Dadi jaan ki aakhri aulad Park Minhoo ki shaadi thi, jab hi unhone dur Or nazdik k tamaam aziz rishtedaron ko buhat israr kar k bulaya tha. Dusre sheharon se aane wale mehmano k liye unhone har tarah se arrangements kar wadi thi. Room se le kar unki aao bhagat ki zimmedaari unke pote potiyo, or nawase nawasiyo k zimme laga diye, jo sab ne khushi khushi qubool ki kyuk unke sabse chahiye uncle ki jo shaadi thi. Jo unke sirf uncle hi nhi dost bhi the or sab se ek jaisi mohabbat karte the. Ye inki mohabbat hi thi, jo sab nieces and nephews is shaadi ko yyaadgaar banana chahte the. Ladke bhi ghar se le kar bahar k saare kamo mai hissa le rahe the. Unke liye koi kaam chota ya bad nhi tha, bunglow ki decorations bhi shrur ho gayi. Or jo ladkiya thi, wo bhi apni tayyari k saath saath sabhi ladko ki tarah ghar or bahar dono hi kaamo mai involved thi. Yaha aisa koi fark nhi tha, k ladke bahar ka hi kaam karege or ladkiya sirf ghar ka. Dono parties mai ye fark kabhi nhi kiya gaya jiske wajah se sab apni apni pasand ka kaam kar skate the.Is ghar k sabse bade chcha ki badi beti use decorations la shauk tha usne koi decoration walo call ko karne k bajaye apne haath mai ye zimma le liya or lag gayi apne kaamo mai. Usi tarah dusre chacha k sabse chote bete, use cooking ka shauk tha, to kabhi na kabhi, kuch na kuch try karta rehta tha, jiski wajah se abhi shaadi k menu mai kya hona chahiye or subha de le kar raat tak kya or kaisa pakna chahiye sab uski zimmedaari ban gaya.
Isi tarah sab ne hi apne zimmedaari ko nibhana shuru kar diya. Sab behad khush or pur josh the or khush to jimin bhi buhat tha bus apni kahili (susuti) se maat kha gaya. Kaam chor nhi tha, jis kaam ko kaha jata karta tha balke bina kahe khud se bhi karta tha. Lekin furtila pan nhi tha. Jis se zyada tar ise ye sunne ko milta tha .
" Jimin! Aisa karo.... Nhi acha tum rehne do". Wo jo uthne hi wala hota tha phir se baith jata tha.
Yane har ek ko yaqeen tha k jitni der mai wo uthega, utni der mai ek kya dus kaam ho chuke hoge. Wo beharhal in sab baaton ka aadi ho chuka tha. Or us par ya uske mizaj par kuch asar bhi nhi hota tha. Wo apne hisab or mizaj se har kaam karta tha.
Jungkook ko aaye hue sirf do hi din hue the, or wo ye sab dekh bhi raha tha, wo thoda hairan bhi tha aisi baaton par . But wo kya keh sakta tha, sab ki apni ek personality hoti hai. Par wo jaise jimin ki har baat ko bade barik nazar se notice karne laga tha. Use dekhte hi jungkook use be dhyaani mai dekhe hi chala jata.
Kabhi kabhi khud hi haunk jata k aakhir wo kyu use itne gor se dekhta hai. Thik hai agar use itna Khubsuat koi ladka nhi dekha tha, par phir bhi use kabhi kabhi aisa lagta k sirf or sirf uski khubsurti hi use attract nhi karti hai koi or baat bhi zarur thi jiski bunyad par wo sab se be niyaz ho kar sab ki maujudgi mai bhi use tadta rehta.
Kher jimin in sab se bekhabar apni hi duniya mai magan tha, abhi bhi ise jab sharbat ki yaad aayi to kitchen mai jaa kar khud k saath baki sabhiyo k liye bhi bana diya. Or ek tray mai saare glass saja kar drawing roomai le gaya jaha saari mandli baithi thi, use dekhte hi jaise sab ki jaan mai jaan, par phir bhi sab ne kuch ma kuch kehna zaruri samjha.
"Shukar hai k jimin ko bhi humara khayal aa hi gaya" sehun ne sabki taraf dekh kar kaha.
