11_Chalna Hamaara Kaam hain

57 7 6
                                    

(Hindi transliteration)

This week on "brand new obsessions" I present to you

"Gati prabal pairon mein bhari
Phir kyun rahoon dar dar khada
Jab aaj mere saamne,
Hai raasta itna padaa
Jab tak na manzil paa sakoon
Tab tak na mujhe viraam hai
Chalna hamaara kaam hai"

"Kuch keh Liya
Kuch sun Liya
Kuch bojh apna bant liya
Accha hua tum mil gayi
Kush raasta hi Kat gaya
Kya raah mein parichay kahun
Raahi hamara Naam hai
Chalna hamaara Kam hai"

"Jeevan apporna liye huye
Paata kabhi khota kabhi
Aasha niraasha se ghira
Hansta kabhi, rota kabhi
Gati-mati na ho avaruddhI
Iska dhyaan aadhon yam hai
Chalna hamaara kaam hai"

"Is vishad viddh-prahaar mein
Kisko nahi behna pada
Sukh-dukh hamari hi tarah
Kisko nahi sehna pada
Phir vyarth kyun kehta phirun
Mujh par vidhaata vaam hai
Chalna hamaara kaam hai"

"Main poornata ki khoj mein
Dar-dar bhataktaa hi raha
Pratyek pag par kuch na kuch
Roda atakta hee raha
Niraasha kyun mujhe,
Jeevan isi kaa naam hai
Chalna hamaara Kaam hai"

"Saath mein chalte rahe
kuch beech hi se fir gaye
gati na Jeevan ki ruki
jo gir gaye so gir gaye
rahe har dam,
usi ki safalta abhiraam hai
chalna hamara kaam hai"

"Fakat yah jaanta
jo mit gaya who jee gya
moond kar palkein sahaj
do ghoont has kar pi gaya
sudha mishrit garal,
vah saakiya ka jam hai
chalna hamaara kaam hai"
















A Digital DumpWhere stories live. Discover now