Ek ajeeb sa toufan hai..
Mano jaise mein aj bhi ek train station pe khadi hoon..jahan train aane ka naam nahi le rahi ho...
Aur ya phir..
Uss ek kamre mein jahan mujhy apke jaane ki khabar mili thi aur sab kuch tutte gaya tha...Ek ajeeb sa toufan hai..
Mano jaise agle hi pal meri saansein tham jayegi.. Aur mein mehz ek yaad bann ke reh jaungi..
Aur ya phir..
Uss akhri panne ki tarah jo har kitab ke akhir mein khali hota hai..Ek ajeeb sa toufan hai..
Waise to kabhi kisi se kuch manga nahi..
Per aj jee bhar ke kisi ke bhaho ki panah mangti hoon...
Koi mere iss halat ko batane ka mauka mujhy de de..
Koi mere ankhon mein basy jazbaton ko dekhne ka wakht mujhy de de..Ek ajeeb sa toufan hai..
Koi to mujhy kheech ke apne qareeb bitha le...
Koi to iss toufan bhare wakht mein...
Mujhy kuch to samjha de...Ek ajeeb sa toufan hai..