5

13 3 0
                                    


Dusra din bhi nikal aaya. Jab raat mai mehndi Or sangeet hona tha. Sab hi tayyariyo mai lage hue the. Kisi ko sar khujane ki fursat bhi nhi thi.

Par humare nawab sahab dus baje so kar uthe the. Uthne k baad fresh ho kar bhi room mai hi time pass kiya. Or jab ghadi ne 11 baje ka waqt bataya, to jimin ko bhook satane lagi. Nashte ki garz se jimin kitchen mai gaya.

Kitchen acha khasa bada tha par shaadi k hangame ki wajah se buhat se log ek hi jagah jama rehte the. Kitchen ka bhi wahi haal tha. Uski chachi, maa, dusre cousins, buhat se log kitchen mai kuch na kuch kaam kar rahe the.

Jimin ne tae ko dekha, wo ek nashte ki tray ko uthaye, dusri tray ko yu dekh raha tha jaise do haath or hote to use bhi utha leta.

Iski ye pareshaani samjh kar jimin ne khud ko pesh kar diya. " Lao, ye mai le jata hu". Us ne aage badh kar tray uthali. " Kaha le jani hai? "

" Upar, jo busan se aaye hue hai unhe nashta phonchana hai, ok, dhyaan se jana" Ye keh kar tae tezi se dusri tray jo uske haath mai hi thi le kar nikal gaya.

Isne uski maa ko dekha. " Acha mamma mere liye nashta tayyar rakhna plz". Wo keh kar khud bhi kitchen se nikal gaya. Or phir upar ki stairs chadhne laga. Bahar drawing room, corridor, lounge har jagah bus logo ka jamghata tha. Sab kaamo mai busy the. Jate hue iske baba bhi nazar aaye jo naukaro ko sab chizo ki zimmedaari de rahe or samjha rahe the.

Jimin 2nd floor par aa gaya. Or corridor se hota hua end wale room k darwaze par jaa kar khada ho gaya. Or knock karne k bajaye sidha room mai entry le li. Samne hi jungkook towel se sar ragadta hua dikha. To jimin ko ahesas hua k wo bina permission k andar aa gaya hai.

"Wo.... I.. I'm sorry mai directly andar aa gaya. " Jimin ne nazar jhukate hue sharminda hote hue kaha.

Is par jungkook ne has diya. " Aisi koi baat nhi, aap jab chahe aa sakte hai . Kher ye nashte ki tray... " Jungkook ne uske haath mai dekha to confirm karne k liye ruk gaya.

"Ha ye aapke liye hai" Jimin ne aage badh kar window k pass rakhi hui table par rakh diya.

Jungkook thoda sharminda hua. " Are aap ne kyu zehmat ki mai, niche hi aa raha tha". Jungkook kehte kehte sar khujane laga.

"Nashta yahi kar lijiye, to acha hai. Niche kaam or safai, dono chal rahe hai , waha sukoon se nashta karne mai diqqat hogi". Jimin ne samjhate hue kaha.

"Acha, phir thik hai, aisa kare aap bhi mere saath breakfast yahi kar le, mere matlab hai aap ne bhi nhi kiya hoga mere khayal se". Jungkook ne sidhe sadhe andaz mai jimin ko nashte ki peshkash ki to phele usne tray par nazar daali, phir bina kuch soche samjhe, wo wahi kursi par tik gaya.

Jimin ne ye bhi nhi socha k samne wala aakhir mai kya sochega, bus usne jungkook ko baithne ka kahe bager khud ka nashta shuru kar diya, or dusri taraf jungkook hairan ho kar use dekhne laga. Use is chiz ki tauqe nhi thi. Uska khayal tha k wo jhijkega, ya mana karega. Lekin aisa nhi hua isliye wo hairan hote hue khud bhi dusri chair par baith gaya. Or khana shuru kiya.

Phir yunhi baat karne ki garz se puchne laga. " Ye kabab aap ne banaye hai? "

"Nhi mai to khud abhi utha hu" Wo khane mai masroof tha.

Jungkook ne use chedne k liye phir ek baat ki. " Haa maine suna hai. Aap sara waqt sote rehte hai". Jungkook expect kar raha tha k wo gussa karega ya shock hoga. Par phir bhi wo aaram se hi tha.

"Sara waqt to nhi, bus sone k waqt mai hi sota hu" Jimin abhi bhi buhat aaram se baate kar raha tha.

Jungkook ko chain nhi aa raha tha, uski zaban mai phir khujli hui, shayad wo koi reaction chahta tha, " Or aap k sone ka time kya hai". Usne apni hasi rokte hue pucha.

"Dophar or raat. Kyu aap nhi sote? " Jimin ne chai ka cup utha kar use dekh kar pucha.

"Nahi.... Mera matlab hai sirf raat mai". Jungkook k nhi kehne par jimin ne aisi nazro se dekha jaisa keh raha ho waqai. Jis par jungkook ne sambhal kar jawab diya. Or muskrane laga. " Ek baat kahu, aap bura to nahi manege? " Usne phir pucha.

"Aap ko jo kehna ho keh de . Mere bura manne na manne ki parwah mat kare" Jimin ne kandhe uchkate hue khaa.

Jimin ne sochne ka takalluf hi nhi kiya. Or jungkook soch mai padh gaya. Ajib insaan hai. Har baat ko ek hi andaz mai le raha hai.

Jab kuch seconds tak jungkook ne kuch nhi kaha to jimin ne hi kehna shuru kiya. "Are aap to meditation mai chale gaye". Jimin ne apni taraf se mazak hi kiya tha. Wo haste hue chai ka aakhri ghut le kar uth khada hua. To jungkook bhi be iqtiyar khada ho gaya.

" Wo mai ye kehna cha raha tha k aap khase ajib wa garib ladke hai".

Is par bhi jimin ne aaram se kaha, " Sab yahi kehte hai, koi nayi baat kare".jimin ne be parwahi se keh kar tray utha li to ye dekh kar jungkook ko tension hone lagi k kahi wo fauran hi room se na nikal jaye. To turant hi bola.

"Nayi baat ye hai... " Ye keh kar wo thoda chup hua. Or jimin k reactions note karne laga. Jimin uski baat sunne k liye wahi khada reh gaya tha. Jungkook ne phir apni baat dohrayi.

"Nayi baat ye hai k... ajib wa garib hone k bawajood aap mujhe ache lagne lage hai".

Ye sunne k baad jimin k be parwah andaz mai darade padhne lagi. Halka sa aankho mai sawal utha k iska matlab kya hai. Ye baat buhat aam si baat thi. But jimin k liye nhi. Aap ko yaad diladu phele chapter mai jimin par raat mai aane jane par pabandi thi wo kyu aapko aage k chapters mai pata chalega.

Tab tak liye sayonara

Bus Mai Or Ek tum ( Jikook) (Jikook Hindi) जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें