Isiliye lighter ko cigarette tak hi rakha hai warna aag lagane ko aur bhi bohot kuch hai
Cigarette ko aag lagao aur ankhon ke samne dhuaein ka maza lo...
Dunia hi ni dikhegi...Mann karta hai..
Aag lagayi jaye kuch yaadon ko..
Mann karta hai..
Rakh kiya jaye kuch kaghazon ko..
Mann karta hai..
Jab we met mein jaise Aditya ne photo ko aag laga kar flush kar diya tha waisa hi karun..Janti hoon mere se ye sab sunna ajeeb lgta hai bohoton ko..
Per mann karta hai kuch asa kiya jaye jo samne wale ne na socha ho..Janti hoon inn alfaazon ko padhne se sawal khade hote hai dil mein aziyat paida hoti hai..
Per ye sab zaroori thode hi ho ke ek relationship se hi related ho..
Zindagi mein aur bhi rishte hai... Ye 'bf & gf' ke alawa janab..
Jinko aag to nahi laga sakty per..
Ha asa bhi nahi ke samne ho aur kiya bhi na jaye..
![](https://img.wattpad.com/cover/343352888-288-k848571.jpg)