9~Special Relations

218 19 9
                                    

Preeta was in room with Pihu meanwhile Karan had a talk with the family.

R~kiun Karan? Kiun tu ne kisi ko nahi bataya ke tum dono ki beti mari hui paida hui thi? Kiun nahi baanta apna dard? Kiun sehta gaya tu woh dard? Hum sab ko bhanak tak nahi lagne di tu ne ke tu kis dard se guzar raha hai? Kiun?

Sr~jeeju, aap bas ek baar hum sab ko keh dete, hum secret rakhte ye baat, kisi ko nahi batate. Aap kitna pyaar karte ho didi se, un ko us dard se nahi guzarne diya aap ne, khud akele seh liya sab, aur hum sab Pihu ke aane ki khushi mana rahay thay, jab ke aap dard mein thay

M~Karan, tujhe hum sab par bharosa nahi tha kya? Humein batata, dard baant'ta hum se, tere ko kandha mil jaata, tere dard mein hum sab humdard ban jaatay

K~kaise batata? Jab meri he ye haalat thi, toh aap sab ki kya haalat hoti? Maine liya tha usay goad mein. Woh chhoti si gudiya, mari hui nikle gi, maine nahi socha tha. (he grew emotional) Maine usay galay lagaya, request ki, sab kiya, woh aakhir nahi uthi. Woh na apne papa ke liye royi, na apni maa ke liye royi. Dafna diya tha usay maine hospital ke paas wale graveyard mein. Kaise jalata us nanhee si jaan ko shamshaan mein? Is se achha woh khazaane ki tarah dafn rahay, ab toh bas us ki... Us ki kabar pe maine us ka naam Aneeta Karan Luthra likhwaya hai, main usay aaj tak nahi bhool paaya, baar baar jaata hoon wahan, baatein karta hoon us se, jaise woh sab sunti samajhti ho, kaise na karoon? Kaise usay us andheri kabar mein tanhaai ke saharay chhor doon? Aakhir us ka bhi baap hoon.

 Us ki kabar pe maine us ka naam Aneeta Karan Luthra likhwaya hai, main usay aaj tak nahi bhool paaya, baar baar jaata hoon wahan, baatein karta hoon us se, jaise woh sab sunti samajhti ho, kaise na karoon? Kaise usay us andheri kabar mein tanhaai...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

They all were tearful after what he told them.

Kr~bhai, hum sab jaaya karein gay, us se baatein kiya karein gay, us nanhee si jaan ko kabhi nahi bhoolen gay bhai

Ri~Karan, kaise tu ne usay dafnaya ho ga? Kaise tu chup reh gaya itne saal? Kaise? Tu itna torture hota raha, andar he andar rota raha, marta raha tadapta raha, hum sab tere saath nahi thay us dard us takleef mein, we all are sorry, hum sab tere andar jhaank he nahi sakay Karan. We all failed as a family.

Sm~bhai, sorry

The trio brothers had a hug, Kritika and Srishti joined them tearfully

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

The trio brothers had a hug, Kritika and Srishti joined them tearfully.

M~afsos ke hum sab khud ki life mein itne busy thay ke hum ko pata he nahi chala ke humare betay ke dil par kya guzri

Samjhota (Completed) Where stories live. Discover now