"Mai to sab mai laddo batunga, aakhir jimin ne humare liye kuch karne ka socha" Kai ne kehne k saath tray mai se sharabat ka glass uthane mai furti dikhati.
"Ohoo jimin sadqe wari jao mai tumhare" Ye liza thi iski mummy ke behan ki beti. Means cousin.
Waha se yoongi ne bhi badi seriousness k saath kehna shuru kar diya " Waise kitna waqt laga inhe banane mai? ".
Namjoon ne haskar jawab diya "bhai jimin banaye to waqt ka pata hi nhi chalta"
Jimin ne suni sab ki par jawab kisi ko nhi diya or aakhir mai apna glass utha kar sidha Jin k pass jaa kar baith gaya. Or baithe hi uski nazar sidhi us shaks par padhi jiska naam pata wo fauran hi uske dimag se nikal chuka tha. Usne mehsus kiya k wo shaks badi hairat se use dekh raha hai.
"Jinu! Wo samne kaun hai? " Us ne jin k zara or qarib ho kar sargoshi mai pucha to jin ne phele samne nigha daali phir use batane laga.
"Wo? Wo Jungkook hai. Dadi k sagge bhatije ka beta. Busan se aaya hai. " Jin ne apni knowledge zahir ki.
Jimin ne phir use dekha to tab bhi jungkook use dekh raha tha, isse jimin ko thodi pareshaani hui. " Par wo mujhe kyu ghur raha hai? " Isne phir sargoshi mai kaha.
Is baat par jin chaunk gaya. " Huh". Jin ne phir be iqtiyar jungkook ko dekha to wo phele hi jimin ki nazre khud par dekh kar apni jagah se uth gaya tha or unki hi taraf aa raha tha sidha dinning table k dusri taraf k kursi par baithe hi bola.
" Mujhe pata hai. Aap dono mere baare mai hi baate kar rahe hai" Jungkook ne sabki maujudgi ka khayal kiye bager bade dhitatai se kaha.
"Are waah! Aap to badi phonchi hui chiz hai, mind read karna aata hai aap ko. " Agar jungkook ne sabki maujudgi ka khayal nhi kiya to jimin kyu karta.
"Upar wale ki inayat jis par ho jaye bus, mai to buhat gunah gaar hu." Jungkook ne bade masoom si shakal banayi.
"Such keh rahe hai aap" Jimin ne jaan buj kar aisi shakal banayi jaise jungkook k har gunah se waqif ho. Or udhar jin badi mushkil se apni hasi rok pa raha tha, badi mushkil se hasi rok kar usne jimin ko aankho se ishara karke baat aage badhane se mana kiya.
Tab hi naamjoon ne unchi awaz mai sabki attention apni taraf kar liya.
Haa to bhaiyo or bheno! Hum ne mehndi wale din baqayada, sangeet ka program rakha hai. Jis gazal se le kar pop music bhi.
Ye sab sun kar sabhi khush ho gaye, jimin ki to khushi dekhne laye thi, wo jab bhi smile karta, uske aankhe chote se moon ka shape le leti, uski rangat, uska bhola pan uski smile sab hi buhat pyaari thi, usne achank muskurate hue samne nazar daali to jungkook ko khud taraf bade gor se dekhte hue paya, to uski smile ek dum se gayab ho gayi, ye dekh kar jungkook ki hasi nikal gayi par control kiya, pata nhi samne wala galat samjh baithe. Jimin ne use gusse se gurte hue waha se uth khada hua or sidha tray utha kar kitchen or ki taraf badh gaya.
Jungkook use tab tak dekhta raha jab tak wo nazro se gayab na ho gaya.
Or phir achanak, jungkook k chehre par ek pyari si muskaan aa gayi, pata nhi uske dimag mai kya chal raha tha.
आप पढ़ रहे हैं
Bus Mai Or Ek tum ( Jikook) (Jikook Hindi)
FanfictionJimin abhi tak nind k nashe mai tha or rehna bhi chahta tha____ par jab hi zara si aankh khol kar apne samne khade hue shaks ko dekha. " Baap re tum nind mai chal rahe the? " Aane wale shaks ne shock k aalam mai pucha. Jimin khamosh hi raha. Jungko...