Sana got leave from hospital and Sana came home. The whole house was decorated with balloons. Two very beautiful cradles were brought for Babies.
Pammi Ji - puttar tu bhi rahana idhar hi, ghar mai akela rah kar kya karega. Idhar to tera ghar bhi hai yaha bored ho gaya to apane ghar hoke aayega
Jasbir Ji - pammi thik kah rahi hai sidharath tu yahi rah. Yahi rahega to tere bacho ke saath hi rahega unko acchi taraha waqt de paayega. Tu ghar pe rahega to bhaag bhaag ke yaha aayega baccho ko milega phir bhaag ke ghar jaayega. Tu idhar hi rah waise to gudiya ka room bhi to tera hi hai
Pammi Ji - beta jaisa shukla house gudiya ka hai, waise hi Gill house bhi tera hai. Humare do nahi teen bete hai. Tu idhar hi rah
Sid - magar Amma
Bobby - Amma ko maska mat maar mai aur bhai jaake tera sab saman leke aate hai. Kyu bhai
Rajbeer - ha chal
Sid - mai khude lata hu mera saman
Bobby -; to tu idhar rah raha hai na
Sid -; ha
Pammi Ji -; chalo mera ek tension gaya.
Jasbir Ji - gudiya kidhar hai?
Pammi Ji - wo nahane gayi hai.
Jasbir Ji - uske liye kuch khane ko banaya kya
Pammi Ji - ha sargun ne banya hai. Bobby jara 4 cup chai to bana
Bobby - abhi laya Amma.
With in two minutes dono bacche ek saath rone lage sidharth bhag ke apane baccho ke pass gaya.
Sid -: shenaaz jaldi aaja dono utha gaye hai, ro rahe hai
Sana - suna maine, bas ho gaya mera kapade pehan Rahi hu.
Sid - jaldi
Sana bathroom se jaldi mai bahar aayi.
Sid - dekh kaise roke lal ho gaye hai. Tujhe jaldi aane ko kya huwa?
Sana - kapade bhi nahi pehnu sidharath
Sid - abhi dhoodh de unke jaldi
Sana - ha dono ko do mujhe.
Sidharath handover both Babies to shenaaz. Siddha helped hold the babies. As soon as the children got a drink of milk, both the children calmed down
Sana -; puttu Amma nahane gayi thi na, itna kyu rote ho.
Sid - unko bhook lagi thi issliye ro rahe the
Sargun enter the room
Sargun - sid bhai chai, sana tere liye nashta leke aati hu
Sana - abhi ye dono adha ghanta chodege nahi mujhe
Sargun - pata hai tujhe Amma ne methi ke laddu banaye hai tere liye
Sana - wo kadwe methi ke laddu kon khayega
Sargun- khana padega tujhe tabhi dhoodh aayega. Abhi bahot saree baate karani padegi tujhe jo tujhe pasand nahi hai. Sid bhai nashta karane ke liye bahar aayiye
Sid - aata hu
Sid - shenaaz chup chap sab khana jo bhi tujhe kaha jaayega. Abhi teri aur mere baccho ki health bhoat important hai.
Sana - ha karungi sab kuch, itna chai pine ka mann kar raha hai na mera. Abhi ye dono jaldi chodege bhi nahi
Sid -; ruk mai pilata hu tujhe chai
YOU ARE READING
Pyaar ka duja naam Sidnaaz
Romantiksimple love story of sidnaaz, it will be not be as simple as it seems after all this is the story of sidnaaz, nothing will happen if it is easy. This is a love story of our sid and naaz,fire and ice, a mature boy and a childish girl. The story will...