppers sambhal kar ek ek chize nikalne lage. Shoes rings, earrings, suits, sandals. Jimin ne sabki jee bhar kar taarif ki or aakhir mai dil mai jo malal jaga tha wo bhi zaban par aa gaya.
"Mai kyu so gaya"......
Heyyyyy.... Kaisi lagi ye story ab tak batana zarur.
आप पढ़ रहे हैं
Bus Mai Or Ek tum ( Jikook) (Jikook Hindi)
FanfictionJimin abhi tak nind k nashe mai tha or rehna bhi chahta tha____ par jab hi zara si aankh khol kar apne samne khade hue shaks ko dekha. " Baap re tum nind mai chal rahe the? " Aane wale shaks ne shock k aalam mai pucha. Jimin khamosh hi raha. Jungko...