(Preeta and Karan were in each other's embrace enjoying the last moments of their togetherness)
(Suddenly they see yamrajs ox approaching towards them...preetas eyes already had tears both hold each other's hands tightly hoping for some miracle to happen)
(A man gets down)
Karan--- aap kaun
Man --- yamraj
Karan---kya mazak kar rahe hain yamraj toh koi aur tha na
Man--- but unhone itni nadaniyan ki in dino mein...ki devtaon ko unhe is pad se hatana pada..ab voh prithvi lok pe hi rahenge...
Karan---prithvilok pe magar kaise ...kya ban ke ..
Man--- voh sab main nahi jaanta ...main keval tumhe lene aaya hun...tumhara samay smapt kabka ho chuka hai...ab hume swarg ki taraf prasthan karna chahiye...
Karan--- dekhiye ....bas ek akhri baar mujhe prithvi pe jana hai ...yamraj se milne....bas panch minute lagenge ....hath jodta hun...kuch bhi kar ke mujhe bas unse kuch baat karni hai..
Man--- dekho balak prithvi lok pe toh nahi Jaa sakte par unko upar bula sakte hain...parantu uske baad tumhari patni aur voh prithvi lok pe jaenge aur tum mere sath chaloge
Karan--- manzoor hai
(The man claps thrice and yamraj appears infront of them)
Yuvraj--- ab kya chain se prithvi lok pe bhi nahi rehne doge tum devta log
Yamraj--- kyun jal Rahi hai tumhari mujhe apni jagah dekh ke ..
Yuvraj --- haan jal toh bahut rahi hai but khushi zyada ho rahi hai in sab janjhat se nikalne ki
Yamraj---abhi filhaal koi tumse baat karna chahta hai peeche dekho
(He turns around and found preeta and Karan standing there)
Yuvraj---Karan dekho maine kuch bhi jaan ke nahi kiya tha
Karan---(interrupted him) dekho gussa toh main bahut hun aapse...par is waqt main bahut mazboor hun...ek aap hi ho jis pe main bharosa kar sakta hun...is baar bharosa mat todna ...preeta ko main ek baar phir aapke hawale karke jaa raha hun...khud ki jaan se zyada khayal rakhiyega uska aur mere bache ka..agar koi baat buri lagi ho toh uska gussa abhi nikal lijiye (joins his hands in front of him)...par in dono ka khayal voh sab bhula ke rakhiye ga..
Yuvraj--- tum pagal ho Karan yeh bhi koi bolne ki baat hai .... Gussa apni jagah hota hai...par preeta se jo bhi badhan hai mera voh dil se hai aur respect ka hai..aur rahi baaat hone Wale bache ki uska toh main baap banke khayal rakhunga ... I promise
Karan--- aur agar pichli baar jaise kuch hua toh
Yuvraj--- toh mere bhai...bhagwaan tere saamne honge... chitragupta hoga tere saamne...Jo likhwana ho mere bhawish mein likh dena .... vaise ek secret bataun ... (Pulls Karan to a corner) yeh Naya wala yamraj thoda sadu hai aur mera dushman types bhi so zara bachke upar bhi kam khatre nahi hote..aur agar mauka mile na ...toh isko hata ke khud yamraj ban jana
Karan--- chee yamraj aur the karan luthra kabhi nahi..main swarg mein Aram farmaunga ... Urvashi , menka aur teesri wali ka kya naam tha
YOU ARE READING
LIFE AFTER DEATH
FanfictionCompleted ✅ The two strengths of preetas life come back but with a twist 🙌 peep in too know