YE YAADON KA KARWAAN PHIR SE SHURU HO GAYA..
YE BANJARA-PAN MERA PHIR SE USKI HI CHOKHAT PE AA GAYA..'SHAYAD AAP LIKHTE TO KUCH ASA HI LIKHTE..ISS DAUR-E-ZINDAGI KO KUCH ASY HI PARAKHTE..
YE MAHINA HI ALAG SA HO GAYA HAI MERE LIYE..RUSWA TO NAHI ISS BAAT SE PER HAI ARZOO AJ BHI KE EK MAHINE SE ITNA TO NA MILTA HUMMEIN USS UMAR MEIN..BAAT GHAM KI NAHI HAI.. AJ BAAT MEHZ TARAKIO KI HAI..
AAP JIS TARAH SE MUJHY CHOR GAYE THY... UNN HALAATON SE AGY EK MAIKHANA BANA LIYA HAI MEIN NE... APNE LIYE NA SAHI PER KUCH GHAIR MEHFILON KO APNA BANA LIYA HAI MEIN NE.. KUCH HAADSON SE GUZAR KAR APNA ASTITV BANA LIYA HAI MEIN NE..
USS KHUWAISHON KE MUJASIME KO AAINA DIKHA DIYA HAI MEIN NE..
ZADA TO NAHI KUCH AAP SA KHUD KO BANA LIYA HAI MEIN NE..BAATEIN TO BOHOT HAI BEHKI SI..
PER SIRF EK KE SAMAJH TAK JAYE.. ALFAAZON KO AUR ULJHA LIYA HAI MEIN NE..
KITABEIN TO NA SAHI PER KHUD KO MUQAMAL KITAB BANA LIYA HAI MEIN NE..
APKE ISS EHSAAS KO APNA AJ BANA LIYA HAI MEIN NE..
MEIN NE KHUD SE ZADA APKO APNE AAP MEIN BASA LIYA HAI